Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hoon Lyrics

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hoon Qawwali Lyrics
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Poet: Hazrat Allama Iqbal r.a.


|हिन्दी लिरिक्स |


Naala Hai Bulbul-e-Shourida tera Khaam abhi

Apne Seene Meiñ Ise Aur Zara Thaam Abhi



Pukhta Hoti hai agar Maslehat-Andaish ho Aqal
Ishq ho Maslehat-Andaish to hai Khaam abhi

 

Bekhatar Kood Pada Aatishishq
Aqal hai Mahw-e-Tamaasha-e-Lab-e-Baam abhi

Ishq Farmooda-e-Qasid se Sabak Ghaam-e-A’mal
Aqal Samjhi hi nahiñ Maani-e-Paighaam abhi

 

Shewa-e-Ishq hai Azadi-e-Dehraa shobi
Tu hai Zunnari-e-Butkhana-e-Ayyam abhi

 

Tere ishq ki
Tere ishq ki Intaha Chahta Hooñ.
Tere ishq ki Intaha Chahta Hooñ.

Meri saadgi dekh
Meri saadgi dekh, kya chahta hoon

Tere ishq ki intaha chahta hoon…
Tere ishq ki intaha chahta hoon…

Tere ishq ki Intaha..intaha….intaha chahta hoon…
Tere ishq ki Intaha chahta hoon…

 

Tere ishq mein, Tere ishq meiñ…
Tere ishq mein, Tere ishq meiñ…

 

Ishq teri Intaha, ishq meri Intaha
Tu bhi abhi na Tamaam, mein bhi abhi na Tamaam

Tere Ishq meiñ, Tere Ishq meiñ…

 

Agar ho Ishq toh hai Kufr bhi Musalmaani
Na ho toh Mard-e-Musalman bhi Kaafir-o-Zandeeq

Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Banaya ishq ne Dariya na payda kara mujh ko
Ye meri khud-Nigehdari mera sahil na ban jaye

Tere ishq mein, Tere ishq mein…
Tere ishq mein, Tere ishq mein…
Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Rulaati hai Mujhe Raatoñ ko Khaamoshi Sitaaroñ ki
Niraala Ishq hai mera, niraale mere Naale haiñ

Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Ishq Dam-e-Jibraeel, Ishq Dil-e-mustafa
Ishq Khuda ka Rasool, Ishq Khuda ka Kalaam

Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Aqal-o-Dil-o-Nigah ka Murshid-e-Awwaliñ hai ishq
Ishq na ho to Sharaa-o-Deeñ But-kada-e-Tasawwuraat

Sidq-e-Khaleel bhi hai Ishq, Sabr-e-Husain bhi hai Ishq
Maarkaa-e-Wajood meiñ Badr-o-Hunain bhi hai Ishq

Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Jamaal-e-Ishq-o-Masti Nay-Nawazi
Jalaal-e-Ishq-o-Masti Be-Niyazi

Kamaal-e-Ishq-o-Masti Zarf-e-Haider
Zawaal-e-Ishq-o-Masti Harf-e-Raazi

Tere ishq mein, Tere ishq mein…
Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Kabhi Aawara-o-Be-Khan-ma ishq
Kabhi Shah-e-Shahañ Nausherwañ ishq

Kabhi Maidañ meiñ aata hai Zirah-posh
Kabhi Uryañ-o-Be-Tegh-o-Sanaañ Ishq

Tere ishq mein, Tere ishq mein…
Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Kabhi Tanhai-e-Koh-o-Daman Ishq
Kabhi Souz-o-Suroor-o-Anjuman ishq

Kabhi Sarmaya-e-Mehrab-o-Mimbar
Kabhi Maula Ali Khaibar-Shikan Ishq

Tere ishq mein, Tere ishq mein…

 

Tere ishq ki inteha chahta hoon..
Tere ishq ki inteha chahta hoon..

Meri Saadgi dekh
Meri Saadgi dekh, kya Chahta hoon

Tere ishq ki Intaha Chahta hooñ..
Tere ishq ki Intaha Chahta hooñ..

 

Yeh Jannat Mubaarak rahe Zahidoñ ko…
Yeh Jannat Mubaarak rahe Zahidoñ ko…

Umeed-e-Hoor ne sab kuch sikha rakha hai Waa-iz ko
Ye Hazrat dekhne meiñ seedhe-saadhe bhole-bhaale haiñ

Yeh Jannat Mubaarak rahe Zahidoñ ko…

Yeh Jannat Mubaarak rahe Zahidoñ ko
Ke meiñ Aapka Saamna Chahta hooñ

 

Kabhi ae Haqeekat-e-Muntazir, Nazar aa Libaas-e-Majaaz meiñ
Ke Hazaroñ Sajde tadap rahe haiñ teri Jabeen-e-Niyaaz meiñ

Ke mein aapka saamna chahta hoon…
Ke mein aapka saamna chahta hoon…

 

Koi dam ka Mehmaañ hoon ae Ahl-e-Mehfil..
Koi dam ka Mehmaañ hoon ae Ahl-e-Mehfil..

 

Nahiñ Begaan-gi Achhi Rafiq-e-Raah-e-Manzil se
Theher ja ae Sharar, Hum bhi to Aakhir mitne waale hai

Koi dam ka Mehmaañ hoon ae Ahl-e-Mehfil…
Koi dam ka Mehmaañ hoon ae Ahl-e-Mehfil…

 

Koi dam ka mehmaan hoon ae ahl-e-mehfil
Charagh-e-Sahar hoon, bujha chahta hoon.
…bujha chahta hoon
charagh-e-seher hoon, bujha chahta hoon.

 

Sitam ho, ke ho Waada-e-Be-Hijaabi…
Waada-e-,…….Waada- ….e-Be-Hijaabi…
Sitam ho, ke ho Waada-e-Be-Hijaabi

Koi baat Sabr-Aazmañ chahta hoon
Koi baat Sabr-Aazmañ chahta hoon

 

Ishq bhi ho Hijaab meiñ, Husn bhi ho Hijaab meiñ
Ya tu Khud Aashkaar ho, Ya mujhe Aashkaar kar

Koi baat Sabr-Aazmañ chahta hoon..

 

Bhari Bazm meiñ
Bhari Bazm meiñ Raaz ki Baat keh di…

Raaz ….. Raaz ki Baat keh di…
Bhari Bazm meiñ Raaz ki baat keh di

Bada be-adab hoon, sazaa chahta hoon
Bada be-adab hoon, sazaa chahta hoon…

 

Agar kaj-rau haiñ Anjum, Asmañ tera hai ya mera ?
Mujhe Fikr-e-jahan kyuñ ho, jahañ tera hai ya mera?

Agar Hungaama-haaye shauq se hai Laa-Makaañ khali
Khata kis ki hai Ya Rab, Laa-Makaañ Tera hai ya mera?

 

Use Subahe-Azal inkaar ki jurrat hui kyuñ-kar
Mujhe maloom kya, woh Razdaañ Tera hai ya mera

Muhammad ﷺ bhi Tera, Jibreel bhi, Quran bhi Tera
Muhammadﷺ bhi Tera, Jibreel bhi, Quran bhi Tera
Magar ye Harf-e-Sheeriñ tarjuma tera hai ya mera?

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Meri Jafa-Talabi ko duaen deta hai
wo Dasht-e-saada, wo tera Jahaan-e-be-bunyad

Maqam-e-shauq tere Qudsiyoñ ke bas ka nahiñ
Unhi ka kaam hai, jin ke hausle haiñ zayyad

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Huzur-e-haq meiñ
Huzur-e-haq meiñ Israfeel ne meri Shikayat ki
Ye Banda waqt se pehle Qayamat kar na de barpa

Main sazaa chahta hoon, bada be-adab hooñ…

 

Bagh-e-Bahisht se mujhe Hukm-e-safar diya tha kyuñ
Kaar-e-jahaañ daraaz hai, ab mera Intizaar kar

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Faarig to na baithega Mehshar meiñ junooñ mera
Ya apna Girebaañ chaak, ya daaman-e-yazdaañ chaak

Main sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-a’mal
Aap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Hum ko Jam-eeyat-e-Khatir ye Pareshani thi
Warna Ummat Tere Mehboob ki Deewaani thi

 

Hum se Pehle tha Ajab tere Jahañ ka Manzar
Kahiñ Masjood the Patthar, Kahiñ Maabood Shajar

Khu-gar-e-Paikar-e-Mahsoos thi Insañ ki Nazar
Maanta phir Koi Andekhe Khuda ko kyuñkar

Tujh ko Maaloom hai, Leta tha koi Naam Tera
Tujh ko Maaloom hai, Leta tha koi Naam Tera
Quwwat-e-Bazu-e-Muslim ne kiya Kaam Tera

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Saf’ha-e-dahr se batil ko mitaya ham ne
Nau-e-insañ ko ghulami se chhudaya ham ne

Tere ka’abe ko jabeenoñ se basaya ham ne
Tere qur’an ko seenoñ se lagaya ham ne

Phir bhi ham se ye gila hai ke wafa-dar nahiñ
Phir bhi ham se ye gila hai ke wafa-dar nahiñ
Hum wafa-dar nahiñ, too bhi to dildar nahiñ ..

Mai sazaa chahta hoon, bada be-adab hooñ…
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Ummateñ aur bhi haiñ un meñ gunahgar bhi haiñ
Ijz waale bhi haiñ, mast-e-mai-e-pindaar bhi haiñ

In meñ kaahil bhi haiñ, ghaafil bhi haiñ, hushiyar bhi haiñ
Saikdoñ haiñ ki tere naam se be-zaar bhi haiñ

Rahmateñ haiñ teri Aghyar ke Kaashaanoñ par
Barq girti hai to bechaare Musalmaanoñ par ..

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

 

Büt sanam-khanoñ meñ kahte haiñ musalmān gaye
Hai khushi inko ke ka’abe ke nigahban gaye

Manzil-e-dahr se ooñtoñ ke hudi-ḳhwaan gaye
Apni baghloñ meñ dabaa-e hue qur’aan gaye

Khanda-zan kufr hai, Ehsaas tujhe hai ki nahi
Apni Tauheed ka kuchh paas tujhe hai ki nahi

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hooñ…
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon…

Bada be-adab hooñ, saza chahta hoon

 

Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh,
Meri saadgi dekh, kya chahta Hooñ

Tere Ishq ki Intaha chahta hooñ
Tere Ishq ki Intaha chahta hooñ…


See Translation in English


More Qawwalis From:

|Sabri Brothers | | Rahat Fateh Ali Khan | | Nusrat Fateh Ali Khan | | Aziz Miyan | |Naat-e-Paak

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *