Haq Ada-o-Haq Numa Baghdad Ki Sarkar Hai Lyrics in Urdu and English | حق ادا و حق نُما، بغداد کی سَرکار ہے
Kalam e Peer Naseer R.a
Haq Ada-o-Haq Numa Baghdad Ki Sarkar Hai
حق ادا و حق نُما، بغداد کی سَرکار ہے
کیا تجھے بتلاؤں، کیا بغداد کی سَرکار ہے
Haq Ada-o-Haq Numa Baghdad Ki Sarkar Hai.
Kya Tujhe Batlaauñ, Kya Baghdad Ki Sarkar Hai.
مرجعِ اہلِ صفا بغداد کی سَرکار ہے
سربراہِ اولیاء بغداد کی سَرکار ہے
Marja-‘e-Ahl-e-Safa Baghdad Ki Sarkar Hai.
Sarbaraah-e-Auliya Baghdad Ki Sarkar Hai.
اِتباعِ اُسوۂ خیرالوریٰؐ میں عمر بھر
پیکرِ خوفِ خدا بغداد کی سَرکار ہے
Ittibaa-‘e-Uswa-e-Khairul-Wara Meiñ ‘Umr Bhar
Paikar-e-Khouf-e-Khuda Baghdad Ki Sarkar Hai.
جس کی حق گوئی سے اہلِ شرک و بدعت کانپ اُٹھے
ترجماں توحید کا بغداد کی سَرکار ہے
Jis Ki Haq Goyi Se Ahle Shirko Bid’at Kaañp Uthe
Tarjumañ Touheed Ka Baghdad Ki Sarkar Hai.
میری، تیری حمد میں حرص و غرض بھی ہے شریک
لائقِ حمدِ خدا بغداد کی سَرکار ہے
Meri, Teri Hamd Mein, Hirs-o-Gharaz Bhi Hai Shareek
Laaiq-e-Hamd-e-Khuda Baghdad Ki Sarkar Hai.
قاضی الحاجات کے در پر رہا جو سجدہ ریز
عجز کی وہ انتہا بغداد کی سَرکار ہے
Qaazi-ul-Haajaat Ke Dar Par Raha Jo Sajda-Rez
‘Ijz Ki Woh Inteha Baghdad Ki Sarkar Hai.
شب کی تاریکی میں تنہا دست بستہ اشک بار
حاضرِ بابِ عطا بغداد کی سَرکار ہے
Shab Ki Taareeki Mein Tanha Dast-Basta Ashk-Baar
Haazir-e-Baab-e-‘Ata Baghdad Ki Sarkar Hai.
دن کو مصروفِ عبادت، شام کو سرگرمِ ذکر
شب کو محوِ التجا بغداد کی سَرکار ہے
Din Ko Masroof-e-‘Ibadat, Shaam Ko Sargarm-e-Zikr
Shab Ko Mehv-e-Iltija Baghdad Ki Sarkar Hai.
اولیا کے ساتھ اطلاقِ ولایت میں شریک
شان میں سب سے جدا بغداد کی سَرکار ہے
Auliya Ke Saath Itlaaqe Wilayat Meiñ Shareek
Shaan Meiñ Sab Se Juda Baghdad Ki Sarkar Hai.
علم و حکمت میں علیؑ مولٰی کا سجّادہ نشیں
رازدارِ ھل اتٰی بغداد کی سَرکار ہے
‘Ilmo Hikmat Meiñ Ali Maula Ka Sajjada Nasheeñ
Raazdaar-e-Hal-Ataa Baghdad Ki Sarkar Hai.
کیا نبوّت کے جہانوں میں ہے ذاتِ مصطفٰیؐ
فقر کی دُنیا میں کیا بغداد کی سَرکار ہے
Kya Naboowwat Ke Jahanoñ Meiñ Hai Zaat e Mustafa !
Faqr Ki Duniya Meiñ Kya Baghdad Ki Sarkar Hai!
جہل کی بنجر زمیں کو جس نے جل تھل کر دیا
علم کی ایسی گھٹا بغداد کی سَرکار ہے
Jahl Ki Banjar Zameeñ Ko Jis Ne Jal-Thal Kar Diya
‘ilm Ki Aisi Ghata Baghdad Ki Sarkar Hai.
قُدرتیں پائیں، مگر قُدرت پہ اِترایا نہیں
شرحِ تسلیم و رضا بغداد کی سَرکار ہے
Qudrateñ Paayeeñ Magar Qudrat Pe Itraaya Nahi
Shar’he Tasleem-o-Raza Baghdad Ki Sarkar Hai.
ہاتھ اُٹھتے تھے مگر مولٰی کی مرضی دیکھ کر
واقفِ سرِ دُعا بغداد کی سَرکار ہے
Haath Uthte The Magar Maula Ki Marzi Dekh Kar
Waaqif-e-Sirr-e-Du’a Baghdad Ki Sarkar Hai.
“دین کو کس نے کیا زندہ” جب اُٹھّا یہ سوال
کہہ اُٹھی خلقِ خدا بغداد کی سَرکار ہے
“Deen Ko Kis Ne Kiya Zinda” Jab Uttha Ye Sawaal
Kah Uthi Khalq-e-Khuda “Baghdad Ki Sarkar Hai”.
ذاتِ باقی پر مٹا کر اپنی فانی ذات کو
دَہْر میں نقشِ بقا بغداد کی سَرکار ہے
Zaat-e-Baaqi Par Mita Kar Apni Faani Zaat Ko
Dahr Meiñ Naqsh-e-Baqa Baghdad Ki Sarkar Hai.
منبع حُِبّ علیؑ سر چشمۂ مہرِؒ علی
وارثِ آلِ عبا بغداد کی سَرکار ہے
Mamba-‘e-Hubb-e-Ali, Sar-Chashma-e-Mehr-e-Ali
Waaris-e-Aal-e-‘Aba Baghdad Ki Sarkar Hai.
انبیا کو ناز جس پر، اولیا کو جس پہ فخر
صاحبِ بختِ رسا بغداد کی سَرکار ہے
Ambiya Ko Naaz Jis Par, Auliya Ko Jis Pe Fakhr
Saahib-e-Bakht-e-Rasa Baghdad Ki Sarkar Hai.
جس کے ہاتھوں پر ہوئیں ظاہر کراماتِ کثیر
حیرتوں کی انتہا بغداد کی سَرکار ہے
Jis Ke Haathoñ Par Huyeeñ Zaahir Karaamaat-e-Kaseer
Hairatoñ Ki Inteha Baghdad Ki Sarkar Hai.
عقلِ ظاہر جس کی چوکھٹ پر رگڑتی ہے جبیں
ایسی قدرت آزما بغداد کی سَرکار ہے
‘Aql-e-Zaahir Jis Ki Choukhat Par Ragadti Hai Jabeeñ
Aisi Qudrat Aazma Baghdad Ki Sarkar Hai.
عبدِ قادر ہے مگر قادر نے وہ بخشا مقام
مرکزِ رُشد و ہُدٰی بغداد کی سَرکار ہے
‘Abd-e-Qaadir Hai Magar Qaadir Ne Bakhsha Woh Maqaam
Markaze Rushd-o-Huda Baghdad Ki Sarkar Hai.
آج بھی پاتے ہیں اربابِ طلب در پردہ فیض
کیا عطا کا سلسلا بغداد کی سَرکار ہے
Aaj Bhi Paate Haiñ Arbaab-e-Talab Dar-Parda Faiz
Kya ‘Ataa Ka Silsila Baghdad Ki Sarkar Hai.
جس کی صورت دیکھنے سے یاد آ جاۓ خدا
ایسا عبدِ حق نُما بغداد کی سَرکار ہیں
Jis Ki Soorat Dekhne Se Yaad Aa Jaaye Khuda
Aisa ‘Abd-e-Haq-Numa Baghdad Ki Sarkar Hai.
اُونچے اُونچوں نے سر آنکھوں پر لیا جس کا قدم
وہ انوکھا پیشوا بغداد کی سَرکار ہے
Ooñche Ooñchoñ Ne Sar-Aañkhoñ Par Liya Jis Ka Qadam
Woh Anokha Peshwa Baghdad Ki Sarkar Hai.
جو خدا کا نام لے کر شرک سے ٹکرا گئے
کربلا والے ہیں یا بغداد کی سَرکار ہے
Jo Khuda Ka Naam Le Kar Shirk Se Takra Gaye
Karbala Waale Haiñ Ya Baghdad Ki Sarkar Hai.
پیر تیرا کون ہے محشر میں جب پوچھا گیا
مَیں نے برجستہ کہا بغدار کی سَرکار ہے
Peer Tera Kaun Hai Mehshar Mein Jab Poochha Gaya
Maine a Baghdad Ki Sarkar Hai.
نقشبندی سہروردی ہوں کہ چشتی سب کے سب
مقتدی ہیں، مقتدٰی بغداد کی سَرکار ہے
Naqshbandi Sohrwardi Hoñ Ke Chishti, Sab Ke Sab
Muqtadi Haiñ, Muqtada Baghdad Ki Sarkar Hai.
وعظ فرماتا رہا منبر پہ جو چالیس سال
وہ خطیبِ حق نوا بغداد کی سَرکار ہے
Waaz Farmaata Raha Mimbar Pe Jo Chaalees Saal
Woh Khateeb-e-Haq-Numa Baghdad Ki Sarkar Hai.
بر سرِ منبر تکلّم سن کے بول اُٹھتے عرب
ہیں علیؑ یا لب کشا بغداد کی سَرکار ہے
Bar-Sar-e-Mimber Takallum Sun Ke Bol Utthe Arab
Haiñ Ali Ya Lab-Kusha Baghdad Ki Sarkar Hai !
چاہنے والوں کے دل میں، آنکھ میں، ادراک میں
جلوہ فرما جا بجا بغداد کی سَرکار ہے
Chaahbe Waaloñ Ke Dil Mein, Aankh Mein, Idraak Meiñ
Jalwa Farama Jaa-Bajaa Baghdad Ki Sarkar Hai.
دل نے پوچھا کون ہے ولیوں سے رُتبے میں بڑا
غیب سے آئ ندا بغداد کی سَرکار ہے
Dil Ne Poochha Kaun Hai Waliyoñ Se Rutbe Meiñ Bada
Ghaib Se Aayi Nida Baghdad Ki Sarkar Hai.
کیا بگاڑے گی ترا سر مارلے دُنیا نصؔیرؒ
پُشت پر تیری سدا بغداد کی سَرکار ہے ۔
Kya Bigaade Gi Tera Sar Maar Le Duniya Naseer
Pusht Par Teri Sada Baghdad Ki Sarkar Hai.
کلام: پیر سیّد نصیر الدین نصیرؔ جیلانی رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ
کتاب: فیضِ نسبت
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar