Andhri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Naat Lyrics
Andhri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Naat Lyrics
Shayar: Ala Hazrat | Naat-E-Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Moulana Asim Ashrafi, Abdul Habib Attari, Ajmat Raza Bhagalpuri, Khalid Rizvi, Nazir Ahmad
Hadaaiqe Bakhshish Part 1
अंधेरी रात है ग़म की घटा इ़स्यां की काली है
दिले बेकस का इस आफ़त में आक़ा तू ही वाली है
Andhri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Kaali Hai
Dile Bekas Ka Is Aafat Me Aaqa Tu He Waali Hai
न हो मायूस आती है सदा गोरे ग़रीबां से
नबी उम्मत का ह़ामी है खुदा बन्दों का वाली है
Na Maayoos Aati Hai Sada Gore Ghareeba Se
Nabi Ummat Ka Haami Hai Khuda Bando(N) Ka Waali Hai
उतरते चांद ढलती चांदनी जो हो सके कर ले
अंधेरा पाख आता है यह दो दिन की उजाली है
Utartey Chand Dhalti Chandni Jo Ho Sakey Kar Le
Andheri Paakh Aata Hai Yeh Do Din Ki Ujaali Hai
अरे यह भेड़ियों का बन है और शाम आ गई सर पर
कहां सोया मुसाफिर हाए कितना ला उबाली है
Are Yeh Bhediye Ka Ban Hai Aur Sham Aa Gaai Sar Par
Kaha Soya Musafir Haaye Kitni Laa-Ubaale Hai
अंधेरा घर, अकेली जान, दम घुटता, दिल उकताता
खुदा को याद कर प्यारे वोह साअ़त आने वाली है
Andhera Ghar,Akeli Jaan, Dum Ghuta,Dil Uktaata
Khuda Ko Yaad Kar Pyaare Who Saa’at Aane Waali Hai
ज़मीं तपती, कटीली राह, भारी बोझ, घायल पाउं
मुसीबत झेलने वाले तेरा अल्लाह वाली है
Zami Tapti,Kateeli Raah, Bhaari Bojh,Ghayal Paao(N)
Musibat Jhelne Waale Tera Allah Waali Hai
न चौंका दिन है ढलने पर तेरी मन्ज़िल हुई खोटी
अरे ओ जाने वाले नींद यह कब की निकाली है
Na Chouka Din Hai Dhalne Par Teri Manzil Hui Khoti
Are O Jaane Waale Neend Yeh Kab Ki Nikaali Hai
रज़ा मन्ज़िल तो जैसी है वोह इक मैं क्या सभी को है
तुम इसको रोते हो यह तो कहो यां हाथ खाली है
RAZA Manzil To Jaisi Hai, Woh Ik Mein Kya Sabhi Ko Hai
Tum Isko Roote Ho Yeh To Kaho Yaa(N) Haath Khaali Hai
Hindi And English Naat Lyrics
Our Pages
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|