उनकी महक ने दिल के गुन्चे खिला दिये हैं
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Saif Raza Kanpuri, Furqan Qadri, Qari Mukarram Raza, Hafiza Kamran Qadri,
उनकी महक ने दिल के गुन्चे खिला दिये हैं
जिस राह चल दिये हैं कूचे बसा दिये हैं
Unki mahak ne dil ke gunche khila diye hain
Jis raah chal diye hain ku-chay basa diye hain
जब आ गई हैं जोशे रहमत पे उनकी आंखें
जलते बुझा दिये हैं रोते हसा दिये हैं
Jab aa gayi hain joshe rahmat pe unki aankhe
Jalte bujha diye hain rote hasa diye hain
एक दिल हमारा क्या है आज़ार उसका कितना
तुम ने तो चलते फिरते मुरदे जिला दिये हैं
Ek dil hamara kya hai aa zaar uska kitna
Tum ne to chalte firte murde jila diye hain
उनके निसार कोई कैसे ही रंज में हो
जब याद आ गए हैं सब गम भुला दिये हैं
Unke nisaar koi kaise hi ranj me ho
Jab yaad aagae hain sab gam bhula diye hain
हम से फ़कीर भी अव फेरी को उठते होंगे
अब तो गनी के दर पर बिस्तर जमा दिये हैं
Hamse faqeer bhi ab feri ko uth te honge
Ab to gani ke dar par bistar jama diye hain
असरा में गुज़रे जिस दम बेड़े पे क़ुदसियों के
होने लगी सलामी परचम झुका दिये हैं
Asra me guzre jis dam bede pe kudsiyon ke
Hone lagi salami parcham jhuka diye hain
आने दो या डुबो दो अब तो तुम्हारी जानिब
कश्ती तुम्ही पे छोड़ी लंगर उठा दिये हैं
Aane do ya dubo do ab to tumhari janib
Kashti tumhi pe chhodi langar udha diye hain
दूल्हा से इतना कह दो प्यारे सवारी रोको
मुश्किल में हैं बराती पुरखार बादियों हैं
]Dulha se itna khado pyare savaari roko
Mushkil me hain barati pur khaar badiyon me
अल्लाह क्या जहन्नम अब भी ना सर्द होगा
रो- रो के मुस्तफा ने दरिया वहा दिये हैं
Allah kya jahun-num ab bhi na sard hoga
Ro ro ke mustafa ne dariya vaha diye hain
मेरे करीम से गर कतरा किसी ने मांगा
दरिया वहा दिये हैं, दुर बे बहा दिये हैं
Mere karim se gar katra kisi ne manga
Dariya vaha diye hain, dur be vaha diye hain
मुल्के सुखन की शाही तुम को रज़ा मुसल्लम
जिस समत आ गये हैं सिक्के बिठा दिये हैं
Mulke sukhan ki shahi tum ko raza musallam
Jis samt aa gaye hain sikke bitha diye hain
Related Post:
Koi Duniya e Ata Me Nahin Hamta Tera
Wah Kya Joodo Karam hai Lyrics
Woh Sarwar e Kishwar e Risalat Lyrics
English And Hindi Naat Lyrics
unki mahak ne dil ke gunche lyrics in hindi
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|