Apni Rahmat Dikha Maula Lyrics

Apni Rahmat Dikha Maula Lyrics

 

Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada
Maula Ham Par Apni Rahmat Ke Dar Kar De Wa

 

Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada
Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada

 

Maula Maula Maula Maula

 

Tu Hi Malik Tu Hi Khaliq Tu Hi Data Hai
Sare Tere Mangte Tujhse Sab Ka Nata Hai
Tu Hi Mushkil Door Kare Aasani Laata Hai
Apne Bandon Par Ae Maula Sattaari Farma Hai

 

Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada
Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada

 

Maula Maula Maula Maula

 

Bagh Me Nargis Khil-Khil Jaye Teri Marzi Se
Jangal Me Aazad Fire Hai Aahu Garzi Se
Qumri Chahke, Badal Garje, Rab Ki Arzi Se
Shab Ki Kaalak Badle Zoome Tera Hukam Hua

 

Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada
Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada

 

Maula Maula Maula Maula

 

Suñbul Guñcha Sehra Bijli Barish Badal Hai
Qumri Koyal Bulbul Naghma Gulshan Koñpal
Teri Hamd Sanayi Karte Sar Wo Sundar Hain
Tu Ghalib Tu Hi Haakim Tu Hi Ahad Hua

 

Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada
Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada

 

Maula Maula Maula Maula

 

Taaj-o-Takht Kisi Ki Qismat Koi Hara Hai
Soori Akbar Aur Humaiyuñ Ya Phir Dara Hai
Teri Shahi Ke Aage Har Hukum Gawara Hai
Tere Dar par Aan Jhuke Hain Haakim Aur Gada

 

Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada
Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada

 

Maula Maula Maula Maula

 

Nafs-o-Shaitan Dushman Hain Dono Ne Mara Hai
Main Huñ Aajiz Tujhko Aakhir Kaar – Pukara Hai
Aafiyat Ka Talib Hun Ik Tu Hi Sahara Hai
Mere Maula Apne Shakir Ko Mahboob Bana

 

Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada
Ik Halaat Ka Mara Banda Deta Hai Ye Sada

 

Maula Maula Maula Maula

 

Recited by: Rao Mutahir
Lyrics: Shakir Farooqi

 

Our Pages

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali