Sakina Sham Ke Zindaan Me So Gayi Baba Lyrics
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Tamache Shimr Se Khati Thi Jab Bhi Roti Thi
Andheri Raat Me Uth Uth Ke Bas Ye Kahti Thi
Meri Aseeri Pe Roti Hai Bekasi Baba
Sakina Sham Ke Zindañ Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Haye! Baba Aapke Seene Ki Uski Aadat Thi
Zamiñ Pe Sone Ki Koshish Me Jagti Hi Rahi
Teri Yateema Ko Neend Aayi Na Kabhi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Fufi Se Kahti Thi Ro-Ro Ye Bata Do Fufi
Sitam Ki Qaid Se Ghar Apne Ja Sakenge Kabhi
Use Rihayi Na Mar Ke Bhi Mil Saki Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Banayi Aap Ne Maqtal Me Qabr Asghar Ki
Lahad Banayi Hai Zindañ Me Maine Muztar Ki
Parhi Jo Fateha, Roti Thi Hathakari Baba.
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Kafan Lahu Bhara Kurta Hi Hai Sakina Ka
Kiya Hai Gusl Bhi Ashkoñ Se Ae Mere Baba
Kafan Bhi Rota Tha Aur Main Bhi Qabr Bhi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Nahiñ Zara Sa Ujala Bhi Uski Turbat Par
Andhere Karne Lage Nauha Uski Turbat Par
Karega Kon Yahañ Aake Raushani Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Bayan Kaise Karenge Ye Meesum o Mazhar
Jo Bayn Baba Se Karte The Aabid e Muztar
Sakina Shaam Ke Zindañ Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Sakina Sham Ke Zindan Me So Gayi Baba
Reciter: Mesum Abbas
Poet: Mazhar Abidi
Sakina Sham Ke Zindaan Noha Lyrics Mesum Abbas
Related Post:
Manqabat Shahidan e Karbala And Noha Lyrics
Kaise Main Dafnauñ Sakina Lyrics
Utho Baba Mein Zainab Hun Lyrics