Ali Ke Ghar Se Lyrics – Ghulam Noore Mujassam
इश्क़ ए सरकार का इरफ़ान अली के घर से
Ishq E Sarkar Ka Irfan Ali Ke Ghar Se
Aakhirat Ka Mila Saman Ali Ke Ghar Se
इश्क़ ए सरकार का इरफ़ान अली के घर से
आख़िरत का मिला सामान अली के घर से
Chakki Chalti Hai Jo Zahra Ki Usi Ke Sadqe
Ishq Hota Hai Hame Daan Ali Ke Ghar Se
चक्की चलती है जो ज़हरा की उसी के सदक़े
इश्क़ होता है हमें दान अली के घर से
Khwaja E Hind Ne Islam Sikhaya Hamko
Ham Huye Sahib E Imaan Ali Ke Ghar Se
ख्वाजा ए हिन्द ने इस्लाम सिखाया हमको
हम हुए साहिबे ईमान अली के घर से
Kitni Islam Ko Payri Hai Ali Ki Nisbat
Aakhri Hoga Nigehban Ali Ke Ghar Se
कितनी इस्लाम को प्यारी है अली की निस्बत
आख़िरी होगा निगेह-बान अली के घर से
Usko Rizwan Na Rokenege Dar E Jannat Par
Jis Musafir Ki Hai Pahchan Ali Ke Ghar Se
उसको रिज़वान ना रुकेंगे दर ए जन्नत पर
जिस मुसाफ़िर की है पहचान अली के घर से
Deen Ke Waste Akbar Ne Jawani De Di
Aur Asghar Huye Qurban Ali Ke Ghar Se
दीन के वास्ते अकबर ने जवानी दे दी
और असग़र हुए क़ुर्बान अली के घर से
Mere Mola Mujhe Hasnain Ka Sadqa De De
Khaali Jata Nahin Mehman Ali Ke Ghar Se
मेरे मौला मुझे हसनैन का सदक़ा दे दे
खाली जाता नहीं मेहमान अली के घर पर
Ghouse Azam Ka Karam Noore Mujassam Kahiye
Ho Gayi Meri Bhi Pahchan Ali Ke Ghar Se
ग़ौसे आज़म का करम नूरे मुजस्सम कहिए
हो गई मेरी भी पहचान अली के घर से
Naat Khwan: Ghulam Noore Mujassam
ali ke ghar se manqabat Lyrics, 13 rajab special kalam 2022
Ishq E Sarkar Ka Irfan Ali Ke Ghar Se lyrics hindi and english
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|