Mehman e Karbala Lyrics
मेहमान ए कर्बला नोहा
Dil Kab Se Bekarar Tha Jaane Ko Karbala
Ik Din Mere Hussain Ne Sun Li Meri Dua
Aaya Bulawa Karb-o-Bala Maiñ Pahuñch Gaya
Rakkha Qadam To Aane Lagi Dil Se Ye Sada
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala
Mehman-e-Karbala Huñ Maiñ
Mehman-e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Kaisa Hameñ Hussain Ne Rutba Ye De Diya
Ye Zair-e-Hussain Pe Kaisa Karam Hua
Har Zair-e-Hussain Hai Pahchan-e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Ae Zairoñ Ye Sach Hai Koi Dastañ Nahiñ
Baaqi Kahiñ Yazeed Ka Naam-o-Nishañ Nahiñ
Mola Hussain Ab Bhi Haiñ Sultan-e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Ye Rounaqeiñ Ye Chhaya Hua Rob Ye Bharam
Mahsoos Ho Raha Hai Mujhe Dekh Kar Haram
Abbas-e-Ba-Wafa Haiñ Dil-o-Jaan -e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Dil Karbala Ki Yaad Me Rota Tha Har Ghadi
Rahta tha Mere Hoñto Pe Har waqt Bas Yehi
Ik Baar Jake Dekh Luñ Maiñ Shan-e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Choudah Sau Saal Pahle Qayamat Ka Tha Sama
Ujra Tha Fatima Ka Gulistan Jab Yahañ
Aabad Tab Hua Hai Gulistan-e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Hai Yaad Mujhko Ab Bhi Wo Bajte Huye Taashe
Wo Garm Zamiñ Aur Wo Bikhre Huye Lashe
Maiñ Bhoola Nahiñ Aaj Bhi Maidan-e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Pyase The Bachhe Samne Nahr-e-Furat Thi
Khaime Jale Huye The Qayamat Ki Raat Thi
Ghurbat Pe Ro Raha Tha Bayaban-e-Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Aamir Se Kah Rahe Haiñ Ye Zeeshan Aabidi
Ham Kya Sunayeñ Shaan Bhala Is Zamin Ki
Parwardigar Khud Hai Sana Khwane Karbala
Kam To Nahiñ Hai Mujhpe Ye Ehsan-e-Karbala×2
Kalam: Mehmaan e Karbala
Reciter: Dr Amir Rizvi
Poet: Zeeshan Abidi
Related Post:
Manqabat Shahidan e Karbala And Noha Lyrics
Kaise Main Dafnauñ Sakina Lyrics
Utho Baba Mein Zainab Hun Lyrics