Hamari Itni Khataon Par Bhi Naat Lyrics
Hamari Itni Khataon Par Bhi
Nibha Rahe Hain Madina Wale
Gira Rahe Hain Zamane Wale
Utha Rahe Hain Madine Wale
Meri Haqiqat Meri Kahani
Bas Itini Hai Meri Zindgani
Khuda Ne Paida Kiya Hai Mujhko
Khila Rahe Hain Madine Wale
Jo Nek Hain Unko Apni Janib
Bula Rahi Hai Khida Ki Rahmat
Gunahgaron Ko Apni Janib
Bula Rahe Hain Madine Wale
Koi Hai Gora Koi Hai Kala
Isi Me Duniya Fasi Hui Thi
Ye Farq Duniya Ki Zahniyat Se
Mita Rahe Hain Madine Wale
Koi Hai Hassan, Koi Hai Saadi
Koi Hai Jaami, Koi Hai Khusro
Mere Raza Ko Bhi Aala Hazrat
Bana Rahe Hain Madine Wale
Hussain Wo Jisko Mustafa Ne
Kaha Tha Jannat Ka Phool Hai Ye
Wo Phool Karbo-Bala Ki Khatir
Luta Rahe Hain Madine Wale
Ghatane Walon Se Koi Kah De
Ghata Na Paoge Hashr Tak Tum
Hamare Akhtar Raza Ki Shohrat
Badha Rahe Hain Madine Wale
Jahan Me Jisko Koi Na Pochhe
Koi Na Dekhe, Koi Na Jaane
Use Bhi Noore Mujassam Apna
Bana Rahe Hain Madine Wale
Naat Khwan: Ghulam Noore Mujassam
Hamari Itni Khataon Par Bhi Naat Lyrics Hindi
हमारी इतनी ख़ताओं पर भी
निभा रहे हैं मदीने वाले !!
गिरा रहे हैं ज़माने वाले
उठा रहे हैं मदीने वाले !!
मेरी हक़ीक़त, मेरी कहानी
बस इतनी है मेरी ज़िन्दगानी !!
ख़ुदा ने पैदा किया है मुझको
खिला रहे हैं मदीने वाले !!
जो नेक हैं उनको अपनी जानिब
बुला रही है ख़ुदा की रह़मत !!
गुनाहगारों को अपनी जानिब
बुला रहे हैं मदीने वाले !!
कोई है हस्सां, कोई है सादी
कोई है जामी, कोई है ख़ुसरो !!
मेरे रज़ा को भी आला हज़रत
बना रहे हैं मदीने वाले !!
कोई है गोरा कोई है काला
इसी में दुनिया फसी हुई थी
ये फ़र्क़ दुनिया की ज़हनियत से
मिटा रहें हैं मदीने वाले
हुसैन वो जिसको मुस्तफ़ा ने
कहा था जन्नत का फूल है ये !!
वो फूल कर्बोबला की ख़ातिर
लुटा रहे हैं मदीने वाले !!
इस जहां में जिसको कोई न पूछे
कोई न देखे कोई न जाने !!
उसे भी नूर ए मुजस्सम अपना
बना रहे हैं मदीने वाले !!
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|