Bas Ek Shakl Hai Mahshar Me Muh Dikhane Ki Lyrics
Ya Ali… Ya Ali..
Mola.. Ali, Mola.. Ali
(Nisbat Mili Jo Peer Ki Sadqa Ali Ka Hai
Sabse Alag Tareekh Me Rutba Ali Ka Hai
Sher-e-Khuda Ke Waste Suraj Palat Gaya
Allah Bhi Kare Naaz Wo Sajda Ali Ka Hai)
Bas Ek Shakl Hai Mahshar Me Muh Dikhane Ki
Jabeeñ Pe Khaak Hai Haider Ke Aastane Ki.
Khuda Kare Na Uthe Sar Tumhari Chaukhat Se
Yehi Jagah Hai Zamane Me Sar Jhukane Ki.
Bas Ek Shakl Hai Mahshar Me Muh Dikhane Ki
Jabeeñ Pe Khaak Hai Haider Ke Aastane Ki.
Ya Ali… Ya Ali..
Humare Haath Me Bas Ik Tumhara Daman Hai
Tumhare Haath Me Taqdeer Hai Zamane.
Bas Ek Shakl Hai Mahshar Me Muh Dikhane Ki
Jabeeñ Pe Khaak Hai Haider Ke Aastane Ki
Mola.. Ali, Mola.. Ali
(Khaibar Ka Kaañp Jana Apni Jagah
Magar
Jo Arsh ko Hila De Wo Nara Ali Ka Hai)
Hai Waqya To Yehi Banda-e-Ali Hooñ Maiñ
Ye Aur Baat Hai, Soorat Nahiñ Jatane Ki.
Bas Ek Shakl Hai Mahshar Me Muh Dikhane Ki
Jabeeñ Pe Khaak Hai Haider Ke Aastane Ki
Ya Ali… Ya Ali..
Tumhari Deed Ibadat Hai Mere Mashrab Me
Mere Khameer Me Ulfat Hai Is Gharane Ki.
Bas Ek Shakl Hai Mahshar Me Muh Dikhane Ki
Jabeeñ Pe Khaak Hai Haider Ke Aastane Ki.
Mola.. Ali, Mola.. Ali
Wiqaar Aapka Ruswa Na Ho Do Aalam Me
Ye Ek Arz Thi Sarakar Ko Sunane Ki.
Bas Ek Shakl Hai Mahshar Me Muh Dikhane Ki
Jabeeñ Pe Khaak Hai Haider Ke Aastane Ki
Manqabat Khwan: Ibrahim Khan Junaidi
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar