Mañgtoñ Ko Hai Tum Par Naaz Ya Ghareeb Nawaz Nawaz Lyrics
Qawwal: Raja Sarfaraz
Khairaat lene aaya huñ Usmañ ke naam ki
Rakh lena laaj Mañgtoñ meiñ Khwaja Ghulam ki.
Tum to Aal e Rasool ho Khwaja
Rahmatoñ Ka nuzool ho Khwaja
Aur Qamayat talak Jo mahke ga
Aise Gulshan ke phool ho Khwaja.
Mañgtoñ ko hai tum par naaz
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz..
Khwaja Maharaja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Raja maharaja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Na Taaj o takht na saughat lene aaya huñ
Tere Jamaal ki Khairaat lene aaya huñ
Khwaja, Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz..
Raja maharaja, Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz..
Maiñ ye nahi kahta mujhe duniya ka maal do
Sarkar bas karam ki nigah ek daal do.
Khwaja maharaja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Ai Shaah e buta gada nawaze
Gada nawaze, gada nawaze
Bar man ba figan Nigaahe naaze
Taalib huñ maiñ tumhi se tumhari panah ka
Mohtaj huñ bas ek karam ki nagaah ka
Khwaja, Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Sahn e haram o koo e sanam chhod diya hai
Har dar ko tere dar ki qasam chhod diya hai
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Tore dwaar pade jug beet gaye
Mori aas na todo Ghareeb Nawaz
Main buri ya bhali huñ tihaari huñ
Maharaj mope daya karo
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Tera karam na rahta to rahti na meri baat
Tera karam raha to meri baat bhi rahi
Tera karam, karam nawaz
Tera karam, karam nawaz ..
Aap ka mela jab jab aaya, Sab ne aas lagayi
Sab laaye haiñ phool chaadar,
Toota Dil maiñ laayi
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Khwaja tere karam ki koi inteha nahiñ
Tumsa gada Nawaz koi doosra nahiñ
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Khwaja..
Apne Qadmoñ se juda mujhko khudara na karo
Aise lamhaat me tum mujh se Kinara na karo
Tere karam ne karam ne aisa nawaza teri qasam
Jab bhi talab karun to tumhari talab karuñ
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Raushan az akse jamal az, aalam e imkaane ma
Yak Nigaah e Naaz e jaanañ qeemat e Eemaan e ma
Teri yak nigah ki baat hai, meri zindagi ka sawaal hai, ya Ghareeb Nawaz
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ye mere shukr ki aadat
Ye teri shaan e sakhawat
Mere kaañse meiñ ghareebi
Teri mutThi me khazana
Meri taqdeer mein gardish
Teri thokar mein zamana
Tu Sakhi Ibn e Sakhi hai
Tu wali Ibn e wali hai
Ya Ghareeb Nawaz
Tumse Nisbat hai to karne ko salaam aaye hain
Tere darbar meiñ Sabir ke Ghulam aaye hain
Mere Khwaja, Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Tum raja, maiñ naar gañwaari
Buri bhalan jaisan huñ tumhaari
Na maanuñgi sang chalungi
Tumre rang meiñ man ko rañgungi
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Jise tum chaahte ho shaan o shaukat bakhsh dete ho
Ghareeboñ Ko shahinshahoñ ki daulat bakhsh dete ho
Naaz karte haiñ sakhi tujh pe sakhawat wale
Haiñ tere dar ke gada Taaj o hukoomat wale
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Ya Ghareeb Nawaz, Nawaz ..
Tera Deedar, deedar e ilaahi paya jata hai
Tera Deedar mere Khwaja
Tera Deedar ya khwaja
Tera Deedar ho khwaja..
Idhar do chaar baithe hain, Udhar do chaar baithe hain
Liye dil mein tamanna e visaal yaar baithe hain
Sar e baazar baithe hain, pase deewar baithe hain
Ye jitne hain Tumhare taalib e Deedar baithe hain
Tera Deedar ho khwaja
Tera Deedar ho khwaja..
Toofan ki lahroñ ko machalna hi padega
Rahmat ki chataanoñ ko pighalna hi padega
Dastoor mohabbat ka badalna hi padega
Sarkar ko chilman se nikalna hi padega
Mere khwaaja
Tera Deedar ho khwaja
Tera Deedar ya khwaja
Tera Deedar ho khwaja..
Rindoñ ki nazar meiñ maikhaana
Kaabe ke barabar hota hai,
Khwaja ki gali ka har phera
ek haj ke barabar hota hota hai
Tera Deedar ho khwaja
Tera Deedar ho khwaja..
Har ek shaam tera intezaar karta huñ
Khuda gawah tumhe Roz yaad karta huñ
Tera Deedar ho khwaja
Tera Deedar ho khwaja..
Bataao logo Tumheñ kya dikhayi deta hai
Hame to Khwaja ka jalwa dikhaayi deta hai
Nigaahe Ishq se dekho Jamaal e Khwaja ko
Rasool e Paak ka nakhsha dikhayi deta hai.
Tera Deedar ya khwaja
Tera Deedar ya khwaja..
Tera Deedar Deedar e ilaahi paya jata hai
Tere kooche se jo guzre yaqeenan bakhsha jaata hai.
Ya Khwaja Khwaja
Ya Ghareeb Nawaz Nawaz ..
Khwaja Maharaja
Ya Ghareeb Nawaz Nawaz ..
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz Nawaz ..
Dil meiñ, jigar mein, aañkh me bas tu hi tu rahe
Tera khayal aaye to dul ba wazu rahe
Jannat mere naseeb ki waaiz ko bakhsh de
Mere kafan mein gesu e jaana ki bu rahe
Ruswa na ho Ghulam tera Roz e Hashr Meiñ
Bas itna chahta huñ meri aabru rahe
Ya Ghareeb Nawaz Nawaz ..
Waliyan Ke raja
Ya Ghareeb Nawaz Nawaz ..
Yaa……. Yaa.. ya..aa..a..
Ya Ghareeb Nawaz Nawaz
Ya Ghareeb Nawaz Nawaz..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan |Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan