Qasidah Hazarat Ibrahim A.S Lyrics

Qasidah Hazarat Ibrahim A.S Lyrics

 

Aao Ae Pyare Bachcho Ye Qissa Suno

Aur Nasihat Ke Tum Is Se Moti Chuno

Pichhle Waqton Me Zalim Tha Ik Hukmran

Naam Namrood Tha Wo Tha Iizara Rasa

Khud Ko Rab Kahta Tha Wo Khabees-O-Laiin

Us Ne Barpa Kiya Apna Nakaam Deen

Is Ke Logo Me Aazar Tha Ik But Farosht

Ma-Siwa Is Ko Daulat Na Tha Koii Hosh

Har Taraf But Gari But Faroshi Hi Thi

Itni Nadaani Me Zindagi Katti Thi

Tab Khuda Ne Bara-Heem Paida Kiya

Jisne Deen-E-Khuda Aa Ke Zinda Kiya

Baap Aazar Bara-Heem Iska Pisar

Yani Ik Ghar Me Hi Aa Gaye Khair-O-Shar

Apne Bachpan Me Ye Justjoo Ke Sabab

Socha Hai Kon Is Duniya Ka Asli Rab

Kya Ye Patthar Jo Makkhi Udate Nahin

Ya Ye Suraj Jo Dhalta Hai Jakar Kahin

Mumkinah Quwwaton Ke Liye Soch Kar

Rab Koi Aur Hai Pahunche Is Nukte Par

Rab Hai Wo Jo Hai Sab Quwwaton Ka Hi Rab

Chand Suraj Sitare Hain Jiske Sabab

Yun Bara-Heem Ko Rab Ki Pahcha.N Huyi

Aur Ibadat Ki Manzil Bhi Aasan Hui

Baap Ne Jab Bara-Heem Se Ye Kaha

Ja Ke But Bech Aur Apni Daulat Kama

Char-O-Nachar But Bechne Chal Pade

Aur Haq Ki Sada Wo Lagane Lage

But Zami Par Ghaseete Lagaai Sada

Gar Ye Rab Hai Kaho Is Se Makkhi Uda

Dekh Sakta Nahin Bol Sakta Nahin

Kaise Kahte Ho Bandon Ki Sunta Hai Ye

Qaum Ko Aise Samjhaya Phir Aap Ne

Unki Aqlon Pe Parde The Lekin Pade

Ek Din Ek Tyohar Me Sab Gaye

Ik Bahane Bara-Heem Ghar Me Rahe

Shahar Khali Hua To Bara-Heem Ne

Ek But Khana Ki Raah Li Chal Pade

Ik Bade But Pe Kulhaadi Ko Chhor Kar

Aa Gaye Ghar Wo Saare Hi But Tod Kar

Log Laute To Sar Ko Patakhne Lage

Qahar Aayega Ab Jald Kahne Lage

Aur Bara-Heem Se Aake Kahne Lage

Tune But Kis Liye Tode Hain Qaum Ke

Tab Unhon Ne Kaha But Se Poochho Zara

Jiske Kaandhe Pe Kulhaada Ik Hai Dhara

Satpata Kar Kaha Aap Ki Qaum Ne

Ye Hai Patthar Ye Har Giz Nahin Bolte

Tab Bara-Heem Bole Wahan Yak Ba Yak

Ye Hai Rab Jo Udaata Hani Makkhi Tak ?

Yun Kiya La-Jawab Aap Ne Qaum Ko

Aur Bataya Ke Dokha Hai Ye Dosto

Ek Allah Ko Maabood Jano Sada

Jiske Qaaboo Me Hai Saans Ka Silsila

Jab Ye Gustakhi Logo Ne Dekhi Tabhi

Daude Namrood Ke Paas Pahunche Sabhi

Aur Shikayat Lagayi Ghazab Ho Gaya

Mulk Me Koi Gustakh Hai Aa Gaya

Yun Giriftar Allah Ka Pyara Hua

Aur Namrood Ke Samne Aa Gaya

Bola Namrood Meri Hai Sab Saltanat

Mai Hun Rab Hukmrani Mari Shash-Jeehat

Tab Bara-Heem Sakhti Se Kahne Lage

Rab Ke Taabe Hain Saans Ke Silsile

Bola Namrood Karta Hun Main Bhi To Yun

Jisko Jinda Rakhun Aur Jise Maar Dun

Phir Bara-Heem Ne Di Use Ek Daleel

Aur Namrood Hone Laga Tab Zaleel

Rab To Laata Hai Mashriq Se Suraj Ka Thaal

Gar Tu Rab Hai To Magharib Se Suraj Nikaal

Ab Jawab Usko Kya Soojhta Doso !

Bilbila Uththa Gusse Se Wo Sahibo

Gusse Me Ho Ke Farman Jaari Kiya

Aagh Ka Ik Aalao Jalao Bada

Shole Jab Aasma Ko Pahunchne Lage

Is Me Hazrat Bara-Heem Daale Gaye

Aaya Amre Khuda Aagh Thandi Hui

Baal Bhi Unka Beeka Nahin Kar Saki

Aur Udhar Ek Machchar Ne Hamla Kiya

Aur Namrood Ke Sar Me Wo Ja Ghusa

Sar Patakhta Kabhi Joote Se Peetta

Aur Isi Haal Me Ek Din Mar Gaya

Haq-O-Baatil Ke Rukh Rab Ne Waaze Kiye

Aur Sabaq Samne Khol Kar Rakh Diye

 

Recited By: Hafiz Hammad Hameed

Lyrics: Musaab Shaheen

Qasidah Hazarat Ibrahim A.S Lyrics

 

Qasidah Hazrat Yusuf A.s.

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *