Ye Bil Yaqeen Husain Hai Lyrics

Ye Bil Yaqeen Husain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai Lyrics | 

Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan 

Kalaam Hafeez Jalandhari

Manqabat Shahidan e Karbala | Noha Lyrics

हिन्दी लिरिक्स    

 اردو لرکس

Yeh Bil Yaqeen Hussain Hain Lyrics

 

Deeñ Ast Hussain Deeñ Panah Ast Hussain
Sar Daad Na Daad Dast Dar Dast-e Yazeed
Haqqa Ke Binaa-e La ilaah Ast Hussain

 

Libaas Hai Phata Hua Ghubaar Mein aTaa Hua
Tamam Jisam e Naaz-Neeñ Chhida Hua Kata Hua

Yeh Kaun Zee Waqar Hai, Bala Ka Shah-Sawar Hai
Ke Hai Hazaar Qatiloñ Ke Samne Dataa Hua

 

Ye Bil Yaqeen Husain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai
Hussain Hai Husain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai

 

Yeh Kon Haq Parast Hai Mai-e Raza-e Mast Hai
Ke Jis Ke Samne Koi Buland Hai Na Past Hai

Udhar Hazaar Ghaat Hai Magar Ajeeb Baat Hai
Ke Ek Se Hazar Ka Bhi Hausla Shikast Hai

 

Ye Bil Yaqeeñ Husain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai
Hussain Hai Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai

 

Husain Ke Jis Ki Sada La ilaah illallah
Husain Jis Ki Ada La ilaah illallah
Husain Jis Ki Sana La ilaah illallah
Husain Ki Dua La ilaah illallah

 

Hussain Hai Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..

 

Jo Dahakti Aag Ke Sholo Pe Soya Woh Husain
Jis Ne Apne Khoon Se Aalam Ko Dhoya Woh Husain

Jo Jawañ Bete Ki Mayyat Par Na Roya Woh Husain
Jisne Sab Kuch Kho Ke Phir Bhi Kuch Na Khoya Woh Husain

 

Hussain Hai Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..

 

Rasm-e Ushshaaq Yahi Hai Ke Wafa Karte Haiñ
Yaani Har Haal Meiñ Haq Apna Ada Karte Haiñ

Hausla Hazrat e Shabbir Ka Allah Allah
Sar Juda Hota Hai Aur Shukr-e Khuda Karte Haiñ

 

Hussain Hai Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..

 

Dilaawari Mein Fard Hai Bada Hi Sher Mard Hai
Ke Jis Ke Dabdabe Se Rang Dushmano Ka Zard Hai

Habib-e Mustafa Hai Yeh, Mujahid e Khuda Hai Ye
Jabhi To Is Ke Samne Yeh Fauj Gard Gard Hai

 

Ye Bil Yaqeen Husain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..
Hussain Hai Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai

 

Eemaan ki Tauqeer kaha jata hai
Qur’aan ki tafseer kaha jata hai

Baatil ke saamne jo kabhi jhuk na saki
Us Zaat Ko Shabbir kaha jata hai

 

Husain Hai Husain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..

 

Udhar Sipaah-e Shaam, Hai Hazar intizam hai
Udhar Haiñ Dushmanaan-e Deeñ, Idhar Faqt Imam Hai

Magar ajeeb Shaan Hai, Ghazab Ki Aan Baan Hai
Wo Jis Taraf Uthi Hai Teigh Bas Khuda Ka Naam Hai

 

Yeh Bil Yaqeen Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..
——–

 

Yeh Jiski Ek Zarb Se, Kamaal-e Fann-e Herb Se
Kayi Shaqi Gire Hue Tadap Rahe Hain Kerb Se

Ghazab Hai Teigh-e Do Siraa, Ke Ek Ek War Par
Uthi Sada-e Al Amañ Zabaan-e Sharq o Gharb Se

 

Yeh Bil Yaqeeñ Hussain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..

 

Abaa Bhi Taar Taar Hai, To Jism Bhi Fagaar Hai
Zameeñ Bhi Hai Tapi Hui, Falak Bhi Shola Baar Hai

Magar Ye Mard-e Teigh Zan, Ye Saf Shikan Falak Figan
Kamaal-e Sabr o Tann Dehi Se Mahv-e Kaar Zaar Hai

 

Yeh Bil Yaqeen Husain Hai Nabi Ka Noor e Ain Hai ..

See Translation in English

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *