Ho Gaya Jahan Roushan Mustafa Ke Lyrics

Ho Gaya Jahan Roushan Mustafa Ke Aane Se Lyrics

 

Salle Ala, Salle Ala
Salle Ala Ya Nabi Salle Ala

 

Noor Char Soo Faila Hashmi Gharane Se
Ho Gaya Jahañ Roushan Mustafa Ke Aane Se

 

Sadiya Halima Ki Jaag Utthi Hai Qismat
Jhhopri Chamak Utthi Mustafa Ke Aane Se

 

Khetiyañ Hari Ho Kar Dekho Lahlaha Utthi
Jo Zamin Banjar Thi Momino Zamane Se

 

Jaanti Hai Sab Duniya Mojza Ye Aaqa Ka
Chand Ho Gaya Tukde Ungli Ke Ishare Se

 

Mojza Nabi Ka Ye Dekha Hai Ali Ne Bhi
Dooba Nikla Phir Suraj Ik Ishara Pane Se

 

Mustafa Bulate Hain Jab Kaha Yahudi Ne
Jhoomta Shajar Aaya Aapke Bulane Se

 

Ham Nabi Ali Wale Duniya Se Kyuñ Ghabraeiñ
Kisi Ke Aage Allah Ke Siwa Ham Jhuk Nahin Sakte
Koi Toofan Aa Jaye Bhi To Ham Ruk Nahi Sakte
Mitana Chahe Koi Bhi Hameñ Duniya Me Ae Logo
Diwane Haiñ Muhammad Ke Kabhi Ham Mit Nahin Sakte
Ham Nabi Ali Wale Duniya Se Kyuñ Ghabraeiñ

Lahu Dekar Ke Ham Apna Charagh e Dil Jalayenge
Ham Apne Deen Ki Izzat Ko Is Tarha Bachayenge
Abu Bakr-o-Umar, Usman Ka Jazba Dikhayenge
Ali Ke Naam Se Jakar Suno Khaibar Hilayenge
Muhammad Ke Liye Ham Jaan Ki Baazi Lagayenge
Ham Nabi Ali Wale Duniya Se Kyuñ Ghabraeiñ

 

Peechhe Ham Nahin Hat’te Haq Pe Sar Katane Se
Peechhe Ham Nahin Hat’te Haq Pe Sar Katane Se

 

Noor Char Soo Faila Hashmi Gharane Se
Ho Gaya Jahan Roushan Mustafa Ke Aane Se

 

Qawwal: Chand Qadri Afzal Chishti
Lyrics: Mazmua Naat

 

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

More Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *