Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Lyrics
Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Lyrics
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat khwan: Abdul Rahman Attari, Rafique Raza Qadri, Sayyad Abdul Wasi, Mahmood Attari, Noor Alam Attari.
Hadaaiqe Bakhshish Part 1
ज़माना ह़ज का है जल्वा दिया है शाहिदे गुल को
इलाही त़ाक़ते परवाज़ दे परहाए बुलबुल को
Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Shahid e Gul Ko
Ilahi Taaqte Parwaaz De Parha e Bulbul Ko
बहारें आईं जोबन पर घिरा है अब्र रह़मत का
लबे मुश्ताक़ भीगें दे इजाज़त साक़िया मुल को
Bahare(n) Aayee(n) Joban Par Ghira Hai Abr Rehmat Ka
Labe Mushtaaq Bheege(n) De ijazat Saaqiya Mul Ko
मिले लब से वोह मुश्कीं मोहर वाली दम में दम आए
टपक सुन कर कुमे ई़सा कहूं मस्ती में क़ुलक़ुल को
Mile lab Se Woh Mushqee(n) Mohar Waali Dum Me Dum Aaye
Tapak Sun Kar Qume E-saa Kahu(n) Masti Me Qulqul Ko
मचल जाउं सुवाले मुद्दआ़ पर थाम कर दामन
बहक्ने का बहाना पाऊं क़स्दे बे तअम्मुल को
Machal Jaau(n) Suvaale Mudda’aa Par Thaam Kar Daaman
Behekne Ka Bahanaa Paau(n) Qasde Be Ta’Ammul Ko
दुआ कर बख़्ते ख़ुफ़्ता जाग हंगामे इजाबत है
हटाया सुब्ह़े रुख़ से शाह ने शबहा ए काकुल को
Dua Kar Bakhte Khufta Jaag Hungame ijaabat Hai
Hataya Sub’he Rukh Se Shaah Ne Shab-Ha-e Kaakul Ko
ज़बाने फ़ल्सफ़ी से अम्न ख़र्क़ो इल्तियाम असरा
पनाहे दौरे रह़मत हाए यक साअ़त तसल्सुल को
Zabane Falsafi Se Amn Kharqo iltiyaam Asara
Panahe Daur e Rehmat Haaye Yak Saa’at Tasal-sul Ko
दो शम्बा मुस्तफ़ा का जुम्अ़ ए आदम से बेहतर है
सिखाना क्या लिह़ाजे हैसियत ख़ूए तअम्मुल को
Do Shamba Mustafa Ka Jum’aa-e Aadam Se Behtar Hai
Sikhana kya Lihaaje Haisiyat Khoo e Ta’ammul Ko
वुफूरे शाने रह़मत के सबब जुरअत है ऐ प्यारे
न रख बहरे खुदा शरमिन्दा अ़र्जे़ बे तअम्मुल को
Wufoore Shaane Rehmat Ke Sabab Jur’at Hai Ey Pyare
Na Rakh Bahare Khuda Sharminda Arje Be Ta-Ammul Ko
परेशानी में नाम उनका दिले सद चाक से निकला
इजाबत शाना करने आई गेसूए तवस्सुल को
Pareshani Me Naam Unka Dile Sad Chaak Se Nikla
Ijaabat Shaana Karne Aayee Gesuye Tawas’sul Ko
रज़ा नुह सब्ज़ए गर्दूं हैं कोतल जिस के मौकिब के
कोई क्या लिख सके उसकी सुवारी के तजम्मुल को
RAZA Nuh Subza e Gardoo(n) Hein Kotal Jiske Maukib Ke
Koi Kya Likh Sake Uski Suwari Ke Tajammul Ko
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |