Yaad Bohot aao ge baba Noha Lyrics – Ali Akbar Ameen
Haye baba! Haye baba! Haye baba! Haye baba!
Hassnain tadapte they buka karti thni kulsoom
Aa jata tha khoon ankhon me abbas the maghmoom
Jab ghar se nikalne laga haider ka janaza
Zainab ne kaha yaad bahut aao ge baba
Ab apka gham dil se juda ho nahin sakta
Zainab ne kaha yaad ..
Tadpaati thi ab tak hame amma ki mohabbat
Ab dil pe chalayegi chhuri aap ki ulfat
Rah rah ke katega mera har waqt kaleja
Zainab kaha yaad..
Ye soch ke baba mera phat’ta hai kaleja
Amma bhi nahin saath thi ab aap ka chhoota
Ab kon bhala haath mere sar pe rakhega
Zainab ne kaha yaad….
Hassnain ko kis tarha se samjhayegi zainab
Kis tarha se abbas ko bhahlayegi zainab
Sar peetenge jab dekh ke wo aapka hujra
Zainab ne kaha yaad….
Sar peet ke ye zainab e dilgeer pukare
Main door na kar paungi yaadon ko tumhari
Us waqt to kuchh sabr ka chara na rahega
Ansun nahin ankhon se neri khoon bahega
Main dekhungi jis waqt bhi abbas ka chehra
Zainab ne kaha yaad….
Ab chain na hoga kabhi zainab ko mayassar
Pani mein wazu ke liye doongi kise la kar
dil royega dekhungi main jab jab bhi musalla
Zainab ne kaha yaad ….
Bin aapke jab eid ka din aayega baba
Dil aap ke bachchon ka tadap jayega baba
Ham royenge aur eid manaeingi duniya
Zainab ne kaha yaad….
Baba kabhi beti ke bina chain na aaya
Aap aye jo kufe me to mujhko bhi bulaya
Ab jaungi jis roz bhi kufe se madina
Zainab ne kaha yaad ….
Shabbar ne qafan baap ke chehre se hataya
aur zainab o kulsoom ko nazdeek bulaya
Jis waqt kiya akhiri deedar padar ka
Zainab ne kaha yaad ….
Nagaah sada baap ke taboot se aayi
Bas sabr karo sabr karo aye meri jayi
Beti main tumhe shame ghareeban me milunga
Zainab ne kaha yaad ….
Waiz ye buka karti rahi zainab e digheer
Taboot liye rote rahe shabbar o shabbir
Akbar jo chala sakiye kausar ka janaza
Zainab ne kaha yaad ..
Jab ghar se nikalne laga haider ka janaza
Zainab ne kaha yaad bahut aao ge baba
Noha Khwan: ali akbar amen
Lyrics: waiz sultanpuri
मां भी ना हो दुनिया में और बाप भी मर जाए Noha Lyrics
Utho Baba Mein Zainab Hoon Lyrics(Hindi & English)
Mola Rotay Jatay Hain Lyrics (Hindi & English)
More Manqabat Mola Ali as (Hindi & English)
Yaad Bohot aao ge baba Noha Lyrics – Ali Akbar Ameen
Our Pages
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam