Jab Mah e Ramzan Aata Hai Lyrics | Mesum Abbas

Jab Mah e Ramzan Aata Hai Lyrics | Mesum Abbas

Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah
Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah
Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah
Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah

Ik Ahsaas Jagata Hai
Sabko Raah Dikhata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai

Ik Ahsaas Jagata Hai
Sabko Raah Dikhata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai

Nek Amal Karne Ke Din Haiñ
Khud Ko Nek Banao
Jinko Dukhoñ Ne Gher Liya Hai
Unke Dard Mitao

Allah .. Allah .. Allah..

Ik Paigham Sunaata Hai
Dil Ke Zakhm Mitata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai

Ik Ahsaas Jagata Hai
Sabko Raah Dikhata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai

Ramzan Ki Barkat.. Kya Kehna!
Allah Ki Rahmat… Kya Kehna!
Sehri Ki Ne’mat… Kya Kehna!
Din-Raat Ibadat… Kya Kehna!

Allah .. Allah .. Allah..

Khushiyañ Eid Ki Lata Hai
Bichhre Huoñ Ko Milaata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai.

Waqt-e-Sahar Ho Ya Aftaari
Dastarkhwan Bichha Kar,
Farz Ibadat Karni Hai
Bachhon Ko Sath Me La Kar,

Allah .. Allah .. Allah..

Yuñ Aadab Sikhata Hai
Ulfat-Pyar Badhata Hai,
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai.

Ik Ahsaas Jagata Hai
Sabko Raah Dikhata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai

Bhatke Huoñ Ko Raah Dikhana
Jhoot Se Nafrat Karna,
Bhoonkoñ Ko Roti Pahuchana
Muflis Ka Dam Bharna,

Allah .. Allah .. Allah..

Jo Allah Batata Hai
Us Raste Pe Chalata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai.

Sub’ha Sawere Pahle Namazeiñ
Uske Baad Tilawat,
Din Bhar Apna Rizq Kamana
Aur Roze Ki Halat,

Allah .. Allah .. Allah..

Jism Ko Paak Banata Hai
Rab Ki Yaad Dilaata Hai,
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai.

Ik Ahsaas Jagata Hai
Sabko Raah Dikhata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai

Maiyaar-e-Ibadat.. Hai Ramzan
Zahnoñ Ki Taharat.. Hai Ramzan
Sajdoñ Ki Riyazat.. Hai Ramzan
Bakhshish Ki Zamanat.. Hai Ramzan

Allah .. Allah .. Allah..

Dil Se Dil Ko Milata Hai
Jeena Hamko Sikhata Hai,
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai.

Mazhar-o-Mesum Ek Mahina
Saal Me Aisa Aaye,
Bande Se Mabood Ka Rishta
Jo Mazboot Banaye,

Allah .. Allah .. Allah..

Yaad Khuda Ki Lata Hai
Dil Sajde Me Jata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai.

Ik Ahsaas Jagata Hai
Sabko Raah Dikhata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai
Jab Mah-e-Ramzan Aata Hai

Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah
Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah
Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah
Allah Allah ‘Allah’ Allah Allah

Recited by: Mesum Abbas & Yusuf Abbas
Poetry & Composition: Mazher Abidi

Our Pages

Ramzan Mutalliq More Kalam

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali