चमकने लगा सुन्नियत का सितारा लिरिक्स
Chamakne Laga Sunniyat Ka Sitaara Manqabat Lyrics
Shayar: Habibullah Faizi Madhupuri
Naat Kawan: Habibullah Faizi Madhupuri
चमकने लगा सुन्नियत का सितारा
बरेली में अहमद रज़ा जब से आये
Chamakne Laga Sunniyat Ka Sitaara
Bareily Mein Ahmad Raza Jabse aaye
हुआ सर्द फितनों का हर इक शरारा
बरेली में अहमद रज़ा जब से आये
Huwa Sard Fitno.n Ka Har Ik Shara’ra
Bareily Mein Ahmad Raza Jabse aaye
उधर कुफ्र की सारी तन्ज़ीमें शामिल
इधर अहले सुन्नत अकेले मक़ाबिल
Udhar Kufr Ki Saari Tanzeemien Shamil
Idhar Ahle Sunnat akele maqabill
मगर सुन्नियों ने ही मैदान मारा
बरेली में अहमद रज़ा जब से आये
Magar Sunniyoun ne hi maidaan maara
Bareily Mein Ahmad Raza Jabse aaye
फ़ताबे में इतनी हदीसें सजाईं
कि जिस पे करे फ़ख़र् रुहे बुखारी
Fataawe mein itni Hadeesen sajaayi
Ke Jiss Pe Karen Faqr Rooh-E-Bukhaari
बरेली बना सुन्नियों का बुखारा
बरेली में अहमद रज़ा जब से आये
Bareily Bana Sunniyoun Ka BuKhaara
Bareily Mein Ahmad Raza Jabse aaye
गो उर्दू में पहले भी थी नातगोई
मगर क़ाबिले तज़किरा थी न कोई
Go Urdu Mein Pehle Bhi Thi Naat Goee
Magar Qaabile Tazkira Thi Na koyi
फ़लक छू गया शायरी का मिनारा
बरेली में अहमद रज़ा जब से आये
Falak Choo Gaya Shayari Ka Minaara
Bareily Mein Ahmad Raza Jabse aaye
हज़ारों उलूमें की सीने में मगफ़ीं
फ़साना नहीं ये हक़ीक़त है फ़ैज़ी
Hazaron Uloomein Ki Seeney Me Magfi
Fasana Nahi Ye Haqiqat Hai Faizi
मगर ये हक़ीक़त हुई आशिकारा
बरेली में अहमद रज़ा जब से आये
Magar Ye Haqiqat Hui Aashikara
Bareily Mein Ahmad Raza Jabse aaye
चमकने लगा सुन्नियत का सितारा मनक़बत
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan