Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz e Hijabana Lyrics

Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz e Hijabana Lyrics

Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan

हिन्दी लिरिक्स


Jod Lagte Gaye Fasaane Meiñ

Raaz Khulte Gaya Chhupaane Meiñ

Roothne Ka Sabab To Tum Jaano

Hum To Masroof Haiñ Manane Meiñ

 

Toone Tinke Samajh Ke Phooñk Diya

Meri Duniya Thi Aashiyaane Meiñ

 

Qarar Loot Liya Be-Qarar Chhod Gaye

Bahar Le gaye, Yaad-e-Bahar Chhod Gaye

 

Hamari Tishn-e-Haziñ Ka Na Kuch Khayal Kiya

Wo Umr-Bhar Ke Liye, Ashk-Baar Chhod Gaye

—-

Maine Masoom Baharoñ Meiñ Tumhe Dekha Hai

Maine PurNoor Nazaroñ Mein Tumheñ Dekha Hai

 

Mere Mahboob Teri Pardah Nasheeni Ki Qasam

Maine Ashqoñ Ki Qataaroñ Meiñ Tumheñ Dekha Hai

 

Maine Har Simt Nazaroñ Mein Tumheñ Dekha Hai


Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz e Hijabana

Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz e Hijabana

Aa Dil Main Tujhe Rakh Looñ Aye Jalwa e Janana

 

Arz o sama kahañ Teri Wus-a’t Ko Paa Sakeñ

Mera Hi Dil Hai Wo, Ke Jahañ Tü Sama Sake

 

Aañkhoñ Meiñ Tujhe Rakh Looñ, Aye Jalwa e Janana

 

Qareeb Aa Tujhe Tohfe Meiñ Zindagi De Dooñ

Teri Nigahoñ Ki Saughat Achchhi Lagti Hai

 

Aañkhoñ Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana

 

Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana

 

Aa Aa Shab e Firaaq Aa,

Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana

 

Kaun Hai Jis Ne Mai Nahiñ Chak’khi

Kaun Jhooti Qasam Uthata Hai

Maikade se Jo Bach Nikalta Hai

Teri Nazroñ Meiñ Doob Jaata Hai

 

Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana

 

Tum Aaye Ho, Na Shab e Intizaar Guzri Hai

Talaash Meiñ Yuñ Sahar, Baar Baar Guzri Hai

 

Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana

 

Abhi To Aaye Ho, Thehro Zara, Chale Jana

Lagegi Deir Zara Hal-e-dil Sunane Meiñ

 

Aañkhoñ Meiñ tujhe rakh loon aye jalwa e janana

 

Aye Abr-e- Karam Zara Tham Ke Baras

Itna Na Baras Ke Wo Aa Na Sakeñ

Wo Ajayeñ To Jam Ke Baras

Aur Itna Baras Ke Wo Ja Na Sakeñ

 

Aañkhoñ Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana

 

Kyuñ Aañkh Milayi Thi, Kyuñ Aag Lagayi Thi

 

Kyun Aas Bandhayi Thi, Kyun Aag Lagai Thi

 

Kyun Deed Karai Thi, Kyun Aag Lagai Thi

 

Kyun Preet Karai Thi, Kyun Aag Lagai Thi

 

Ab Rukh Ko Chhupa Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana

 

Ab Jaali laga baithe Kar Ke Mujhe Deewana

 

Saudi Shurton ke…..

Ab Pahre Laga Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana

 

Bas Unki Yaadoñ Ka Ab Tak Khumaar Baaqi Hai

 

Ab Pahre Laga Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana

 

Ab Rukh Ko Chhupa Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana

 

Ab Parda Gira Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana

 

Jis Jaa Nazar Aate Ho , Sajday Wahiñ Karta Hooñ

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahiñ Karta Hooñ

 

Jis Qadar Maine bhulaaye teri Yaadoñ Ke Nuqoosh

Dil e BeTaab Ne Utna Hi Tumheñ Yaad Kiya

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ

 

Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai

Meri Bandagi Bhi Ajeeb hai

Jahañ Mil Gaya Tera Naqsh e Paa

Wahiñ Maine Kaaba Bana Liya

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ

 

Maine Dar e Yaar Pe, Aisi Padhi Namaaz

Kaaba Meri Namaaz Pe Qurbaan Ho Gaya

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ

 

Mujhe Kya Gharaz Thi Rukoo Se

Mujhe Kya Gharaz Thi Sujood Se

Tere Naqsh e Paa Ki Talash Thi

Ke Maiñ Jhuk Raha Tha Namaz Meiñ

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahiñ Karta Hooñ

 

Mareez e Ishq Ka Aksar Ye Haal Hota Hai

Kisi Ke Naam Se Chehra Bahaal Hota Hai

Main Ise Kufr Kahooñ, Ya Kamal e Ishq Kahooñ

Namaz Meiñ Bhi Tumhara Khayal Hota

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ

 

Sajdoñ Ke Liye Baab e Karam Dhooñdh Liya Hai

Aye Yaar! Tera Naqsh e Qadam Dhooñdh Liya Ha

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ

 

Ishq Ka Muddayi Bhi Tum, Husn Ka Mudda-a Bhi Tum

Aashiq e BaWafa Bhi Tum, Maashoq e Dil Ruba Bhi Tum

Yahan Bhi Tum Wahan Bhi Tum, Idhar Bhi Tum Udhar Bhi Tum

Rehne Do Raaz Khul Gaya, Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ

 

Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahiñ Karta Hooñ

Iss Se Nahi Kuchh Matlab, Kaaba Ho Ya Bütt Khana

 

Main Hosh-o-Hawaas apne, iss baat pe kho baitha

Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Aya Mera Deewana

 

Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Dekho Mera Deewana

 

Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Dekha Mera Deewana

 

Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Yeh Hai Mera Deewana

 

Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Tahir Mera Deewana

 

Jee Chahta Hai Tohfe Meiñ, Bhejooñ Unheiñ Do Aañkheiñ

Darshan Ka To Darshan Ho, Nazrane Ka Nazrana

 

Aisi Aankhoñ Ke Tasadduk Meri Aañkheiñ Bedam

 

Darshan Ka To Darshan Ho, Nazrane Ka Nazrana

 

Jee Chahta Hai Tohfe Meiñ, Bhejooñ Unheiñ Do Aañkheiñ

Darshan Ka To Darshan Ho, Nazrane Ka Nazrana

 

Bedum Meri Qismat Meiñ, Sajde Hain Isi Dar Ke

 

Peene Ko To Pee Looñga, Par Shart Zara Si Hai

Baghdad Ka Saaqi Ho, Minhaaj Ka MaiKhana

 

BeZauqi-e Duniyañ Ke Na Saaghar Se Piyuñga

Mar Jaauñga, Lekin Na Kisi Dar Se Piyuñga

Maikhaar Ki Tauheen Hai, KamZarf Ki Minnat

Peeni Hai To Phir Saaqi-e-Baghdad Se Piyuñga

 

Baghdad Ka Saaqi Ho, Minhaaj Ka MaiKhana

 

Bedum Meri Qismat Mein, Sajde Hain Isi Dar Ke

Chhoota Hai, Na ChooteGa, Sang e Dar e Janana

 

YaadRaah Ghareeboñ Ka BarQarar Rahe

 

Chhoota Hai, Na ChooteGa, Ajmer Ka MaiKhana

 

Jeena Hai To Phir Sang Tahar Ke jiyuñga

 

Chhoota Hai, Na ChooteGa, Ajmer Ka MaiKhana

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Mujhe Is Ka Gham Nahiñ Hai Ke Badal Gaya Zamana

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Nainan Ki Kar Kothari, Jo Palak Dhaañp Tohe Looñ

Na Maiñ Dekhooñ Ghair Ko, Na Maiñ Tohe Dekhan Dooñ

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Zahe Naseeb Mujhe Gham A’taa Kiya Tune

Karam Kiya Mujhe Apna Bana Liya Tune

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahin Tum Badal Na Jana

 

Bahut Udaas Thi Duniyañ Me Zindagi Meri

Karam Jo Tera Hua, Baat Ban Gayi Meri

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahin Tum Badal Na Jana

 

Is Se Badh Kar Meri Khushi Kya Hai

Tum Salamat Raho Kami Kya Hai

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Is Se Badh Kar Meri Khushi Kya Hai

Muskurate Raho Kami Kya Hai

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Is Se Badh Kar Meri Khushi Kya Hai

Rukh Dikhate Raho Kami Kya Hai

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Sone Di Jareeb Howe,

Añkhiyañ Ohh Rakhiye

Paayeñ Yaar Ghareeb Howe

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Sone Di Jareeb Howe,

Mukhda Dholan Da

Ghareebañ Di Eid Howe

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Teri Ik Nigah Ki Qeemat Meri Saari Zindagani

Tune Mujhe Qubool Kiya, Ye Hai Teri MehrBaani

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Teri Ik Nigah Ki Qeemat Meri Saari Zindagani

Tune Mujhe Qubool Kiya, Ye Hai Teri MehrBaani

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Meri Bandagi Hai Tum Se, Kahin Tum Badal Na Jana

 

Meri Bandagi Hai Tum Se, Kahin Rukh Chhupa Na Jana

 

Meri zindagi Hai Tum Se, Tum Mujhe Bhula Na Jana

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Tum Mujhe badal na jana

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Majlis Saji Hai Tum se, Kahiñ Tum Chale Na Jana

 

Minhaj Saja Hai Tum Se, Kahiñ Tum Chale Na Jana

 

Mahfil Saji Hai Tum Se, Kahiñ Tum Chale Na Jana

 

Meri Jaañ Lagi Hai Tumse, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Meri Jaañ Adi Hai Tumse, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Izzat Bani Hai Tumse, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Sajan Preet lagaayi-ke Door Des Mat Ja

Bas Hamare Des Me Mai Maañguñ Tu Kha

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Pesh e Nazar Hoñ Aap Mera Sar Jhuka Rahe

Jab Tak Rahuñ Jahañ Meiñ Karam Aapka Rahe

 

Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana

 

Gham e Aashiqi Se Pahle Mujhe Kaun Jaanta tha

Tere Ishq Ne Bana Di, Meri Zindagi Fasana

 

Kya Lutf Ho Mehshar Mein, Main Shikwe Kiye Jaooñ

Woh Hans Ke Kahe Jayeiñ Deewana Hai Diwana

 

Saaqi Tere Aate Hi, Yeh Josh Hai Masti Ka

Sheeshe Pe Gira Sheesha, Paimaane Pe Paimana

 

Maloom Nahin Bedam, Mein Kaun Hooñ Aur Kya Hooñ

Youñ Apnoñ Meiñ Apna Huñ Beiganoñ Meiñ Begana


Hindi And English lyrics

| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *