Ya Zehra Lyrics – Irfan Haider

Ya Zehra Lyrics – Irfan Haider

 

 

Fatima Zehra, Fatima Zehra
Fatima Zehra, Fatima Zehra

Fatima Zehra, Fatima Zehra
Fatima Zehra, Fatima Zehra

Ya Zehra…. Ya Zehra….

 

Aye Meri Bibi
Tere Dar Pe Isteghasa Hai
Tera Mamnoon Meri Shahzaadi
Ye Jahañ Sara Hai

Ya Zehra…. Ya Zehra…..

 

Tu Hameñ Hifz Aur Amaañ Dede
Aapni Chadar Ka Sayebañ Dede
Teri Qudrat Me Kya Nahiñ Bibi
Tu Jise Chahe Do Jahañ Dede
Ya Zehra…. Ya Zehra….

Aye Meri Bibi
Añsuoñ Ne Dua Maañgi Hai
Teri Tasbeeh Padhke Dil Ne
Tujhe Pukara Hai
Ya Zehra….. Ya Zehra…..

 

Qarz Maqrooz Ka Ada Kar De
Muflisoñ Ka Naseeb Waa Kar De
Jinki Godi Bhari Nahiñ Bibi
Unko Aulaad Tu Ataa Kar De
Ya Zehra…. Ya Zehra….

Aye Meri Bibi
Bus Tu Hi Muraad Deti Hai
Teri Chaukhat Dar e Ilahi Ka
Iste’ara Hai
Zehra
Ya Zehra…. Ya Zehra….

 

Farsh e Majlis Pe Aur Musalle Par
Har Jawañ Kah Raha Hai Ro Ro Kar
Ham Raheñ Na Raheñ Magar Bibi
Ta Qayamat Rahe Gham e Sarwar
Ya Zehra…. Ya Zehra….

Aye Meri Bibi
Tere Bachhoñ Ka Gham Manate Haiñ
Apni Aulaad Se Kahiñ Badh Ke
Gham Ye Pyara Hai
Ya Zehra…. Ya Zehra…..

 

In Shaheedoñ Ka Ye Muqaddar Hai
Sayebaañ Inka Teri Chadar Hai
Inke Seenoñ Pe Aye Meri Bibi
Daagh e Matam Nishan e Haider Hai
Ya Zehra… Ya Zehra….

Aye Meri Bibi
Khuld Me Shaheed Jab Jayeñ
Teri Aawaz Aaye, Aane Do Ye Hamara Hai
Ya Zehra… Ya Zehra…

 

Khoon Ban Kar Rago Me Hai Nauha
Meri Nasloñ Me Bhi Rahe Nauha
Jaise Maine Padha Hai Bachpan Se
Mera Naad e Ali Padhe Nauha
Ya Zehra… Ya Zehra….

Aye Meri Bibi
Iske Dil Me Wilayat e Haider
Mere Maa Baap Ki Taharat Ka
Ik Ishara Hai
Ya Zehra.. Ya Zehra…

 

Tere Dil Par Hain Jo Sitam Toote
Zindagi Mein Jo Tune Ghum Dekhe
Aasmano Zameeñ Pe Gar Hote
Misle Shab, Wo Siyaah Ho Jate
Ya zahra…. Ya zahra…

Aye Meri Bibi. (2)
Dekh kar Teri Musibat Ko
Sare Aalam Ka Dil Masa’ib Se
Para Para Hai
Ya Zehra…. Ya Zehra….

 

Tujhko Ummat Ne Yuñ Sataya Hai
Ya Zehra….
Tujhko Ummat Ne Yuñ Sataya Hai
Marg e Mohsin Pe Bhi Rulaya Hai
Tujhko Baba Ke Baad Ummat Ne
Haye Darbar Me Bulaya Hai
Ya Zehra…. Ya Zehra….

Aye Meri Bibi
Kitne Sadme Uthaye Haiñ Tune
Jeete Ji Tujhko Meri Shahzadi
Gham Ne Mara Hai
Ya Zehra…. Ya Zehra….

 

Hai Ye Hi Mazhar Abidi Ki Dua
Tere Bachhoñ Ka Gham Rahe Zinda
Saath Irfan Ke Rahe Jaari
Tere Sadqe Me Kaarwan e Aza
Ya Zehra…. Ya Zehra….

Aye Meri Bibi
Tere Dar Pe Sar Jhukaate Haiñ
Har Hussaini Ka
Tere Tukdoñ Pe Hi Guzara Hai
Ya Zehra…. Ya Zehra….

 

Barq e Matam Shud Aalam e Baala
Mir e Mann Maula Sarwar e Zehra

Aaha Wa Waila
Aaha Wa Waila

 

Noha Khwan: Irfan Haider

Manqabat Fatima Zahra Sa Lyrics

 

Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir 

Nadeem Sarwar