Wa Museebata Noha Lyrics – Mohammad Abbas Karim
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Be-Jurm Qatl Ho Gaye Sajde Me Murtaza
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Doobi ali Ke Khoon Me Kufe Ki Hai Sahar
Zakhmi Huye Hain Sajde Me Hassnain Ke Pidar
Masjid Me Farshe Gham Hai Ali Ka Bichha Hua
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Bhooli Abhi Kahan Thin Wo Madar Ki Pasliyan
Roti Thin Cheekh Cheekh Kar Haider Ki Betiyan
Saya Saron Pe Haye Yateemi Ka Chha Gaya
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Shere Khuda Ke Zakhm Se Rukta Nahin Tha Khoo.n
Ye Dekh Kar Nabi Huye Turbat Me Be Sukoo.n
Kahte The Sar Ko Peet Ke Sare Hi Ambiya
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Apne Lahu Me Doob Gaya Haye Rozadar
Kaise Layi’n Ne Kar Diya Shere Khuda Pe War
Sajde Se Sar Utha Na Saka Shere Kibriya
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Ye Khabar Bhi Laayi Hai Unnis(19) Ki Sahar
Veeran Hone Wala Hai Ab Saiyada Ka Ghar
Shere Khuda Ka Qatl Hai Aaghaz E Karbala
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Imdad Ko Gharibon Ki Ab Kon Aayega
Ab Kon In Gharibon Ko Khana Khilayega
Inka Masiha Qatl Hua Inko Kya Pata
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Ab Aur Likh Na Paunga Azlaan Azmi
Yaad Aa Rahi Hai Mujhko Bahut Baba Jaan Ki
Ibne Ali O Zahra Mujhe Dena Hosla
Wa Museebata
Dete Hain Jibreel Sada Wa Museebata
Reciter: Muhammad Abbas Karim
Poetry: Arsalan Azmi
मां भी ना हो दुनिया में और बाप भी मर जाए Noha Lyrics
Utho Baba Mein Zainab Hoon Lyrics(Hindi & English)
Mola Rotay Jatay Hain Lyrics (Hindi & English)
Yaad Bahot Aaoge Baba Noha Lyrics
More Manqabat Mola Ali as (Hindi & English)
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|
Wa Museebata Noha Lyrics In Hindi
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
बे जुर्म क़त्ल हो गया सजदे में मुर्त़ज़ा
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
डूबी अली के खून में कूफ़े की सहर है
ज़ख़्मी हुए हैं सजदे में हसनैन के पिदर
मस्जिद में फर्शे ग़म है अली का बिछा हुआ
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
भूली अभी कहां थीं वो मादर की पस्लियां
रोती थीं चीख-चीख कर हैदर की बेटियां
साया सरों पे हाय यतीमीं का छा गया
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
शेरे ख़ुदा के ज़ख़्म से रुकता नहीं था खूं
ये देख कर नबी हुए तुरबत में बे सुकूं
कहते थे सर को पीट के सारे ही अम्बिया
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
अपने लहू में डूब गया हाय रोज़ादार
कैसे लईं ने कर दिया शेरे ख़ुदा पे वार
सजदे से सर उठा ना सका शेरे किब्रिया
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
ये ख़बर भी लाई है उन्नीस (19) की सहर
वीरान होने वाला है सय्यिदा का घर
शेरे ख़ुदा का क़त्ल है आग़ाज़ ए कर्बला
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
इमदाद को ग़रीबों की अब कौन आएगा
अब कौन इन ग़रीबों को खाना खिलाएगा
इनका मसीहा क़त्ल हुआ इनको क्या पता
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता
अब और लिख ना पाऊंगा अज़लान आज़मी
याद आ रहा है रही है मुझको बहुत बाबा जान की
इब्ने अली-ओ-ज़हरा मुझे देना हौसला
वा-मुसीबता
देते हैं जिब्रील सदा वा-मुसीबता