Zere Saaye e Gumbad Raat Ka Basera Hai Naat Lyrics
Zere Saaye e Gumbad Raat Ka Basera Hai Naat lyrics
Shayar:Ajmal Sultanpuri | Naat e Paak
Hindi And englsih Naat Lyrics
ज़ेरे साय-ए-गुम्बद रात का बसेरा है
और सुनहरी जाली से रुनुमा सवेरा है
Zere Saaye-E-Gumbad Raat Ka Basera Hai
Aur Sunhari Jaali Se Roonuma Savera Hai
जा बजा मदीने में हाजियों का डेरा है
मुस्तफ़ा के कूचे में साइलों का फ़ेरा है
Ja Baja Madine Me Haajiyo(N) Ka Dera Hai
Mustafa Ke Kooche Me Saa’ilo Ka Fera Hai
कितनी ख़ुल्द मन्ज़र है, रात भी मदीने में
हर त़रफ़ उजाला है, हर तरफ़ सवेरा है
Kitni Khuld Manzar Hai, Raat Bhi Madine Me
Har Taraf Ujala Hai, Har Taraf Savera Hai
रहमतों की बारिश में वो कलस का नज़्ज़ारा
रह़मतों ने गुम्बद को हर त़रफ़ से घेरा है
Rahmaton Ki Baarish Me Wo Kalas Ka Nazzara
Rahmaton Ne Gumbad Ko Har Taraf Se Ghera Hai
मेरी ख़ुश नसीबी पर रश्क आए रिज़वां को
मुस्तफ़ा अगर कह दें यह गुलाम मेरा है
Meri Khush Nasibi Par Rashk Aaye Rizwa(N) Ko
Mustafa Agar Kah De(N) Yeh Gulaam Mera Hai
नूर के समन्दर में ग़र्क़ हैं महो अन्जुम
जब से माहे तैबा ने चांदनी बिखेरा है
Noor Ke Samandar Me Gharq Hein Maho Anjum
Jab Se Maahe Taiba Ne Chandni Bikhera Hai
रात भी मदीने की दिन से कम नहीं अजमल
शाम भी मदीने की ख़ुशनुमा सवेरा है
Raat Bhi Madine Ki Din Se Kam Nahi Ajmal
Shaam Bhi Madine Ki Khushnuma Savera Hai
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri | | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |