Shijra e Tayyaba
Silsila e Aliya Qadriya AbulUlayiyaJahangeeriya-Hasaniya-Kabeeriya Jahangeeriya Hasaniya Kabeeriya
🌷بِسۡمِ اللّٰـهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ🌷
اَللّٰھُمَّ صَلِِّ عَلٰی سَیِّدِنَا وَمَوۡلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰی اٰلِ سَیِّدِنَا وَمَوۡلَانَا مُحَمَّدٍ وَبَارِکۡ وَسَلِِّمۡ
Khuda ba-Hurmat-e-Arbaah-e-Ambiya Madade
Pa-e Mohammad-o-Mahmood-o-Mustufa ﷺ Madade.
Baraa-e-Panjatan-e-Paak o Chaar-Yaar-e-Nabi
Wa Barkate Hamah Arbaah-e-Auliya Madade.
Hamd Behad Hai Janabe Kibriya Ke Waaste
Tohfa-e-Salwaat Shaahe Mustufa Ke Waaste.
Ya mere Allah Jumla Ambiya Ke Waaste
Haajateñ Bar Laa Miri Kul Auliya Ke Waaste.
Padh TaHayyut Ahle Bait Aur Chaar Yaaroñ Ki Zuroor
Phir Adab Se Haath Utha Apni Dua Ke Waaste.
……….
Kar A’ata Raah-e-Hidayat Raushani-e-Dil Naseeb
Hazrat-e Ahmad Khabeer Haq-Aashana Ke Vaaste.
Saalik-e-Raah-e-Tareeqat Shaah KABEER
Mard-e-Haq Aur Khaak Paa-e-Auliya Ke Waaste.
Banda-e-Aajiz Hooñ Ya Rab Kar Miri Tauba Qubool
Hazrat e Khwaja Hasan Shah Sultan -ul-Auliya Ke Waaste.
Aaftaab e Deen o Millat Shaah Inaayat Hasan
Maahtaab-e Sabr o Tasleem o Raza Ke Waaste.
Ho Dua Maqbool Meri sadqa-e-Laa-Taqnatü
(Murshid e Kaamil) Shahinshah Mohammad Nabi Raza Ke Waaste.
Dil Ko Mere Ya Khuda De Zindagi O Taazgi
Shaah Abdul Hayi Maqbool-ud-Dua Ke Waaste.
Mujh Ko Apni Baargaah-e-Ahdiyat Meiñ Kar Qubool
Mukhlis-ur-Rahmaañ Jahañgeer-e-Huda Ke Waaste.
Kar Madad Meri Khudaya Har Ghadi Har Haal Meiñ
Shaah Imdaad-e-Ali-e-Ba-Safa Ke Waaste.
Mujh Ko Apne Zikr O Fiqr O Shughl Meiñ Masroof Rakh
Shah Mohammad Mehdi-e-Noorul-Wara Ke Waaste.
Noor-e-Eemaañ Se Mire Dil Ko Munawwar Kar Khuda
Hazrat-e-Mazhar Husain Haajat-Rawa Ke Waaste.
Farhat e Dil De Mujhe Aur Door Kar De Fiqr-e-Ghair
Farhatullaah Iftikhar-ul-Auliya Ke Waaste.
Husn o Khoobi Se Mire Dil Ko Khuda-ya Kar Hasan
Hasan Ali Shaahe Hasan Abr-e-Sakha Ke Waaste.
Ne’mate Deeñ Se Mujhe Kar Ya ilaahi Sarfaraaz
Shaah Mun’am PaakWaaz-e Atqiya Ke Waaste.
Rakh Sharee’at Aur Tareeqat Par Mujhe Saabit Qadam
Shah Khaleel-ud-Deen Sayyad Mah-Laqa Ke Waaste.
Nafs Ki Roobaah Baazi Se Khalaasi De Mujhe
Meer Sayyad Ja’afare Shams-ud-duha Ke Waaste.
Door Kar Meri Khudi Aur Ahl-e-Dil Kar de Mujhe
Sayyad Ahl-ullah Meer Ahl-e-Safa Ke Waaste.
Nazm Kar Mera Qubool ai Baadshah-e-DoJahaañ
Shah Nizaam-ud-Deen Sayyad BeRiya Ke Waaste.
Shah Taqee-ud-Deen Ka Sadqa Mujhe Kar Muttaqi
Shah Naseer-ud-Deen Sayyad BeBaha Ke Waaste.
Sayyad o Mahmood Sayyad Meer Fazl-ullaah Shaah
Shaah Qutub-ud-Deeñ Dur-e-Durj-e-Fana Ke Waaste.
Shaah Nazm-ud-Deeñ Qalandar Aur Sayyad Mubarak Ghaznavi
Shah Nizaam-ud-Deen Sayyad Saaniya Ke Waaste.
Ghumch-e-Dil Ko khila mere ilaahulAalameeñ
Shah Shahabuddin Sahab PurZiya Ke Waaste.
Qaadir-e-Mutlaq hai tü Apni Inaayat Mujh Pe Rakh
Qaadir-e-Jeelaan Qutb-ul-Auliya Ke Waaste.
Az Baraaye Boo-Saieed o Bul-Hasan Ya Zul-Jalaal
Rahm Kar Boo-Yoosuf-e-Rahmat’numa Ke Waaste.
Mujhko Apne ishq Meiñ Matwaala Kar De Ai Khuda
Hazrat-e-Abdul-Azeez-Ulfat-Rasa Ke Waaste.
Shah Raheem-ud-Deen o Shah Boo-Bakr o Shibli Ka Tufail
Fazl Kar Hazrat Junaid-e-Peshwa Ke Waaste.
Shah Sirri Sukti wa Shah Ma’aroof Karkhi Ka Tufail
Shah Imaam-e-Deeñ Ali Moosa-Raza Ke Waaste.
Moosa-e-Kaazim ka Sadqa ilm o Amal o Hilm De
Ja’afar o Baaqar Shahe Zain-ul-I’ba Ke Waaste.
Raah Mein Teri Rahooñ Saabit Qadam Ai BeNiyaaz
Sabr De Mujhko Shaheed-e-Karbala Ke Waaste.
Ma’arfat Ke Noor Se Dil Ko Mire Ma’amoor Kar
Peahwaa-e-Deeñ Ali-e Murtaza (Mushkil-Kusha, Haajat-rawa, Dast-e-Khuda, Sher-e-Khuda) Ke Waaste.
Ya ilaahi Mere Isiyaañ mujhko Sharmaate Haiñ ab
Bakhsh de Mujhko Mohammad Mustafa ﷺ Ke Waaste.
Ishq De Mahboob ka Mujhko ilaah-ul-Aalameeñ
Sayyada Ma’asooma Hazrat Faatima Ke Waaste.
Ishq De Murshid Ka Mujhko Ya ilaah-ul-Aalameeñ
Ambiya o Auliya o Ashfiya Ke Waaste
Ab To Bigdi Ko Bana De Ay Mere Parwardigaar
Shakh-ul-Aazam Shah Ameer Abul-Ula Ke Waaste
🌹MUNAJAAT🌹
Ya Khuda Taayab Ko Marziyaat Ki Taufeeq De
Aur Rakh Saabit Qadam Bhi Apni Ita-a’t Par Ise
Ho A’taa Ishq-o-Mohabbat Is Gadaa Ke Waaste.
Aur Rakh Mahfooz Shirk-o-Maa’siyat Se Ai Khuda
Aur Kar Islaam-o-Eemaañ Par Tu Iska Khaatma
Apne Maqboolaan-e-Dargaahe U’la Ke Waaste.
Ho Sukoon-e-Qalb Haasil Door Ho Har Intishaar
Shaikh Ki Taaleem Aur Talqeen Par Rakh Barqaraar
Rahmat-e-Àalam Mohammad Mustufaﷺ Ke Waaste.
Hoñ Mire Makhhdoom-Zaade Saahib-e-Fazl-o-Sharaf
Kar Ba-Ausaaf-e-Kamaalaat-e-Do-Àalam Muttasaf
Tu Ho Unka Woh Raheñ Teri Àtaa Ke Waaste.
Mere Ah’baab-e-Tareeqat Bhi Raheñ Aabaad-o-Shaad
Deen-o-Duniya Meñ Ba-Eàjaaz-o-Kiraam-o-Ba-Muraad
Fazl Farmaa Jumla Ikhhwaan-us-Sifa Ke Waste.
Mere Haq Meñ Jo Ho Marzi Maiñ Hooñ Raazi Ba-Raza
Marzi-e-Maula Hamah-Oola-Razeena Bil-Qaza
Tere Ghar Meñ Kya Kami Hai Mujh Gada Ke Waaste.
Apne Maula Ke Qadam Ke Saaya Ke Neeche Jiyuñ
Aur Marna Ho To Inke Aastaane Par Marooñ
Zindagi Aur Maut Ho Inki Raza Ke waaste.
Ta-Abad Maula Hamaare Shamm-e-Bazm-e-Jaañ Raheñ
Aur hum Sau Jaañ Se Parwaana Sifat Qurbaañ Raheñ
Kar àTaa Kokab Ko Sau Jaaneñ Fida Ke Waaste
Kar Àtaa Hum Sab Ko Sau Jaaneñ Fida Ke Waaste.