Kis Se Maangeñ, Kahañ Jaayeñ, Kis Se Kaheñ

Kis Se Maangeñ, Kahañ Jaayeñ, Kis Se Kaheñ Lyrics in Urdu Hindi and English | کس سے مانگیں ،کہاں جائیں ، کس سے کہیں | किस से मांगें, कहां जाएं, किस से कहें

Kalam e Peer Naseeruddin Naseer Gilani R.a


    हिंदी में पढ़िए   

 اردو میں پڑھیے


Hamd e Baari T’aala

Kis Se Maangeñ, Kahañ Jaayeñ, Kis Se Kaheñ

Kis Se Maangeñ, Kahañ Jaayeñ, Kis Se Kaheñ,
Aur Duniya Me Haajat Rawa Kaun Hai

Sab Ka Data Hai Tu, Sab Ko Deta Hai Tu,
Tere Bandoñ Ka Tere Siwa Kaun Hai.

 

Kaun Maqbool Hai, Kaun Mardood Hai,
Be-khabar! Kya Khabar Tujhko Kya Kaun Hai

Jab Tuleñge ‘Amal Sab Ke Meezaan Par
Tab Khulega Ke KhoTa Khara Kaun Hai.

 

Kaun Sunta Hai Faryaad Mazloom Ki,
Kis Ke Haathoñ Meiñ Kunji Hai Maqsoom Ki

Rizq Per Kis Ke Palte Haiñ Shah-o-Gada,
Masnad-Aara-e-Bazm-e-‘Ata Kaun Hai.

 

Auliya Tere Mauhtaaj Ae Rabb-e-Kul !
Tere Bande Hain Sab Ambiya-o-Rusul

Inki Izzat Ka Baais Hai Nisbat Teri,
Inki Pahchan Tere Siwa Kaun Hai.

 

Mera Maalik Meri Sun Raha Hai Fughaañ,
Jaanta Hain Wo Khaamoshiyoñ Ki Zubaañ

Ab Meri Raah Mein Koyi Haail Na Ho,
Naama-Bar Kya Bala Hai, Saba Koun Hai.

 

Ibtida Bhi Wohi, Inteha Bhi Wohi,
Nakhuda Bhi Wohi Hai, Khuda Bhi Wohi

Jo Hai Saare Jahanoñ Me Jalwa Numa
Us Ahad Ke Siwa Doosra Kaun Hai.

 

Wo Haqaaiq Hoñ Ashiya Ke Ya Khushk-o-Tar,
Fahm-o-Idraak Ki Zad Meiñ Haiñ Sab, Magar

Maa-Siwa, Ek Us Zaat-e-Be-Rang Ke
Fahm-o-Idraak Se Maa-wara Kaun Hai.

 

Ambiya, Auliya, Ahl-e-Bait-e-Nabi,
Taaba’een-o-Sahaaba Pe Jab Aa Bani

Gir Ke Sajde Meiñ Sab Ne Yahi Arz Ki
Tu Nahiñ Hai To Mushkil-Kusha Kaun Hai.

 

Ahl-e-Fikr-o-Nazar Jaante Haiñ Tujhe,
Kuchh Na Hone Pe Bhi Maante Hain Tujhe

Ae Naseer ! Is Ko Tu Fazl-e-Baari Samajh
Warna Teri Taraf Dekhta Kaun Hai


Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali