Mujhe To Ali Chahiye Lyrics

Mujhe To Ali Chahiye Lyrics

 

Zamane Ke Har Ik Wali Ne Kaha
Mujhe To Ali Chahiye
Jo Haiñ Har Zamane Ke Mushkil Kusha
Mujhe To Ali Chahiye

 

Ali Ka Hai Imaan Bachpan Se Kaamil
Wo Mera Ali Panjtan Me Hai Shamil
Milega Jahañ Se Nabi Ka Pata
Mujhe To Ali Chahiye

 

Ali Ki Mohabbat Hai Imaañ Ka Hissa
Wahañ Kaam Aayega Mera Bharosa
Uthuñga Lahad Se Ye Kahta Hua
Mujhe To Ali Chahiye

 

Ye Zikre Ali Hai Nahiñ Band Hoga
Mere Baad Saara Zamana Kahega
Ye Mesum Ne Sooli Pe Chadhkar Kaha
Mujhe To Ali Chahiye

 

Wo Karbal Ki Waadi, Wo Shahar-e-Najaf Ho
Koi Bhi Ho Khitta Kisi Bhi Taraf Ho
Jalaya Hai Jisne Diye Se Diya
Mujhe To Ali Chahiye

 

Bane Jab Muhajir Aur Ansar Bhai
Nabi Ki Nigaheñ Ali Par Phiraayiñ
To Farmaya! Bhai Ali Hai Mera
Mujhe To Ali Chahiye

 

Mita kya Sakega Hameñ Ye Zamana
Hamari Taraf Hai Nabi Ka Gharana
Is Ummat Pe Hai Sayeda Ki Dua
Mujhe To Ali Chahiye

 

Khudaya Mera Bhi Muqaddar Jaga De
Mujhe Bhi Najaf Ka Musafir Bana De
Na Roke Zamana Mera Rasta
Mujhe To Ali Chahiye

 

Wiladat Hui Jinki Qaabe Ke Andar
Batata Hai Hamko Ye Khwaja Ka Tewar
Yehi Kah Rahe Haiñ Wo Khwaja Piya
Mujhe To Ali Chahiye

 

Maiñ Sunni Huñ Mujhko Ye Nisbat Mili Hai
Nigahoñ Me Mere Najaf Ki Gali Hai
Mubarak Ho Tujhko Tera Rahnuma
Mujhe To Ali Chahiye

 

Ye Izzat Ye Shohrat Ye Daulat Ye Sarvat
Mila Hai Ye Sab Kuch Ali Ki Badaulat
Mere Pass Sab Hai Ali Ka Diya
Mujhe To Ali Chahiye

 

Ae Noor-e-Mujassam Karo Zikr-e-Haider
Milenge Isi Raaste Se Payamber
Hussaini Jo Hoga Wo Dega Sada
Mujhe To Ali Chahiye

 

Manqabat Khwan: Ghulam Noore Mujassam
Shayar: Ghulam Noore Mujassam

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali