Maahe Meharban Ka Chand Lyrics
Chamka Mahe Meharbañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Shor Har Su Ye Barpa Hua
Chand Dekho Nazar Aa Gaya
Aasman-e-Darkhshañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Jisne Dekha Kaha Marhaba
Kul-ho-Wallah Kisi Ne Padha
Hai Wo Tanzeel-e-Quraañ Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Rozadaroñ Ke Chehre Khile
Nematoñ Ke Khazane Mile
Daulat-e-Shaan-e-Yazdaañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Kya Ghadi Shandar Aa Gayi
Masjidoñ Me Bahar Aa Gayi
Jagmagate He Isha Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Log Ik Doosre Se Kaheñ
Sajda-e-Shukr Karte Raheñ
Ho Mubarak Bahaarañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Ba-Asar Ab Duaeiñ Bhi Haiñ
Rahmatoñ Ki Ghataeiñ Bhi Haiñ
Aa Gaya Jaam-e-Irfañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Ab Musalmañ Na Ghaflat Kareñ
Be-Jhijhak Ab Ibadat Kareñ
Aa Gaya Qaid-e-Shaitañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Farz Roze To Saifi Rakho
Nekiyoñ Se Bhi Daman Bharo
Hai Ye Bakhshish Ke Samañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Chamka Mahe Meharbañ Ka Chand
Dekho-Dekho Wo Ramzañ Ka Chand
Recited by: Tasleem Arif
Lyrics: Aslam Saifi
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar