
Gunaah Gaaron Ko Haatif Se Navidey Khush naat lyrics
Sahayr: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Abdul Habib Attari, Milad Raza Qadri,
Hadaaiqe Bakhshish Part 1
गुनहगारों को हातिफ़ से नवीदे खुश मआली है
मुबारक हो शफ़ाअ़त के लिये अह़मद सा वाली है
Gunaah Gaaron Ko Haatif Se Navidey Khush Ma’aali Hai
Mubarak Ho Shafa’at Ke Liye Ahmad Saa Waali Hai
क़ज़ा ह़क़ है मगर इस शौक़ का अल्लाह वाली है
जो उनकी राह में जाए वोह जान अल्लाह वाली है
Qaza Haq Hai Magar Is Shouq Ka Allah Waali Hai
Jo Unki Raah Me Jaaye Woh Jaan Allah Waali Hai
तेरा क़द्दे मुबारक गुलबुने रह़मत की डाली है
इसे बो कर तेरे रब ने बिना रह़मत की डाली है
Tera Qadde Mubarak Gulbune Rahmat Ki Daali Hai
Ise Bo Kar Tere Rab Ne Bina Rahmat Ki Daali Hai
तुम्हारी शर्म से शाने जलाले ह़क़ टपकती है
ख़मे गरदन हिलाले आस्माने जुल जलाली है
Tumhari Sharm Se Shaane Jalaale Haq Tapakti Hai
Khamey Garden Hilale Aasmaane Jul Jalaali Hai
ज़हे खुद गुम जो गुम होने पे यह ढूंडे कि क्या पाया
अरे जब तक की पाना है जभी तक हाथ ख़ाली है
Zahe Khud Gum Jo Gum Hone Pe Yeh Dhoonde Ki Kya Paaya
Are Jab Tak Ki Paana Hai Jabhi Tak Haath Khaali Hai
मैं इक मोह़ताज बे वक़्अ़त गदा तेरे सगे दर का
तेरी सरकार वाला है तेरा दरबार आ़ली है
Mein Ek Mohtaaj Be Wak’at Gada Tere Sage Dar Ka
Teri Sarkar Waala Hai Tera Darbar Aali Hai
तेरी बख़्शिश पसन्दी, उ़ज़र् जूई, तौबा ख़्वाही से
उ़मूमे बे गुनाही, जुर्म शाने ला उबाली है
Teri Bakhshish Pasandi, Uzr Jooi,Touba Khwaahi Se
Umoome Be Gunahi, Jurm Shaane Laa Ubaali Hai
अबू बक्रो उ़मर उ़स्मानो ह़ैदर जिसके बुलबुल हैं
तेरा सर्वे सही उस गुलबुने ख़ूबी की डाली है
Abu Bakro Umar Usmaano Haider Jiske Bulbule Hein
Tera Sarve Sahi Us Gulbune Khoobi Ki Daali Hai
रज़ा क़िस्मत ही खुल जाए जो गीलां से ख़ित़ाब आए
कि तू अदना सगे दरगाहे खुद्दामे मआ़ली है
RAZA Qismat He Khul Jaaye Jo Geela(N) Se Khitaab Aaye
Ki Tu Adna Sage Dargahe Khuddame Ma”Aali Hai
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |