Thi Jis Ke Muqaddar Mein | تھی جس کے مقدر میں

Thi Jis Ke Muqaddar Mein Gadayi Tere Dar Ki Lyrics in Urdu Hindi and English | थी जिसके मुक़द्दर में गदाई तेरे दर की | تھی جس کے مقدر میں گدائی ترے در کی

Kalam e Peer Naseer R.a


हिंदी में पढ़ें


Thi Jis Ke Muqaddar Mein Gadayi Tere Dar Ki

تھی جس کے مقدر میں گدائی ترے در کی
قدرت نے اسے راہ دکھائی ترے در کی
Thi Jis Ke Muqaddar Mein Gadayi Tere Dar Ki
Qudrat Ne Use Raah Dikhayi Tere Dar Ki.

 

ہر وقت ہے اب جلوہ نمائی ترے در کی
تصویر ہی دل میں اتر آئی ترے در کی
Har Waqt Hai Ab Jalwa-Numayi Tere Dar Ki
Tasveer Hi Dil Mein Utar Aayi Tere Dar Ki.

 

ہیں عرض و سماوات تری ذات کا صدقہ
محتاج ہے یہ ساری خدائی ترے در کی
Haiñ Arz-o-Samawaat Teri Zaat Ka Sadqa
Mohtaj Hai Ye Saari Khudaayi Tere Dar Ki.

 

انوار ہی انوار کا عالم نظر آیا
چلمن جو ذرا میں نے اٹھائی ترے در کی
Anwaar Hi Anwaar Ka ‘Aalam Nazar Aaya
Chilman Jo Zara Maine Uthaayi Tere Dar Ki.

 

مشرب ہے مرا تیری طلب تیرا تصور
مسلک ہے مرا صرف گدائی ترے در کی
Mashrab Hai Mera, Teri Talab, Tera Tasawwur
Maslak Hai Mera Sirf Gadaayi Tere Dar Ki.

 

در سے ترے الله کا در ہم کو ملا ہے
اس اوج کا باعث ہے رسائی ترے در کی
Dar Se Tere Allah Ka Dar Hum Ko Mila Hai
Is Auj Ka Baais Hai Rasaayi Tere Dar Ki.

 

اک نعمت عظمیٰ سے وہ محروم رہ گیا
جس شخص نے خیرات نہ پائی ترے در کی
Ik Ne’mate ‘Uzma Se Wo Mehroom Rah Gaya
Jis Shakhs Ne Khairaat Na Payai Tere Dar Ki.

 

میں بھول گیا نقش و نگار رخ دنیا
صورت جو مرے سامنے آئی ترے در کی
Maiñ Bhool Gaya Naqsh-o-Nigaar-e-Rukh-e-Duniya
Soorat Jo Mere Saamne Aayi Tere Dar Ki.

 

تازیست ترے در سے مرا سر نہ اٹھے گا
مر جاؤں تو ممکن ہے جدائی ترے در کی
Taa-Zeest Tere Dar Se Mera Sar Na Uthe Ga
Mar Jaauñ To Mumkin Hai Judaayi Tere Dar Ki.

 

صد شکر کہ میں بھی ہوں بھکاری ترے در کا
صد فخر کہ حاصل ہے گدائی ترے در کی
Sad Shukr Keh Main Bhi Hooñ Bhikaari Tere Dar Ka
Sad Fakhr Keh Haasil Hai Gadaayi Tere Dar Ki.

 

پھر اس نے کوئی اور تصور نہیں باندھا
ہم نے جسے تصویر دکھائی ترے در کی
Phir Us Ne Koi Aur Tasawwur Nahi Baañdha
Hum Ne Jise Tasveer Dikhaayi Tere Dar Ki.

 

ہے میرے لیے تو یہی معراج عبادت
حاصل ہے مجھے ناصیہ سائی ترے در کی
Hai Mere Liye To Yahi Me’raaj-e-Ibadat
Haasil Hai Mujhe Naasiya-Saayi Tere Dar Ki.

( ناصیہ سائی کے معنی : ماتھا رگڑنا ، جبیں سائی، سجدہ ریزی
Naasiya-Saayi Meaning : Maatha ragadna, Jabeeñ saayi, sajda rezi)

 

پانے کو تو خورشید و قمر چرخ نے پائے
!کیا پایا؟ اگر خاک نہ پائی ترے در کی
Paane Ko To Khursheed O Qamar Charkh Ne Paaye
Kya Paaya? Agar Khaak Na Paayi Tere Dar Ki !

 

رویا ہوں میں اس شخص کے پاوں سے لپٹ کے
جس نے بھی کوئی بات سنائی تیرے در کی
Roya Hooñ Maiñ Us Shakhs Ke Paaoñ Se Lipat Kar
Jis Ne Bhi Koyi Baat Sunaayi Tere Dar Ki.

 

آیا ہے نصیر آج تمنا یہی لے کر
پلکوں سے کیے جائے صفائی ترے در کی
Aaya Hai Naseer Aaj Tamanna Yahi Le Kar
Palkoñ Se Kiye Jaaye Safaayi Tere Dar Ki.

شاہ نصیر الدین نصیر گیلانی رحمتہ الله علیہ


Our Pages

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali