Mera Rab Sun Leta Hai Lyrics
Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai
Jo Mere Saath Hai Allah
Karam Kya Mujhpe Ye Kam Hai
Ke Mere Saath Hai Allah
Main Jab Bhi Girne Lagta Huñ
Woh Mujhko Thaam Leta Hai
Kabhi Bebas Jo Ho Jaun
To Fauran Bhaañp Leta Hai
Mere Har Aml Har Qaul
Har Ik Raaz Se Waqif
Meri Shahrag Meri Rag Rag
Mere Andaz Se Waqif
Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai
Jo Mere Saath Hai Allah
Karam Kya Mujhpe Ye Kam Hai
Ke Mere Saath Hai Allah
Tum Aarzu Ke Diye Jalakar
Khuda Se Achhi Ummid Rakhna
Khizañ Ke Mausam Ki Rukhsati Par
Bahar-e-Gul Ki Naveed Rakhna
Wo Tera Rab Hai Wo Tera Maula
Usi Se Achhi Ummid Rakhna
Usi Se Karna Tum Dil Ki Baatein
Usi Se Raaz-o-Niyaz Karna
Siyah Tareek Raatoñ Me
Mujhe Rasta Dikhata Hai
Ke Uska Hi Sahara To
Meri Himmat Badhata Hai
Khud Uski Raah Par Nikluñ
To Mujhko Aazmata Hai
Mere Is Aml Par Jannat Ki
Khushkhabri Sunata Hai
Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai
Jo Mere Saath Hai Allah
Karam Kya Mujhpe Ye Kam Hai
Ke Mere Saath Hai Allah
Zara Sa Jo Pukaruñ To
Meri Aawaz Sunta Hai
Mera Allah Mere Har Dukh Ka Hi
Hamraaz Banta Hai
Zara Sa Ashk Ke Badle
Mujhe Jo Muaf Karta Hai
Mere Daman Ke Sare Hi
Gunah Jo Saaf Karta Hai
Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai
Jo Mere Saath Hai Allah
Karam Kya Mujhpe Ye Kam Hai
Ke Mere Saath Hai Allah
Mera Jeena Mera Marna
Mere Maula Teri Khatir
Ke Teri Hi Ita’at Par
Ye Meri Jaan Bhi Haazir
Raza Teri Jo Hai Haasil
To Phir Sab Kuchh Hi Hai Haasil
Wa-Garna Phir Ye Qadmoñ Ki
Musafat Bhi Hai La-Hasil
Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai
Jo Mere Saath Hai Allah
Karam Kya Mujhpe Ye Kam Hai
Ke Mere Saath Hai Allah
Zamane Ke Hawatis Se
Mujhe Tu Phir Bacha Lena
Tera Kamzor Banda Hun
Tu Rahmat Me Chhupa Lena
Meri Sari Khataoñ Ko
Mere Maula Mita Dena
Wahañ Jannat Ke Baaghoñ Ka
Mujhe Waris Bana Dena
Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai
Jo Mere Saath Hai Allah
Karam Kya Mujhpe Ye Kam Hai
Ke Mere Saath Hai Allah
Recited by: Atiq Ur Rahman
Our Pages
- Hamd-E-Baari-T’aala
- Naat-E-Paak
- Rabiul Awwal Mutalliq Kalam
- Manqabat Ghaus e Azam
- Manqabat Ghareeb Nawaaz
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar