Khallaq e Kayenat Ki Rahmat Hain Ghause Paak Lyrics in Urdu and English | خلاقِ کائنات کی رحمت ہیں غوثِ پاک
Khallaq e Kayenat Ki Rahmat Hain Ghause Paak
خلاقِ کائنات کی رحمت ہیں غوثِ پاک
سلطان دوجہاں کی عنایت ہیں غوث پاک
Khallaq e Kayenat Ki Rahmat Hain Ghause Paak
Sulatan e Do Jahañ Ki Inayat Hain Ghause Paak.
لاریب بادشاہِ ولایت ہیں غوثِ پاک
انوارِ آفتابِ رسالت ہیں غوثِ پاک
Laaraib Badshah e Wilayat Hain Ghause Paak
Anwaar e Aaftab e Risalat Hain Ghause paak.
سر تا بپا نبی کی عنایت ہیں غوثِ پاک
مولا علی کے باغ کی نکہت ہیں غوثِ پاک
Sar-Ta-Ba-Pa Nabi Ki Inayat Hain Ghause paak
Maula Ali Ke Baagh Ki Nik’hat Hain Ghause Paak.
شانِ حضور ، کانِ کرامت ہیں غوثِ پاک
اک گنجینۂِ فضیلت و برکت ہیں غوثِ پاک
Shaan-e-Huzur, Kaan-e-Karamat Haiñ Ghause Paak
Ik Ghuncha-e-Fazeelat-o-Barkat Haiñ Ghause Paak.
تنہا بھی رہ کے ایک جماعت ہیں غوثِ پاک
یعنی کہ گنجِ فیض و کرامت ہیں غوثِ پاک
Tanha Bhi Rah Ke Ek Jama’at Hain Ghause Paak
Yaani Keh Ganj-e-Faiz-o-Karaamat Haiñ Ghause Paak.
چھوٹی کبھی نہ ان سے کوئی سنتِ حضور
ایسے جہاں میں عاملِ سنت ہیں غوثِ پاک
Chhooti Kabhi Na Unse Koi Sunnate Huzoor
Aise Jahañ Meiñ Aamil-e-Sunnat Hain Ghause Paak.
تھامے رہے ہمیشہ ہی دامن وہ صدق کا
سب کے لئے مثالِ صداقت ہیں غوثِ پاک
Thaame Rahe Hamesha Hi Daaman Wo Sidq Ka
Sab Ke Liye Misaal-e-Sadaqat Hain Ghause Paak.
مایوس ان کے در سے کوئی لوٹتا نہیں
فضلِ خدا سے بحرِ سخاوت ہیں غوثِ پاک
Mayoos Unke Dar Se Koi LauTta Nahi
Fazl-e-Khuda Se Bahr-e-Sakhawat Haiñ Ghause Paak.
ٹھوکر سے ان کے مردے کو مل جاتی ہے حیات
رب کی عطا سے رکھتے وہ قدرت ہیں غوثِ پاک
Thokar Se Unke Murde Ko Mil Jaati Hai Hayat
Rab Ki A’ta Se Rakhte Wo Qudrat Haiñ Ghause Paak.
انسان کیا اجناء پہ بھی ان کا رعاب ہے
ایسے جہاں میں صاحبِ سطوت ہیں غوثِ پاک
Insan Kya Ajnaa Pe Bhi Unka Ruaab Hai
Aise Jahañ Meiñ Sahib-e-Satwat Haiñ Ghause Paak.
نفرت مٹا کے بندۂ مولیٰ کے قلب سے
دیتے ہمیشہ درسِ محبت ہیں غوثِ پاک
Nafrat Mita Ke Banda e Maula Ke Qalb Se
Dete Hamesha Dars e Mohabbat Haiñ Ghause Paak.
ہم عاصیوں کے واسطے راحت ہیں غوثِ پاک
جنت کی روزِ حشر ضمانت ہیں غوثِ پاک
Hum Aasiyoñ Ke Waaste Rahat Haiñ Ghause Paak
Jannat Ki Roz e Hashr Zamaanat Haiñ Ghause Paak
کمزور کیسے خود کو میں سمجھوں بتائیے
دونوں جہاں میں جب مری طاقت ہیں غوثِ پاک
Kamzor Kaise Khud Ko Main Samjhooñ Batayiye
Donoñ Jahañ Meiñ Jab Meri Taqat Haiñ Ghause Paak.
انکی ہر اک ادا میں ہے جلوہ حضور کا
خوش خلق، خوش مزاج طبیعت ہیں غوثِ پاک
Un Ki Har Ik A’daa Mein Hai Jalwa Huzoor Ka
Khush Khulq, Khush Mizaaj Tabiyat Haiñ Ghause Paak.
عصیاں سے کرتے توبہ، اسے سن کے سامعین
محفل میں جب بھی کرتے خطابت ہیں غوثِ پاک
Isiyañ Se Karte Tauba Usey Sun Ke Saamayiñ
Mehfil Meiñ Jab Bhi Karte Khitaabat Haiñ Ghause Paak.
خنجر ہیں وہ حضور کے گستاخ کے لئے
عشاق کے لئے گلِ شفقت ہیں غوثِ پاک
Khanjar Haiñ Wo Huzoor Ke Gustaakh Ke Liye
Usshaaq Ke Liye Gul-e-Shafqat Haiñ Ghause Paak.
صندوقِ دل خزانے سے خالی نہیں مرا
اس میں رکھے جواہر و دولت ہیں غوثِ پاک
Sandooq-e-Dil Khazane Se Khaali Nahi Mera
Is Meiñ Rakhe Jawahr-o-Daulat Haiñ Ghause Paak.
ان کے بغیر دل کا دھڑکنا محال ہے
کیوں کہ ریاض اس کی ضرورت ہیں غوثِ پاک
Un Ke Baghair Dil Ka Dhadakne Muhaal Hai
Kyuñ Ke ‘Reyaz’ Is Ki Zaroorat Haiñ Ghause Paak.
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar