Khwaja Hai Hamara Lyrics | Mohammad Ali Faizi

Khwaja Hai Hamara

Mera Khwaja Hai Hamara

 

Jo Ahle Khirad The Unhe Deewana Banaya
Ajmer Me Khwaja Ne Karishma Ye Dikhaya
Sagar Ke Bhare Paani Ko Pyale Me Magaya
Saabit Kiya Paani Pe Bhi Qabza Hai Hamara

Khwaja Hai Hamara
Mera Khwaja Hai Hamara

 

Jab Aarzi Raja Ke Badha Zulm Ka Charcha
Phir Abre Karam Shahar-e-Madina Se Uttha
Allah Ke Mahboob Ne Bharat Jise Bheja
Bharat Ki Zamiñ Boli Ye Raja Hai Hamara

Khwaja Hai Hamara
Mera Khwaja Hai Hamara

 

Ik Roz Maqabil Me Wo Jaipal Jo Aaya
Jadu Se Ura Aur Fiza Me Kahiñ Khoya
Khwaja Ki Khadaon Ne Sabaq Jake Sikhaya
Phir Kalama Padha Bola Ye Aaqa Hai Hamara

Khwaja Hai Hamara
Mera Khwaja Hai Hamara

 

Ik Aur Karamat Suno Ik Din Hua Aisa
Peetal Ki Bani Gaaye Se Bhi Doodh Nikala
Ye Dekh Hazaron Ne Wahiñ Padh Liya Kalama
Sab Ne Kaha Ab Ek Hi Data Hai Hamara

Khwaja Hai Hamara
Mera Khwaja Hai Hamara

 

Taiba Se Bahaar Aayi Hai Ajmer Chalo Na
Rahmat Ki Ghata Chhayi Hai Ajmer Chalo Na
Khwaja Ki Chhati Aayi Hai Ajmer Chalo Na
Ajmer Bhi Javed Madina Hai Hamara

Khwaja Hai Hamara
Mera Khwaja Hai Hamara

 

Manqabat Khwan: Mohammad Ali Faizi

Manqabat Khwaja Ghareeb Nawaz 2023

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali