Mahina Momino Ramzan Ka Sabse Nirala Hai Lyrics
Singer: Mahendra Kapoor
Mahina Momino Ramzan Ka Sabse Nirala hai
Mahina Momino Ramzan Ka Sabse Nirala Hai
Hazaroñ Barkateñ Isme, Bade Ejaz Wala Hai
Sunaata Hooñ Tumheñ Ek Waqeya Ramzañ Ki Barkat Ka
Dikhata Hoon Namoona Main Tumheñ Allah Ki Rahman Ka
Riwayat Hai Ke Ik Mard-e-Jawañ Tha Ek Basti Meiñ
Ke Jo Khoya Hua Rahta Tha Har Dam Haq-Parasti Meiñ
Ibadat Mein Basar Ho Zindagi Ka Uski Mansha Tha
Taraveeh Ki Namazoñ Ka To Wo Aashiq Tha, Shaida tha
Abhi Ramzan Ke Aane Mein Baqi Ek Hafta Tha
Tasawwar Meiñ Namaz O Roza Ke Har Waqt Rahta Tha
Kahin Par Jaa Raha Tha Ek Din, Ghode Pe Wo Baitha
Lagi Thokar Jo Ghode Ko, Gira Ghode Se Wo Aisa
Ke Toote Uske Donoñ Pañw, Behoshi Hui Taari
Utha Kar Log Ghar Laaye, Museebat Thi Badi Bhaari
Use Jis Waqt Hosh Aaya Tadap Uttha Dil-e-Muztar
Kiya Gham Zabt Phir Bhi Aañkheñ Bhar Aayin Is Haalat Par
Hue Bekar Donoñ Pañw Iska Gham Use Kam Tha
Taravih Ki Namazeñ Chhot Jayengi Yahi Gham Tha
Kiye Lakhoñ Jatan Usne Ke Jaldi Fayeda Hoga
Yahi Thi Fikr Aisi Hi Rahi Halat To Kya Hoga
Isi Halat Mein Jab Shaban Ki Unteesvi Aayi
Nazar Aaya Falak Par Chand, Pehli Shab Thi Ramzañ Ki
Mubarak Baad Ka Ek Shor Utha Yak Ba-Yak Har Su
Tadap Uttha Wo Be Chara, Raha Dil Par Na Kuchh Kabu
Ke Dil Ka Dard Ban Kar Ashk Tapka Deeda-e-Tar Se
Dua Faryad Ban Kar Lab Pe Aayi Qalb-e-Muztar Se
Khuda-Wanda Tera Banda Hun Main, Rahmat Pe Shakir Hoon
Badi Bhaari Musibat Mein Phasa Hoon Phir Bhi Sabit Hoon
Tu Waqif Hai Mahe Ramzan Mujhko Kitna Pyara Hai
Bade Arman Se Ik Ek Din Maine Guzara Hai
Na Rakh Mahroom Tu Ramzan Ki Is Khair o Barkat Se
Mera Daman Bhi Bhar De Ya Khuda Gul’haaye Rahmat Se
Dua Usne Ye Mangi, Dil Ne Ek Aasoodgi Payi
Hua Dil Mutmayin To Aañkh Jhapki, Neeñd Si Aayi
To Dekha Khwab Mein Noorani Soorat Ik Buzurg Aaye
Phiraya Pañw Par Dast-e-Mubarak Aur Kaha Us Se
Mahe Ramzañ Ke Shaidayee, Na Ho Mahroom Rahmat Se
Hui Maqbool Teri Iltija, Ramzañ Ki Barkat Se
Sila Ye Hai Tere Jazbaat Ka Shouq-e-Ibadat Ka
Haqiqat Hai Ke Ramzañ Hai Mahina Khairo Barkat Ka
Ab Uth Waqte Isha Aaya Taravih Padh Wazu Kar Le
Wo Awaze Azañ Aayi Tu KHatmi Justju Kar Le
Ye Sunna Tha Ke Aañkheñ Khul Gayeeñ Poori Muqaddar Ki
Ke Kaano Meiñ Sada Ane Lagi Allahu-Akbar Ki
Khada Wo Ho Gaya Pawoñ Meiñ Thi Uske Tawanayi
Masarrat Se Bhar Aaya Dil Ke Is Tarha Shifa Payi
Ke Haalat Dekh Kar The Mahv-e-Hairat Dekhne Wale
Yahi Kehte The Sab Uski Ye Halat Dekhne Wale
Mahe Ramzan Ka Ejaz Hai Ye Khair o Barkat Hai
Mahina Ye Mubarak Hai Badi Iski Fazilat Hai
Mahina Ye Mubarak Hai Badi Iski Fazilat Hai