Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad
Sayeda
Tahira
Raaziya
Marziya
Ae Umme Abiha, Ya Fatima Zehra
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 3
Darbar Me Bulaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 3
Baba Sitam Ki Inteha Mujh Par Hai Ho Gayi
Baba Teri Judayi Me Ji Bhar Na Ro Saki
Mujhko Bahot Sataya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Ummat Ne Sab Bhula Diye Ahsañ Rasool Ke
Tazim Kar Sake Na Ye Ghar Ki Batool Ke
Is Ghar Ka Dar Jalaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Chheena Hai Ghasiboñ Ne Fidaq Mujhse Be-Sabab
Haq Mangne Gayi Thi Adlat Me Baba Jaan
Mujhse Gawah Mañgaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Jo Zulm Dhaye Mujhpe Karuñ Ab Bayan Kya
Roushan Dinoñ Pe Padte Agar Hote Wo Siyah
Mujhko Bahut Rulaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Mohsin Shaheed Ho Gaya Zalim Ne Ki Jafa
Pahlu Pe Mere Ghar Ka Jo Darwaza Hai Gira
Ye Zulm Mujh Pe Dhaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Sahme Huye Haiñ Ghar Me Hussain Aur Mera Hasan
Mushkil Kusha Ke Dekhiye Gardan Me Hai Rasan
Mujhko Ye Din Dikhaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Be-Deen Ko Dikhayi Sanad Jab Rasool Ki
Haathoñ Me Leke Faar Di Aar Na Qubool Ki
Hukm e Nabi Bhulaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Ummat Ne Hamko Ajr e Risalat Hai Ye Diya
Haq Chheena Hai Ali Se Sitam Mujhpe Hai Kiya
Dil Mera Hai Dukhaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Ye Dastañ Sitam Ki Ali Deep Ne Likhi
Duniya Ke Samne Ye Haqiqat Bayan Ki
Ye Ban Jo Sunaya Gaya Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad × 2
Sayeda
Tahira
Raaziya
Marziya
Noha Khwan: Deep Rizvi
Manqabat Fatima Zahra Lyrics
- Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin
- Noore chashme mustafa hain fatima
- Fakhre mustafa hai fatima
- या फ़ातिमा ज़हरा तुम्हें बच्चों की क़सम है
- Kam nahi ye meri khushi zahra
- Kon samjhe bhala fatima kon hai
- Noor ki anjuman Fatima
- Izzat khuda Ki Fatima Binte Nabi Batool Hain
- Mazar e Fatima Kitna Udas Hai
- Khak Me Khak E Bashar Phir Se mila De Zahra