Nisbat Se Teri Kyun Na Rahooñ Sarfaraz Maiñ

Nisbat Se Teri Kyun Na Rahooñ Sarfaraz Maiñ Qawwali Lyrics in Hindi and English | निस्बत से तेरी क्यों न रहूं सरफ़राज़ मैं

Qawwali: Inamullah Saeedullah Qawwal


हिंदी के लिए नीचे जाएं


Rutba ye badshahoñ se badhkar mila mujhe
Tera Ghulam kahti hai khalq e Khuda mujhe.

Har-Har qadam pe aap rahe mere saath-saath
Chhoda nahin hai aap ne be aasra mujhe۔

 

Nisbat Se Teri Kyun Na Rahooñ Sarfaraz Maiñ

Nisbat Se Teri Kyun Na Rahooñ Sarfaraz Maiñ
Banda Tera Hooñ Aye Mere Banda Nawaz Maiñ.

 

Duniya Se Wasta Hai Na Shaahoñ Se Kuchh Gharaz

Duniya Se Wasta Hai Na Shaahoñ Se Kuchh Gharaz
Karta Hoon Tere Dar Ki Gadayi Pe Naaz Main.

 

khusravi rakhta hoon apne pañw ki thokar par

Karta Hoon Tere Dar Ki Gadayi Pe Naaz Main.
Karta Hoon Tere Dar Ki Gadayi Pe Naaz Main.

 

Karta Rahuñga Koocha e Mehboob Ka Tawaaf

Karta Rahuñga Koocha e Mehboob Ka Tawaaf
Dil Mein Jala Ke Shamma e Soz o Gudaaz Main.

 

Deedar e Yaar Ahl e Mohabbat Ki Hai Namaz Maiñ

Deedar e Yaar Ahl e Mohabbat Ki Hai Namaz Maiñ
Phir Kyoñ Na Teri Deed Ko Samjhooñ Namaz Maiñ.

 

Jab Se Karam Hua Hai Teri Chashm e Naaz Ka

Jab Se Karam Hua Hai Teri Chashm e Naaz Ka
Rahta Hooñ Apne Aap Se Bhi Be-niyaz Maiñ.

 

Sar Ko Jhuka Ke Yaar Ke Qadmoñ Pe Aye “A’taa”

Sar Ko Jhuka Ke Yaar Ke Qadmoñ Pe Ay “A’taa”
Karta Hooñ Apne Auj e Muqaddar Pe Naaz Maiñ


निस्बत से तेरी क्यों न रहूं सरफ़राज़ मैं कव्वाली लिरिक्स | Nisbat Se Teri Kyun Na Rahooñ Sarfaraz Maiñ Lyrics in Hindi

क़व्वाली : इनामुल्ला सईदुल्ला क़व्वाल

रूतबा ये बादशाहों से बढ़कर मिला मुझे
तेरा ग़ुलाम कहती है ख़ल्क़ ए ख़ुदा मुझे,

हर-हर क़दम पे आप रहे मेरे साथ-साथ
छोड़ा नहीं है आपने बे आसरा मुझे।

निस्बत से तेरी क्यों ना रहूं सरफराज मैं

निस्बत से तेरी क्यों ना रहूं सरफराज मैं
बंदा तेरा हूं ऐ मेरे बंदा नवाज़ मैं।

 

दुनिया से वास्ता है ना शाहों से कुछ ग़रज़,
करता हूं तेरे दर की गदाई पर नाज़ मैं।

 

ख़ुसरवी रखता हूं अपने पांव की ठोकर पर

करता हूं तेरे दर की गदाई पर नाज़ मैं।

 

करता रहूंगा कूचा-ए-महबूब का तवाफ़
दिल में जला के शम्मा ए सोज़-ओ-गुदाज़ मैं।

 

दीदार-ए-यार, अहले मोहब्ब्त की है नमाज़,
फिर क्यों ना तेरी दीद को समझूं नमाज़ मैं।

 

जब से करम हुआ है तेरी चश्म-ए-नाज़ का,
रहता हूं अपने आप से भी बे-नियाज़ मैं।

 

सर को झुका के यार के क़दमों पे ऐ “अ़ता”
करता हूं अपने औज-ए-मुक़द्दर पे नाज़ मैं।

Banda Tera Hooñ Aye Mere Banda Nawaz Maiñ lyrics

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *