Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali a.s Lyrics | Irfan Haider
Ya Ali… Ya Ali…
Ali Ali Haye Ali- Haye Ali- Haye
Ali Ali Haye Ali- Haye Ali- Haye
Baba Jaan …..
Baba Ali….. Alvida
Haye Chaleesvi Hijri Ka Wo Koofa
Samne Tha Mere Maula Ka Janaza
Haye Baba Na Rahe Shor Bapa Tha
Ali Ali Haye Ali- Haye Ali- Haye
Jab Kafan Chehre Se Shabbar Ne Hataya
Ro Ro Ke Ye Zainab Ne Pukara
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye…
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye ….
Amma Ki Juadyi Ka Abhi Bhoole Kahañ Gham
Ab Aap Hameñ Chhor Chale Shah-e-Do Aalam
Baba Jaan.. Baba Jaan.. Baba Jaan..
Ab Kon Hameñ Dega Sahara
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye…
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye….
Gardan Me Rasan Aapke Baandhi Gayi Baba
Nana Ka Madina Bhi Hameñ Raas Na Aaya
Baba Jaan.. Baba Jaan.. Baba Jaan..
Na Raas Hameñ Aaya Ye Koofa
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye…
Allah Salamat Raheñ Sar Par Mere Bhai
Mushkil Hai Magar Baap Se Beti Ki Judayi
Baba Jaan.. Baba Jaan.. Baba Jaan..
Kis Tarha Sahungi Maiñ Ye Sadma
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye…
Lipta Hai Janaze Se Mere Bhai Ka Dilbar
Do Saal Ka Hai Phir Bhi Wo Rone Laga Sunkar
Baba Jaan.. Baba Jaan.. Baba Jaan..
Sajjad Ko Jab Maine Bataya
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye….
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Abbas Ko Dekhungi To Yaad Aaoge Baba
Hai Aapke Jaisa He Mere Bhai Ka Chehra
Baba Jaan.. Baba Jaan.. Baba Jaan..
Ghar Ho Gaya Veeran Hamara
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye….
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye…
Har Samt Udasi Hai, Qayamat Ka Hai Mañzar
Kulsoom Bhi Rotiñ Hai Musalle Se Lipatkar
Baba Jaan.. Baba Jaan.. Baba Jaan..
Lipti Haiñ Amame Se Ruqaiya
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Haye….
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali×2
Ali Ali Haye Ali
Ali Ali Haye Ali
Ali Ali Haye Ali, Haye Ali, Haye
Shabbar Ne Kafan Bandh Ke Chehre Ko Chhupaya
Shabbir Ne Zainab Ko Janaze Se Chhuraya
Kuchh Aur Bhi Ghar Walon Ko Is Gham Ne Rulaya
Abbas Ne Jab Aapki Mayyat Ko Uthaya
Gash Kha Ke Giriñ Zainab-o-Kulsoom-o-Ruqaiya
Kohram Utha Ghar Se Nikalta Hai Janaza
Ali Ali Mola Ali Haye Ali
Ali Ali Mola Ali Haye Ali
Ali Ali Mola Ali Haye Ali Haye
تھدمت واللہ ارکان الھدیٰ
Roke Ye Jibraeel Ne Koofe Me Di Sada
Rozadaroñ Aao Janaze Ko Do Kandha
Ye Janaza Hai Ali Ka
Ye Janaza Hai Ali Ka
Shahe Khaibar Geer Ka
Ye Janaza Hai Ali Ka
Haye Baba Mar Gaya hai
Shabbar-o-Shabbir Ka
Ye Janaza Hai Ali Ka
Ye Janaza Hai Ali Ka
Shahe Khaibar Geer Ka
Ye Janaza Hai Ali Ka
Ham Ho Gaye Yateem Ya Ali
Zeeshan Ho Irfan Ho Ya Naad-e-Ali Ho
Hai Sabke Labon Par Yehi Jumla
اللهم العن قتلۃ الامیرالمومنین
Allahumma la’n Qatalatal Ameer al Momineen
Allahumma lan Qatalatal Ameer al Momineen
Allahumma lan Qatalatal Ameer al Momineen
Allahumma lan Qatalatal Ameer al Momineen
Ya Ali……
Ya Ali۔۔ Ya Ali
Ya Ali۔۔ Ya Ali
Mola Tere Qatil Pe Lanat Ka Silsila
Na Ruka Tha, Na Ruka Hai, Na Rukega
Ham Raheñ Ya Na Raheñ
Kahenge Rozaadar – Lanat Be-shumar
Kahega Ye Sansar – Lanat Be-shumar
Ye Maayeñ, Bahneñ, Betiyañ
Ye Tifl Peer-o-Nau-jabañ
Kahenge Sare Azadar
Ibne Muljim Tujhpe
Lanat Lanat Lanat
Be-shumar Be-Shumar Be-shumar
Lanat Be-shumar
Lanat Be-shumar
Wo Namazi Tha Wo Rozadar
Kar Diya Sajde Me Tune War
Ibne Muljim Tujhpe
Lanat Lanat Lanat
Be-shumar Be-Shumar Be-shumar
Lanat Be-shumar
Lanat Be-shumar
Recited by: Sayed Irfan Haider
Poet: Zeeshan Abidi
Our Pages
Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics
Manqabat Imam Hussain As Lyrics
Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics
Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics
Noha Khwan