Mere peer ki ghulami lyrics, Mere peer ki gulami mere kaam aa gayi hai Lyrics
Qawwali of Aslam Akram Warsi
हिंदी में पढ़िए
Duniya khilaaf hai to mujhe kya malaal hai
Maiñ jiska ho gaya hooñ use khud khayaal hai
Unke karam se meri pur lutf zindagi hai
Guzra hooñ main jidhar se izzat mujhe mili hai
Mere peer ki ghulami mere kaam aa gayi hai
Mere peer ki ghulami.. mere kaam aa gayi
Jhuk kar salam karne laga ye jahañ mujhe
Pahuñcha diya hai tere karam ne kahañ mujhe
Mere peer ki ghulami.. mere kaam aa gayi
Aayi Hui bala bhi mere sar se tal gayi
Aisa nawaza peer ne duniya badal gayi
Mere peer ki ghulami.. mere kaam aa gayi
Shaidaayi hoon main unka, unhi ka hoon diwana
Hai mere labon par mere murshid ka fasana
Jis din se mili hai dar e murshid ki gadaayi
Pehchaanta hai aaj mujhe sara zamana
Mere peer ki ghulami.. mere kaam aa gayi
Daaman e murshadi me badi barkateñ mileeñ
Hasil hai is Waseele se faizan e Panjatan
Bai’at mujhe naseeb hui jab se peer ki
Haathoñ meiñ mere aa gaya damaan e panjatan
Mere peer kee ghulami.. mere kaam aa gai
Jis din se mere peer ki nisbat mujhe mili
Wallah meri bigdi hui baat ban gayi,
Main ek khote sikke ke jaisa tha kal talak
Unke karam se aaj hai anmol zindagi
Mere peer kee ghulami.. mere kaam aa gai
Tere karam ne aisa nawaza teri qasam
Duniya se maañgne ki zarurat nahi rahi
Mere peer ki gulami.. mere kaam aa gai
Mehfil mein pahli saf mein jagah di gayi mujhe
Aye mere peer ye teri nisbat ki baat hai
Mere pir ki gulami.. mere kaam aa gai
Sau jaañ se apne peer pe qurban jaauñ main
Gulshan meri hayaat ka gulzaar kar diya,
Jab se bane wo NaaKhuda meri hayat ke
Bahr e gham e jahan se mujhe paar kar diya.
Mere pir ki gulami.. mere kaam aa gai
Unki nawaazishoñ ko bhala kya karooñ raqam
Altaf o karam unka hai mujh par qadam qadam,
Mujh jaise nikamme ko koi poochhta na tha
Unki nazar ne kar diya duniya mein mohtaram.
Mere pir ki gulami mere kaam aa gai
Ye unki inaayaaat hain, unki hai ye a’taa
Logoñ ki nigahoñ mein bharam hai bana hua,
Main kuch bhi nahi hoon, meri auqaat kya bhala
Aisa mujhe nawaza karooñ main bayaan kya.
Mere pir ki gulami mere kaam aa gai
Nisbat ne aap ki mujhe sab kuchh ataa kiya
Adna ghulaam tha mujhe sultaañ bana diya
Mere pir ki gulami mere kaam aa gai
Nisbat se teri mera zamane me bharam hai
Aisa mere murshid tera andaaz e karam hai
Mere peer ki gulami mere kaam aa gai
Daamaan e peer se mila daaman e Panjatan
Hai mujhko naaz ye meri nisbat buland hai
Us mard e Khuda ki mujhe bai’at naseeb hai
Sad shukr marhaba meri qismat buland hai
Mere peer ki gulami mere kaam aa gai
Mujh ko dubona chaaha jo toofaan o bhañwar ne
Ghabraya mushiloñ se mujhe aaya paseena
“Ya peer Al madad” jo kaha waqt e museebat
Bahr e alam se paar hua mera safeena
Mere peer ki gulami mere kaam aa gai
Kal thay jo log mujhse bade bad gumaan se
Woh bhi hain aaj mujh pe bade mehrbaan se
Ye Murshid e Kaamil ki nigahoñ ka faiz hai
Rahta hooñ is jahan mein badi aan-baan se
Mere peer ki gulami mere kaam aa gai
Aayina e khuloos ki tasveer chaahiye
Bas aisa peer paane ko taqdeer chahiye
Mere peer ki gulami mere kaam a gai
Teri nazar se dil ko sukooñ hai qarar hai
Tere karam se mere chaman mein bahaar hai
Mere peer ki gulami mere kaam a gai
Aal e Rasool e Paak ki ulfat mili mujhe
Eemaan o Deen ki jo ye daulat mili mujhe
Nisbat se unki pahle thi be-kaif zindagi
Nemat sab aaj unki badaulat mili mujhe
Mere peer ki gulami mere kaam a gai
Mere peer ki gulami mere kaam a gai
Maa-Baap Ki Ghulami Mere Kaam Aa Gayi Lyrics