Mehshar Mein Maghfirat Ki Sanad Ghous e Paak Haiñ Lyrics in Urdu and English | مَحشَر میں مَغفِرَت کی خَبَر غوثِ پاک ہیں
Kalam e Peer Naseer R.a
Mehshar Mein Maghfirat Ki Sanad Ghous e Paak Haiñ
مَحشَر میں مَغفِرَت کی خَبَر غوثِ پاک ہیں
سب کُچھ مِرا ہے میرے اگر غوثِ پاک ہیں
Mehshar Mein Maghfirat Ki Sanad Ghous e Paak Haiñ
Sab Kuchh Mera Hai Mere Agar Ghous e Paak Haiñ.
خیرُ الوریٰ کی آل ہیں مولا علیؓ کے لال
خیرُالنّساؓ کے نُورِ نَظَر غَوثِ پاک ہیں
Khairul Wara Ki Aal Haiñ, Maula Ali Ke Laal
Khair-un-Nisa Ke Noor-e-Nazar Ghous-e-Paak Haiñ.
گردَن پہ ہر ولی کے قدَم غَوثِ پاک کا
تارے ہیں سب ولی تَو قمر غَوثِ پاک ہیں
Gardan Pe Har Wali Ke Qadam Ghous-e-Paak Ka
Taare Haiñ Sab Wali To Qamar Ghous-e-Paak Haiñ.
مایُوسِیوں میں دِل اُجالا اُن کا نام ہے
شَبہاۓ غَم میں نُورِ سَحَر غَوثِ پاک ہیں
Maayusiyoñ Meiñ Dil Ujala Un Ka Naam Hai
Shab’haa-e-Gham Meiñ Noor-e-Sahar Ghous-e-Paak Haiñ.
بغداد مُحتَرَم دیارِ نبی کے بعد
یعنی رَسُول اِدھر تَو اُدھر غَوثِ پاک ہیں
Baghdad Mohraram Hai Dayare Nabi Ke Baad
Y’ani Rasool Idhar To Udhar Ghous-e-Paak Haiñ.
اِلحاد و زندقہ کو فنا کرکے رکھ دیا
دِینِ مُبِیں کی فتح و ظفَر غَوثِ پاک ہیں
Ilhaad-o-Zandaqa Ko Fana Kar Ke Rakh Diya
Deene Mubeeñ Ki Fat’ho-Zafar Ghous-e-Paak Haiñ.
اُن کے نَسَب میں نُورِ مُحَمَّد ہے جَلوَہ گر
بےشک حَسَنؓ کے لَختِ جِگر غَوثِ پاک ہیں
Un Ke Nasab Mein Noor-e-Muhammad ﷺ hai Jalwa Gar
Be Shak Hasan Ke Lakht-e-Jigar Ghous-e-Paak Haiñ.
ہیں اَولِیا کے یُوں تَو مراتِب جُدا جُدا
اِن سب کے سربراہ مگر غَوثِ پاک ہیں
Haiñ Auliya Ke Yuñ To Maraatib Juda Juda
In Sab Ke Sarbaraah Magar Ghous e Paak Haiñ.
قُربَت خُدا سے اَور قَرابَت رَسُول سے
مِہرِ سِپِہرِ نَوعِ بَشَر غَوثِ پاک ہیں
Qurbat Khuda Se Aur Qaraabat Rasool Se
Mehre Sipehre Nau’e Bashar Ghous-e-Paak Haiñ.
کیا خُوب ہے نصیرؔ یہ مِصرع امیرؔ کا
”اللہ بھی اُدھر ہے جِدھر غوثِ پاک ہیں“!
Kya Khoob Hai ‘Naseer’ Ye Misra ‘Ameer’ Ka
“Allah Bhi udhar hai jidhar Ghous-e-Paak Haiñ”!
کلام: پیر نصیرالدین نصیر ر۔ع
کتاب: فیضِ نسبت
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar