Mere Dil Mein Hai Yaad E Muhammad ﷺ Lyrics
Qawwal: Sabri Brothers
Shayar: Sikandar Lukhnawi
हिंदी लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए
Na Zar Achha, Na is Duniya ke Ye Zardaar Achhe haiñ
Bahaare JañFiza Achhi, Na Ye Gulzaar Achhe haiñ
Nabi ki Aal aur Ashaab, Chaaroñ Yaar Achhe haiñ
Khuda Achha hai, Uske Ahmad-e-Mukhtar Achhe haiñ
Mere Dil Mein Hai Yaad E Muhammad ﷺ
Mere Dil Mein Hai Yaad E Muhammad ﷺ
Mere Hothoñ Pe Zikr e Madina
Tajdaar-E-Haram Ke Karam Se
Aagaya Zindagi Ka Qareena
Maiñ Ghulaam-E-Ghulaamaan-E-Ahmad
Maiñ Sag-E-Aastaan-E-Muhammadﷺ
Qaabil-E-Fakhar Hai Maut Meri
Qaabal-E-Rashk Hai Mera Jeena
Unki Chasm-e-Karam ki Ata hai
Mere Seene meiñ unki Ziya hai
Yaad-e-Sultan-e-Taiba ke Sadqe
Mera Seena hai misl-e-Nagina
Har Khataa Par Meri Chashm-Poshi
Har Talab Pe Ataaoñ Ki Baarish
Ye Maana ae Falak Sab Band haiñ Rahat ke Darwaze
Kushada Haiñ Rasoolallah ki Rahmat ke Darwaze
Har Khataa Par Meri Chashm-Poshi
Har Talab Pe A’taaoñ Ki Baarish
Mujh Gunahgaar Par Kis Qadar Haiñ
Mehrbaañ Tajdaar-E-Madina
Mujh Ko Toofaañ Ki Maujoñ Ka Kyaa Dar
Wo Guzar JaayeGaa Rukh Badal Kar
Hairaañ Hooñ! Lab se Naam, Ye Kiska Nikal Gaya
Kashti ko Meri Thaam ke, Toofaañ Sambhal Gaya
Mujh Ko Toofaañ Ki Maujoñ Ka Kyaa Gham
Wo Guzar JaayeGaa Rukh Badal Kar
Na Khuda Haiñ Mere Jab Muhammadﷺ
Kese DoobeGaa Mera Safeena
Dil Shakistañ Hai Mera To Kya Gham
Is Meiñ Rahte Haiñ Shah-E-Do-Aalam
Ae Jannat! Tujh Meiñ Hoor-o-Qusoor Rahte Haiñ
Ae Jannat! Maine Maana Zuroor Rahte Haiñ
Mere Dil ka Tawaaf kar Jannat
Kyuñ ke,
Is Meiñ Rahte Haiñ Shah-E-Do-Aalam
Dil Shakistañ Hai Mera To Kya Gham
Is Meiñ Rahte Haiñ Shah-E-Do-Aalam
Jab Se Mehmaañ Hue Haiñ Wo Dil ke
Dil Mera Ban Gayaa Hai Madina
Daulat-e-Ishq Se Dil Ghani hai
Meri Qismat hai Rashk-e-Sikandar
Mid-hat-e-Mustufa ki Ba-Daulat
Mil Gaya Hai Mujhe ye Khazeena
Mere Dil Meiñ Hai Yaad e Muhammad ﷺ
Mere Hothoñ Pe Zikr e Madina
——————
Also it is, Mere Dil Mein Hai Yaade Mohammad Khursheed Ahmad Naat Lyrics
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar