Maa-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi Lyrics

Maa-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi Lyrics 

हिन्दी में पढ़िए


Bojh Ye Hasti Ka Wo Has-Has Ke Utha Lete Hain
Apne Maa-Baap Ki Jo Log Dua Lete Hain.

 

Murjhayi Hui Mere Dil Ki Kali Khili Hai
Inki Dua Se Mujhko Sari Khushi Mili Hai

Maañ-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi Hai ×4
Maañ-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Maa-Baap Ki Karne Ko Jo Khidmat Mili Mujhe
Dono Jahañ Me Dosto Izzat Mili Mujhe

Maañ-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Maa-Baap Par Jo Barisheiñ Ki Maine Phool Ki
Mujh Par Barasne Lag Gayi Rahmat Rasool Ki.

Maañ-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Sunte Haiñ Ke Maa-Baap Ka Jisne Aadab Kiya
Insaniyat Ki Pal Me Wo Pahchan Ban Gaya,

Maa-Baap Ke Chehre Ko Maiñ Yuñ Dekhne Laga
Aur Dekhte Hi Dekhte Insaan Ban Gaya.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Sar Ko Utha Ke Jeene Laga Hun Jahañ Me Maiñ
Ye Mere Maa Aur Baap Ki Mujhpe Ataeiñ Haiñ,

Izzat Jahañ Me Hoti Hai Jo Mujh Gharib Ki
Inki Mohabbateiñ Haiñ Ye Inki Duaeiñ Haiñ.

Maa-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Is Darja Pur-Asar Hai Ye Maa-Baap Ki Dua
Rahmat Ke Dar Bulane Lage Dekh Kar Mujhe,

Ik Roz Jab Madina Tasavvur Me Maiñ Gaya
Sarkar Muskurane Lage Dekh Kar Mujhe.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Soye Huye Naseeb Ko Mere Jaga Diya
Inki Dua Ne Mujhko Madina Dikha Diya.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Kuchh Logoñ Ne Jahan Meiñ Daulat Talash Li
Aur Maine Maa Ke Qadmoñ Meiñ Jannat Talash Li.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Khidmat Karoge Inki To Jannat Me Jaaoge
Maa-Baap Ko Apne Se Nahiñ Karna Tum Judaa,

Is Sari Kayenat Ke Aaqa Ne Kah Diya
Man Baap Tumse Razi Haiñ To Razi Hai Khuda.

Maañ-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Ungli Pakad Ke Baap Ne Chalna Sikha Diya
Aur Maa Ne Apni Goud Me Jhoola Hai Jhulaya,

Koi Bhi Musibat Mere Nazdeeq Na Aayi
Inki Duaon Ne Mujhe Har Waqt Bachaya.

Maañ-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Qadmon Me Maa Ke Dekhiye Jannat Hai Dosto
Bahut Azeem Maa Ki Fazilat Hai Dosto,

Har Waqt Sath Hai Mere Maa-Baap Ki Dua
Is Waste Ghar Me Mere Rahamat Hai Dosto.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Bulandiyoñ Ka Bade Se Bada Nishan Chhua
Uthaya God Me Maa Ne, Tab Aasman Chhua.

Maa-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Muktasar Hote Huye Bhi Zindagi Badh Jayegi
Maa Ki Aankheñ Choom Lije Roshani Badh Jayegi.

Maa-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Hoti Hai Roz Ghar Mere Qur’aañ Tilawat
Imaan Ki Khushbu Se Mahakta Mera Ghar Hai,

Hote Hain Roz Haadse Zinda Huñ Maiñ Phir Bhi
Maa-Baap Ki Duaoñ Ka Ye Mujh Pe Asar Hai.

Maa-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Muflis Tha Maiñ Jo Bosa-E-Aswad Na Le Saka
Haj Ho Nahiñ Sakta Tha Jo Mujhse Ghulam Se,

Phir Maine Dil Se Choome Jo Maañ-Baap Ke Qadam
Kaba Bhi Shaad Hone Laga Mere Naam Se.
Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Ye Ahatraam Baap Ka Karne Ka Phal Mila
Itna Utha Keh Dekhta Hai Ab Falak Mujhe,

Maañ Ki Duaeiñ Haiñ Ye Jo Pesh-E-Khuda-E-Pak
Izzat Se Leke Jaane Lage Haiñ Malak Mujhe.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Is Tarah Mere Gunahoñ Ko Wo Dho Deti Hai
Maa Bahut Gusse Me Hoti Hai To Ro Deti Hai.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Ae Andhere Dekh Le Muh Tera Kala Ho Gaya
Maa Ne Aankheñ Khol Di Ghar Me Ujala Ho Gaya.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Aisa Nahin Ki Apna Bura Waqt Cut Gaya
Khuddariyañ Jo Badh Gayi Daman Simat Gaya,

Basti Ke Ek Buzurg Ki Maiyat Ko Dekhkar
Maiñ Apne Boodhe Baap Se Jakar Lipat Gaya.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Udaas Rahane Ko Achcha Nahiñ Batata Hai
Koi Bhi Zaher Ko Meetha Nahiñ Batata Hai,

Kal Apne Aap Ko Dekha Tha Maa Ki Aankhoñ Me
Ye Aaina Hameñ Boodha Nahiñ Batata Hai.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Bus Ek Maa Ki Mohabbat Dikhayi Deti Hai
Zameeñ Pe Ek Hi Aurat Dikhayi Deti Hai,

Ae Boodhi Maa Tere Chehre Ki Jhurriyoñ Ki Qasam
Har Ik Lakeer Me Jannat Dikhayi Deti Hai.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Bulandi Der Tak Jis Shakhs Ke Hisse Me Rahti Hai
Bahut Uñchi Imaarat Har Ghadi Khatre Me Rahti Hai,

Ye Aisa Karz Hai Jo Maiñ Ada Kar Hi Nahiñ Sakta
Maiñ Jab Tak Ghar Na Lautuñ Meri Maa Sajde Me Rahti Hai.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Ahad Jisme Tha Wo Zanjeer Badal Di Meri
Tune Hathoñ Ki Sab Lakeer Badal Di Meri,

Koshisheiñ Bahut Ki Lekin Na Mila Kuchh Bhi Mujhe
Maa Teri Dua Ne Taqdeer Badal Di Meri.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Jab Bhi Rone Ki Mere Maa Ko Khabar Milati Hai
Cheekh Kar Maa Meri Ghar Se Bahar Nikalti Hai,

Raasta Rok Sakega Na Bahadur Mera
Sath Mere To Meri Maa Ki Dua Chalti Hai.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Dil Maa Ka Dukhaya Kare Jannat Ki Arzoo
Us Shakhs Ki To Dosto Dozakh Me Jagah Hai,

Mastana Kyoñ Jannat Ki Tamanna Kare Rab Se
Jannat Se Zyada Maa Tere Qadmoñ Me Maza Hai.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Chauñk Jata Huñ Maiñ Bus Raat Ko Sote-Sote
Jab Bhi Maa Ki Mujhe Furqat Dikhayi Deti Hai,

Maa Ke Qadmoñ Me Hi Dam Nikle Mera Mastana
Maa Tere Qadmoñ Me Jannat Dikhayi Deti Hai.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Maa Kabhi Zakhm Judaai Ka Sah Nahin Sakti
Wo Apne Bacchoñ Ko Dil Se Bhula Nahiñ Sakti,

Maiñ Ghar Se Nikla Hun Lekar Ke Saath Maa Ki Dua
Koi Bala Mere Nazdeek Aa Nahiñ Sakti.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Maut Ke Aagosh Me Jab Thak Ke So Jaati Hai Maa
Tab Kahiñ Ja Kar Raza Thoda Sukuñ Paati Hai Maañ,

Maañgti Hi Kuchh Nahiñ Apne Liye Allah Se
Apne Bacchoñ Ke Liye Daman Ko Phailati Hai Maañ,

Goud Ke Paaloñ Ko Apne Sarhadoñ Par Bhejkar
Zindagi Apni Watan Ke Naam Kar Jaati Hai Maañ,

Is Qadar Masroof Ho Jaate Haiñ Sahab Kaam Me
Phone Par Bhi Baat Karne Ko Taras Jaati Hai Maañ,

Kuchh Na De Bus Itna Aakar Pooñchh Le Kya Haal Hai
Ek Din Aakhir Isi Hasrat Me Mar Jaati Hai Maañ,

Marte Dam Bacche Na Aayeñ Ghar Agar Prades Se
Apni Dono Putliyañ Chaukhat Pe Rakh Jaati Hai Maañ,

Baad Mar Jaane Ke Phir Bete Ki Khidmat Ke Liye
Bhes Beti Ka Badal Ke Ghar Me Aa Jaati Hai Maañ,

Jab Jawañ Beti Ho Ghar Me Aur Koi Rishta Na Ho
Roz Ik Ehsaas Ki Sooli Pe Chadh Jaati Hai Maañ,

Shadiyañ Kar-Kar Ke Bacche Ja Base Pardes Me
Dil Khatoñ Se Aur Tasveeroñ Se Bahlaati Hai Maañ,

Humne To Ye Bhi Nahiñ Socha Alag Hone Ke Baad
Jab Diya Kuchh Bhi Nahiñ Humne To Kya Khaati Hai Maañ,

Maamta Kya Cheez Hai Aur Pyar Kahte Haiñ Kise
Ja Ke Un Bacchoñ Se Poochho Jinki Mar Jaati Hai Maañ,

Bhookha Sone Hi Nahiñ Deti Hai Bacchoñ Ko Kabhi
Jaane Kis-Kis Se Kahañ Se Mañg Kar Lati Hai Maañ,

Ik Taraf Shauhar Ki Ghurbat Ik Taraf Bacchoñ Ki Zidd
Leke Ik Toofan Mele Se Guzar Jaati Hai Maañ,

Barf Jaisi Sard Raatoñ Me Kabhi Ye Bhi Hua
Baccha Hai Seene Pe Khud Geele Me So Jaati Hai Maañ,

Shukriya Ho Hi Nahiñ Sakta Kabhi Maa Ka Ada
Marte Marte Bhi Dua Jeene Ki De Jaati Hai Maa.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Din Dhale Jab Kar Ke Mazduri Raza Aata Hai Baap
Dekh Kar Haste Hue Bacchoñ Ko Sukh Pata Hai Baap,

Aisa Lagta Hai Ke Jaise Chal Rahi Hai Kayenat
Ghutniyoñ Chalte Huye Bacchoñ Ko Jab Pata Hai Baap,

Jaane Kitne Baap Karte Hain Safar Bete Ke Sath
Leke Pahli Bar Jab School Ko Jata Hai Baap,

Koi Us Bacche Se Poonche Kya Hai Shaadi Ka Maza
Byaah Ki Tareekh Rakh Ke Jiska Mar Jata Hai Baap,

Kya Bata Sakta Hai Us Beti Ki Koi Mañzilat
Jiske Istaqbal Ko Masnad Se Uth Jata Hai Baap,

Khush Raheñ Bacche Mere Har Hal Me Ye Soch Kar
Waqt Ki Mandi Me Saste Bhao Bik Jata Hai Baap.

Maa-Baap Ki Gulami Mere Kaam Aa Gayi ×4

 

Song: Maa-Bap Ki Gulami Mere Kam Aa Gayi Hai
Singer: Aalam Akram Warsi & Party
Music: Javed Kamal Azad
Writer: Munawwar Rana, Majid Devbandi,

Tanveer Ghazi Amravati, Salman Sanbhali,

Chand Warsi, Ilyas Mastana

 

Mere Peer Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi Lyrics


Our Pages


Qawwali         

Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *