Raahe Irfaan Se Jo Ham Na Deeda Roo Mahrum Nahi

Raahe Irfaan Se Jo Na-Deeda Roo Mahrum
Raahe Irfaan Se Jo Na-Deeda Roo Mahrum Lyrics

Raahe Irfaan Se Jo Ham Na-Deeda Roo Mahrum Nahi Lyrics
राहे इ़रफ़ां से जो हम ना-दीदा रु मह़रम नहीं

Ala Hazrat | Naat-E-Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, 

 

राहे इ़रफ़ां से जो हम ना-दीदा रु मह़रम नहीं
मुस्तफ़ा हैं मसनदे इर्शाद पर कुछ ग़म नहीं
Raahe Irfaa(n) Se Jo Ham Na-Deeda Roo Mahrum Nahi
Mustafa Hein Masnad-E Irshaad Par Kuchh Ghum Nahi

 

हूं मुसल्मां गर्चे नाक़िस ही सही ऐ कामिलो!
माहियत पानी की आख़िर यम से नम में कम नहीं
Hu(n) Musalma(n) Garche Naaqis He Sahi Ae Kaamil O !
Maahiyat Paani Ki Aakhir Yum Se Num Me Kum Nahi

 

गुन्चे मा औह़ा के जो चटके दना के बाग़ में
बुलबुले सिदरा तक उन की बू से भी मह़रम नहीं
Gunche Maa Auhaa Ke Jo Chatke Dana Baagh Me
Bulbule Sidra Tak Unki Boo Se Bhi Marhum Nahi

 

उस में ज़म ज़म, है कि थम थम इस में ज़म ज़म, है कि बेश
कसरते कौसर में ज़म ज़म की त़रह़ कम कम, नहीं
Us Me Zam Zam,Hai Ki Tham Tham Is Me Zam Zam, Hai Ki Besh
Kasrate Kousar Me Zam Zam Ki Tarha Kum Kum, Nahi

 

पन्जए मेहरे अ़रब है जिस से दरिया बह गये
चश्मए खुरशीद में तो नाम को भी नम नहीं
Panjaa-E Mehre Arab Hai Jis Se Dariya Bah Gaye
Chasma-E Khurshid Me To Naam Ko Bhi Num Nahi

 

ऐसा उम्मी किस लिए मिन्नते कशे उस्ताद हो
क्या किफ़ायत उस को इक़रा-रब्बुक-अल-अकरम नहीं
Aisa Ummi Kis Liye Minnat-E Kashe Ustaad ho
Kya Kifaayat Us Ko Iqra-Rabbuk-Al-Akram Nahi

 

ओस मेहरे ह़श्र पर पड़ जाए प्यासो तो सही
उस गुले ख़न्दा का रोना गिर्यए शबनम नहीं
Os Mehre Hashr Par Pad Jaaye Pyaaso To Sahi
Us Gul-E Khanda Ka Rona Gir-E ShubNum Nahi

 

है उन्हीं के दम क़दम की बाग़े आ़लम में बहार
वोह न थे आ़लम न था गर वोह न हों आ़लम नहीं
Hai Unhi Ke Dum Qadam Ki Baagh-E Aalam Me Bahaar
Woh Na The Aalam Na Tha Gar Woh Na Ho(n) Aalam Nahi

 

सायए दिवारो ख़ाके दर हो या रब और रज़ा
ख़्वाहिशे दैहीमे क़ैसर, शौख़े तख़्ते जम नहीं
Saae-E Deewaro Khaake Dur Ho Ya Rab Aur RAZA
Khwahish-E Daiheem-E Qaisar, Shoukhe Takht-E Jum Nahi

 

Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri |  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *