Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar Lyrics | Jainul Abdeen Jalali
Ya Maula .. Ya Maula ×2
Door Kar De Andhera Khudaya
Door Kar De Andhera Khudaya
Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar
Door Kar De Andhera To Kya Baat,
Hijr Ki Dhund Tareek Raatoñ Ka Ab
Ho Haram Me Sawera To Kya Baat Hai!
Is Se Badhkar Bhi Kya Koi Ejaz Hai
Unki Hurmat Pe Kat Jaye Gardan Meri,
Lutf Se Apne Kar Deñ Kisi Roz Ye
Poora Arman Mera To Kya Baat Hai!
Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar
Door Kar De Andhera To Kya Baat
Hijr Ki Dhund Tareek Raatoñ Ka Ab
Ho Haram Me Sawera To Kya Baat Hai!
Mere Hoñtoñ Pe Har Dam Raheñ Foot’te
Apne Aaqa Ki Tauseef Ke Zam-Zame,
Iske Badle Mujhe Qabr Aur Hashr Me
Rahmatoñ Ne Ho Ghera To Kya Baat!
Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar
Door Kar De Andhera To Kya Baat
Hijr Ki Dhund Tareek Raatoñ Ka Ab
Ho Haram Me Sawera To Kya Baat Hai!
Rashk Mere Muqaddar Pe Karne Lageñ
Sab Farishte Bhi, Hooreñ Bhi, Ghilman Bhi,
Kamli Wale Ke Qadmoñ Me Yuñ Jake Maiñ
Daal Dooñ Apna Dera To Kya Baat Hai!
Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar
Door Kar De Andhera To Kya Baat
Hijr Ki Dhundh Tareek Raatoñ Ka Ab
Ho Haram Me Sawera To Kya Baat Hai!
Sabz Gumbad Ko Mushtaq Nazroñ Se Maiñ
Tik Tiki Baañdh Kar Aise Takta Rahuñ,
Lab Pe Salle Ala Ka Mere Wird Ho
Dam Nikal Jaye Mera To kya Baat Hai!
Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar
Door Kar De Andhera To Kya Baat
Hijr Ki Dhundh Tareek Raatoñ Ka Ab
Ho Haram Me Sawera To Kya Baat Hai!
Ae Khuda Apne Mahboob-e-BarHaq Ki Tu
Khwab Me Hi Ziyarat Kara De Kabhi,
Mustahiq To Nahiñ Maiñ Is Ezaaz Ka
Fazl Ho Jaye Tera To Kya Baat Hai!
Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar
Door Kar De Andhera To Kya Baat
Hijr Ki Dhundh Tareek Raatoñ Ka Ab
Ho Haram Me Sawera To Kya Baat Hai!
Roz-e-Mahshar Karam Yuñ Ho Salman Par
Jab Pareshañ Khada Ho Wo Meezan Par,
Aa Ke Khud Wo Farishtoñ Se Kah deñ Wahañ
Ye Sana-Khwañ Hai Mera To Kya Baat Hai!
Meri Qismat Ka Mere Khuda Tu Agar
Door Kar De Andhera To Kya Baat
Hijr Ki Dhundh Tareek Raatoñ Ka Ab
Ho Haram Me Sawera To Kya Baat Hai!
Naat Khwan: Zain Ul Abdeen Jalali
Athar Jalali & Mazhar Jalali
Lyrics: Sayyad Salman Gilani
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar