Labon Pe Tabassum Lyrics | Hafiz Hassan Anzar
Aaqa… Mere Aaqa
Aaqa… Mere Aaqa
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Ik Ik Lafz-e-Sheeri Jo Unki Zubañ Se
Wo Sunne Ko Khalqat Tarasti Rahi Hai
Wo Raftaar-o-Guftar-o-Aadaat-o-Atvaar
Guft-o-shuneed-o-Riyazat Rafaqat
Har Ik Cheez Dushman Ka Dil Moh Leti
Mohabbat Sabhi Dil Me Basti Rahi Thi
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Jo Ma’bood Baatil Se The Lau Lagaye
Jo Khaliq Se Na-Aashna Sab Ke Sab The
Rahe Haq Dikhana Tha Aur Fikr Uski
Sada Dil Me Karwat Badalti Rahi thi
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Wo Gardan Jo Akdi Huyi Thi Dino Se
Thi Maghroor Shirk-o-Zalalat Me Doobi
Jhukaya Use Aap Ne Rab Ke Aage
Agarche Wo Pahle Jhijhakti Rahi Thi
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Mohabbat Atufat Sadaqat Adalat
Riyayat Adalat Thiñ Akhlaq Unke
Ba-Waqt-e-Takallum Jo Hote Durfsha
To Bijli Si Muh Se Chamakti Rahi Thi
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Pasine Jo The Jism-e-At’har Ke Khushbu
Riwayat Batati Hai Itroñ Se Atyab
Guzar Aapka Hota Jis Rah Se Wahañ
Bahot De Se Khusboo Mahakti Rahi Thi
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Tabiyat Me Rahmat Ka Dariya Chhupa Tha
Raha Rahmat-e-Aalam Unka Laqab Tha
Kisi Mubtala-e-Musibat Ko Dekheñ
To Rooh Unki Behad Tadapti Rahi Thi
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Mile Fazl Ko Ae Khuda Ek Qatra
Isi Bahar-e-Rahmat Se Tere Karam Se
To Har Do Jahañ Uske Hoñge Ujala
Ye Minnat Mere Dil Me Basti Rahi Hai
Labon Pe Tabassum, Haiñ Chehre Me Jalwe
Nigahoñ Se Shafqat Barasti Rahi Hai
Labon Pe Tabassum Lyrics In Hindi
आक़ा… मेरे आक़ा
आक़ा… मेरे आक़ा
लबों पे तबस्सुम, हैं चेहरे में जल्वे
निगाहों से शफ़क़त बरसती रही थी,
इक-इक लफ्ज़-ए-शीरीं जो उनकी ज़ुबां से
वो सुनने को ख़लक़त तरसती रही थी।।
वो रफ़्तार-ओ-गुफ़्तार-ओ-आदात-ओ-अतवार-ओ
गुफ़्त-ओ-शुनीद-ओ-रियाज़त रफ़ाक़त,
हर इक चीज़ दुश्मन का दिल मोह लेती
मोहब्बत सभी दिल में बस्ती रही थी।
लबों पे तबस्सुम हैं चेहरे में जल्वे
निगाहों से शफ़क़त बरसती रही थी
इक-इक लफ्ज़-ए-शीरीं जो उनकी ज़ुबां से
वो सुनने को ख़लक़त तरसती रही थी।।
जो मा’बूद बातिल से थे लौ लगाए
जो ख़ालिक़ से ना-आशना सब के सब थे,
रह-ए-ह़क़ दिखाना था और फ़िक्र उसकी
सदा दिल में करवट बदलती रही थी।
लबों पे तबस्सुम हैं चेहरे में जल्वे
निगाहों से शफ़क़त बरसती रही थी,
इक-इक लफ्ज़-ए-शीरीं जो उनकी ज़ुबां से
वो सुनने को ख़लक़त तरसती रही थी।।
वो गर्दन जो अकड़ी हुई थी दिनों से
थी मग़रूर शिर्क-ओ-ज़लालत में डूबी,
झुकाया उसे आप ने रब के आगे
अगर चे वो पहले झिझकती रही थी।
लबों पे तबस्सुम हैं चेहरे में जल्वे
निगाहों से शफ़क़त बरसती रही थी,
इक-इक लफ्ज़-ए-शीरीं जो उनकी ज़ुबां से
वो सुनने को ख़लक़त तरसती रही थी।।
मोहब्बत-अ़तूफ़त-सदाक़त-अदालत
रियायत-हिदायत थीं अख़लाक़ उनके,
ब-वक़्त-ए-तकल्लुम जो होते दुरअफ़्शां
तो बिजली सी मुंह से चमकती रही थी।
लबों पे तबस्सुम हैं चेहरे में जल्वे
निगाहों से शफ़क़त बरसती रही थी,
इक-इक लफ्ज़-ए-शीरीं जो उनकी ज़ुबां से
वो सुनने को ख़लक़त तरसती रही थी।।
पसीने जो थे जिस्म-ए-अत़हर के ख़ुशबू
रिवायत बताती है इत्रों से अतयब,
गुज़र आपका होता जिस राह से वां
बहुत देर से ख़ुशबू महकती रही थी।
लबों पे तबस्सुम हैं चेहरे में जल्वे
निगाहों से शफ़क़त बरसती रही थी,
इक-इक लफ्ज़-ए-शीरीं जो उनकी ज़ुबां से
वो सुनने को ख़लक़त तरसती रही थी।।
Recited by: Hafiz Hassan Anzar
Lyrics: Allama Fazalullah
Our Pages
Naat-E-Paak
More Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar