Duniya Ka Sabse Bara Jashn Hai Lyrics

Duniya Ka Sabse Bara Jashn Hai Lyrics

 

Assalam-O-Alaika Ya.. Ya Rasool Allah

Assalam-O-Alaika Ya Hibibi Ya Nabi Allah

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ×2

 

Marhaba Marhaba

Marhaba Ya Mustafa Sallay Ala

 

Duniya Ka Sabse Bada Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai.

Aaqa Ka Jashn Hai

Maula Ka Jashn Hai

Pyare Ka Jasn Hai, Jasn Hai

 

Jab Barweiñ Ka Chand Zamane Pe Chha Gaya

Butt Gir Gaye Zameen Pe Shaitan Ro Pada,

Marhaba Ya Mustafa

 

Tare Bhi Jhoom Jhoom Ke Qadmoñ Me Gir Gaye

Kaba Bhi Mustafa Ki Salami Ko Jhuk Gaya.

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ

 

Marhaba, Marhaba,

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

 

Duniya Ka Sabse Bada Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai

Marhaba Ya Mustafa, Marhaba Ya Mustafa

 

Sabse Bada Hai Jashn Khuda Ke Habib Ka

Jinke Tufail Rab Ne Banaye Ye Do Jahañ

Hote Na Mustafa To Na Hoti Ye Kaynat

Zinda Haiñ Ham Jo Aaj Sadqa Hai Rasool Ka

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ

 

Marhaba, Marhaba,

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

 

Duniya Ka Sabse Bada Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai

Aaqa Ka Jashn Hai

Maula Ka Jashn Hai

Pyare Ka Jashn Hai, Jashn Hai

 

Shaan Nabi Ka Bayañ Maqsad-E-Milad Hai

Aale Nabi Se Wafa Maqsad-E-Milad Hai

Zikr Ho Ashab Ka Maqsad-E-Milad Hai

Zindagi Me Roushani Markad-E-Milad Hai

Ilm Se Ye Dosti Markad-E-Milad Hai

Imañ Me  Tazgi Markad-E-Milad Hai

Mustafa Ki Guftgu Azmat-E-Milad Hai

Ho Rahi Hai Chaar Su Azmat-E-Milad Hai

Aashiqoñ Ke Rubaru Azmat-E-Milad Hai.

 

Aaya Hai Aaj Wo Jise Aadam Kare Salam

Har Ik Nabi Ka Rab Ne Banaya Jise Imam

Marhaba Ya Mustafa

 

Eesa Ko Bhi Hai Ummati Hone Ki Arzoo

Yusuf Bhi Jis Pe Qurbañ Haiñ Jibreel Haiñ Ghulam.

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ

 

Marhaba, Marhaba,

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

 

Duniya Ka Sabse Bada Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai.

Tala’al Badru A’laina Min Thaniyyat il-Wada’ii
WajabashShukru Alaina Ma Da’aa Lilla’hi Daa’ii

طَـــــلَــــــــــعَ البَــــدْرُ عَـــلَيـْنَا مِــــــــنْ) ثَــــــــــــــــــنــِيَّات الوَدَاعْ
وَجَــــــــــــــبَ الشُّــــــــــكْـــــرُ عَــــلَــــــيْـــــــنَا مَا (دَعَــــا لله دَاعْ

Aaye Nabi To Betiyañ Dabne Se Bach Gayiñ

Bewaoñ Ki Bhi Doliyañ Haiñ Fir Se Saj Gayiñ

Maaoñ Ko Khuld Beti Ko Rahamat Bana Diya

Beewar-e Naflatoñ Ki Zamineiñ Haiñ Dhas Gayiñ.

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ

 

Marhaba, Marhaba,

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

 

Duniya Ka Sabse Bada Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai

 

Aaqa Ka Jasn Hai

Maula Ka Jashn Hai

Pyare Ka Jashn Hai, Jasn Hai

 

Kar Ke Charaghañ Sara Jahañ Jagmaga Diya

Har Ghar Pe Aashiqoñ Ne Hai Jhanda Laga Diya

Langar Kahiñ Hai Aur Kahiñ Sharbat O Sabeel

Ushahaq E Mustafa Kabhi Hote Nahiñ Bakheel

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ

 

Marhaba, Marhaba,

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

 

Duniya Ka Sabse Bada Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai

 

Nabiyon Ke Sultan Aaye Marhaba Ya Mustafa

Do Jahan Ki Shaan Aaye Marhaba Ya Mustafa

Sahib E Qur’an Aaye Marhaba Ya Mustafa

Aashiqoñ Ki Jaan Aaye Marhaba Ya Mustfa

Syed O Sardar Aaye Marhaba Ya Mustafa

Khalq Ke Sarkar Aaye Marhaba Ya Mustafa

Ahmad E Mukhtar Marhaba Ya Mustafa

Dilbar O Dildar Aaye Marhaba Ya Mustafa

 

Assalam Ae Jaan E Aalam

Assalam Iman E Aalam

Shah-e-Deeñ Sultan E Aalam

Marhaba…. Ya Mustafa……..

 

Yeh Jasn Koi Aaj Ki Izaad To Nahiñ

Sadiyoñ Se Ho Raha Hai Nayi Baat To Nahiñ

Marhaba Ya Mustafa

 

Aamad Ki Apni Yaad Nabi Ne Manayi Hai

Khud Rabbe Kayenat Ne Mahfil Sajayi Hai.

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ

 

Marhaba, Marhaba

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

 

Duniya Ka Sabse Bara Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai

Marhaba Ya Mustafa, Marhaba Ya Mustafa

 

Rab Ne Rasool-E-Pak Ko Bakksha Hai Wo Maqam

Insan Kya Charind Bhi Karte Haiñ Ahatram

Suraj Phire To Chand Ishare Se Chaak Ho

Badal Kare Hai Saya Shajar Bhi Kare Salam.

 

Saj Gayi Hai Ye Zamiñ Saj Gaya Hai Aasmañ

Mustafa Ke Noor Se Saj Gaya Hai Kul Jahañ

 

Marhaba, Marhaba

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

 

Duniya Ka Sabse Bara Sabse Bada Jashn Hai

Mere Sarkar Ke Milad Ka Ye Jashn Hai

 

Aaqa Ka Jashn Hai

Maula Ka Jashn Hai

Pyare Ka Jasn Hai, Jashn Hai

 

Namoos-E-Mustafa Ke Muhafiz Pe Ho Salam

Ahmad Raza Pe Khadim-E-Razvi Pe Ho Salam

Namoos Per Wo Pehra Haiñ Asim Mission Yehi

Hai Jaan Hamari Bhi Rasool-E-Khuda Ke Naam

Labbaik Labbaik Labbaika Ya Rasool Allah

Labbaik Labbaik Labbaika Ya Rasool Allah

 

Ye Dil Bhi Tumhara Hai Labbaika Ya Rasool Allah

Ye Jaañ Bhi Tumhari Hai Labbaika Ya Rasool Allah

Ham Ishq Ke Ghazi Haiñ Labbaika Ya Rasool Allah

Ham Tere Sipahi Haiñ Labbaika Ya Rasool Allah

Sauda Nahiñ Karenge Labbaika Ya Rasool Allah

Imaañ Nahi Bechenge Labbaik Ya Rasool Allah

Sab Kuchh Hi Tumhara Hai Labbaika Ya Rasool Allah

Sab Kuchh Hi Lutayeñge Labbaika Ya Rasool Allah ×3

Labbaika Ya Rasool Allah ×3

Our Pages


Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam 

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *