Kyun Chor Jaati Hai Maa Noha Lyrics
Gir Chuka Dar Fatima Par
(Ab Hai Zakhmi Mohammad Ki Beti)
Haye Ik Din Sar Jhukaye
(Apne Hujre Me Baithi Hui Thi)
Phir Hussain Aake Amma Se Kahne Lage
Aañkh Me Kyuñ Haiñ Aañsu Batao Mujhe,
Fatima Ne Kaha Mere Noore Nazar
Aaj Amma Ki Yaad Aa Rahi Hai Mujhe,
Sun Ke Maa Ki Sada Dil Tadapne Laga
Roke Shabbir Ne Fatima Se Kaha,
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Uñgli Pakad Ke Chalaya
Seene Se Apne Lagaya,
In Teen(3) Saaloñ Me Amma
Tumne Bahut Kuchh Sikhaya,
Maa Se Bichhar Ke Jeete Haiñ Kaise
Kya Ye Sikhaati Hai Maa?
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Darwaza Jab Se Gira Hai
Pahlu Shakishta Hua Hai,
Tooti Huyi Pasliyañ Haiñ
Shabbir Sab Janta Hai,
Takleef Me Huñ, Bachhoñ Ko Apne
Kab Ye Bataati Hai Maa !
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Is Fikr Me Jaag Jaana
Pyasa Na Ho Mera Beta,
Ehsaas Hai Mujhko Amma
Kya Pyar Hota Hai Maa Ka,
Raatoñ Ko Uth kar Bete Ko Apne
Paani Pilaati Hai Maa.
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Qissa Mujhe Ek Maa Ka
Bhaiya Hasan Ne Sunaya,
Beta Wahiñ Samne Tha
Jab Maa Ne Khaya Tamacha,
Kab Apne Ghar Me Betoñ Se Apna
Chehra Chhupaati Hai Maa.
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Jab Se Laga Taziyana
Mushkil Tha Mujhko Sunana,
Jab Haath Dekha Tumhara
Tab Jaake Maine Ye Jana,
Ho Haath Zakhmi Phir Bhi Thapak Kar
Lori Sunati Hai Maa.
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Shabbir Ne Phir Sada Di
Kya Chhor Jaogi Tum Bhi?
Kyuñ Aisa Kahti Ho Amma
Rahti Nahiñ Maa Kisi Ki?
Achha Batao Kya Door Jake
Phir Laut Aati Hai Maa?
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Maa Ne Kaha Phir Ye Shabbir Se
Har Maa To Aati Nahiñ Laut Ke,
Ae Mere Dil, Mere Noore Nazar
Zehra Ka Ab Tumse Wada Hai Ye,
Jab Tum Bulaoge Aayegi Maa
Seene Se Tumko Lagayegi Maa.
Haañ…..
Ik Roz Aisa Bhi Aaya
Tha Fatima Ka Janaza,
Rukh Se Kafan Jab Hataya
Shabbir Ne Maa Se Poochha,
Zere Kafan Bhi Aawaz Sunkar
Aañsu Bahaati Hai Maa?
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Bin Maa Ke Bachhoñ Se Aake
Jab Haal Poochha Ali Ne,
Haye Raza Aur Zeeshan
Shabbir Ro Ro Ke Bole,
Ae Baba Ghar Me Lagta Nahiñ Dil
Jab Yaad Aati Hai Maa.
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Haye….
Kyuñ Chor Jaati Hai Maa×2
Noha Khwan: Syed Raza Abbas Zaidi
Poetry: Janab Zeeshan Abidi
Manqabat Fatima Zahra Lyrics
- Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin
- Noore chashme mustafa hain fatima
- Fakhre mustafa hai fatima
- या फ़ातिमा ज़हरा तुम्हें बच्चों की क़सम है
- Kam nahi ye meri khushi zahra
- Kon samjhe bhala fatima kon hai
- Noor ki anjuman Fatima
- Izzat khuda Ki Fatima Binte Nabi Batool Hain
- Mazar e Fatima Kitna Udas Hai
- Khak Me Khak E Bashar Phir Se mila De Zahra