Paani Nahi Chahiye Noha Lyrics

Paani Nahi Chahiye Noha Lyrics | पानी नहीं चाहिए

 

Dhal Gaya Din Woh Takti Rahi Raasta
Hath Se Daaman e Sabr Jaata Raha
Rukh Kiya Sooye Dariya Ye Ro Kar Kaha
Haye Ro Kar Kaha

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Nahi Chahiye, Nahi Chahiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Bas Ab Aap Dariya Say Aa Jaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Meri Pyaas To Tum Se Badh Kar Nahi
Main Mar Jaun Gi Mera Kar Lo Yaqeeñ
Mujhe Raas Aai Na Yeh Sar Zameen
Khudara Na Ab Aur Tarpaiye

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Chacha Mujh Ko Maloom Hota Agar
Nahi Aayenge Aap Bhi Laot Kar
To Phir Mashk Deti Nahi Noha Gar
Meri Mashk Khali Hi Lay Aaiye

Nahi Chahiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahiye

 

Na Jane Wo Kaisi Ghadi Aayi Thi
Padar Se Ijazat Jo Dil waayi Thi
Main Khud Apni Ghurbat Se Ghabrayi Thi
Ata Dar Guzar Meri Farmayiye

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Chacha Ye Sakina Ka Wada Raha
Ke Ab Al Atash Ki Na Dungi Sada
Bina Aap Ke Hai Ye Jeena Sada
Jiyun Kaisay Itna To Batlaiye

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Sakina Py Jaañ Dene Walay Chacha
Kiya Mujh Ko Kis Ky Hawalay Chacha
Bhula Duñ Gi Hontoñ Ky Chhaalay Chacha
Mujhy Aa Ky Seenay Say Liptaiye

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Khabar Aap Ky Qatal Ki Yuñ Mili
Meray Baba Jaañ Ki Kamar Jhuk Gai
Rida Phaink Ky Ro Rahi Haiñ Phuphi
Yeh Manzar Zara Dekhnay Aaiye

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Chhidi Mashk Meri Koi Gham Nahin
Meri Aas Tooti Koi Gham Nahin
Main Pyasi Rahungi Koi Gham Nahi
Dawa Mere Zakhmoñ Ki Ban Jaiye

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Yeh Mazhar Ye Mesum Ye Ahl e Aza
Yehi Keh Ke Karte Hain Matam Bapa
Yeh Jumla Sakina Ka Hai Marsiya
Bas Ab Aap Dariya Se Aa Jaiye

Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Nahi Chahiye, Nahi Chahiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye

 

Recited by: Mesum Abbas
Poet: Janab Mazhar Abidi

 

Paani Nahi Chahiye Noha Lyrics In Hindi

 

ढल गया दिन वो तक्ती रही रास्ता
हाथ से दामन ए सब्र जाता रहा
रुख़ किया सू ए दरिया ये रो कर कहा
हाय! रो कर कहा

चचा जान पानी नहीं चाहिए
नहीं चाहिए, नहीं चाहिए
चाचा जान पानी नहीं चाहिए
बस अब दरिया से आ जाईए
चाचा जान पानी नहीं चाहिए

 

मेरी प्यास तो तुम से बढ़कर नहीं
मैं मर जाऊंगी मेरा कर लो यक़ीं
मुझे रास आई ना ये सरज़मीं
खुदारा न अब और तड़पाइये

चचा जान पानी नहीं चाहिए

 

चचा मुझको मालूम होता अगर
नहीं आएंगे आप भी लौट कर
तो फिर मश्क देती नहीं नौहा गर
मेरी मश्क खाली ही ले आइए

नहीं चाहिए
चचा जान पानी नहीं चाहिए

 

ना जाने वो कैसी घड़ी आई थी
पदर से इजाज़त जो दिलवाई थी
मैं खुद अपनी ग़ुर्बत से घबराई थी
अता दर गुज़र मेरी फ़रमाइए

चचा जान पानी नहीं चाहिए

 

चचा ये सकीना का वादा रहा
कि अब अल अतश की ना दूंगी सदा
बिना आपके है ये जीना सदा
जियूं कैसे इतना तो बतलाइए

चाचा जान पानी नहीं चाहिए

 

सकीना पे जां देने वाले चचा
किया मुझको किस के हवाले चचा
भुला दूंगी होंठों के छाले चचा
मुझे आके सीने से लिपटाईये

चाचा जान पानी नहीं चाहिए

 

ख़बर आपके क़त्ल की यूं मिली
मेरे बाबा जां की कमर झुक गई
रिदा फेंक के रो रही हैं फ़ुफी
ये मंज़र ज़रा देखने आईये

चचा जान अपनी पानी नहीं चाहिए

 

छिदी मशक मेरी कोई ग़म नहीं
मेरी आस टूटी कोई ग़म नहीं मैं
प्यासी रहूंगी कोई ग़म नहीं
दवा मेरे ज़ख्मों की बन जाईये

चचा जान पानी नहीं चाहिए

 

ये मज़हर ये मीसम ये अहले अज़ा
यही कह के करते हैं मातम बपा
यै जुमला सकीना का है मर्सिया
बस अब आप दरिया से आ जाइए

चचा जान पानी नहीं चाहिए
नहीं चाहिए, नहीं चाहिए
चचा जान पानी नहीं चाहिए

 

Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir 

Nadeem Sarwar