Ya Rahmatul Lil Alameen Naat e Paak Lyrics
Shayar : Muzaffar Warsi
Ya Rahmatullil Aalameen
Ya Rahmatullil Aalameen
ilham Jaama Hai Tera
Qur’aañ Amama Hai Tera
Mimber Tera Arsh-e Bariñ
Ya Rahmatullil Alameen
Aayina-e Rahmat Badan
Saañseñ Charagh e ilm o Fan
Qurb e ilahi Tera Ghar
Al Faqr o Fakhri Tera Dhan
Khushbu Teri Joo-e karam
Aankhein Teri Baab-e-Haram
Noor-e Azal Teri Jabeeñ
Ya Rahmatullil Alameen
Teri Khmoshi Bhi Azañ
Neeñdeñ Bhi Teri Rat Jage
Teri Hayat e Paak Ka
Har Lamha Paighambar Lage
Khair-ul-Bashar Rutwa Tera
Aawaz e Haq Khutba Tera
Aafaaq Tere Saamayiñ
Ya Rahmatul Lil Alameen
Qabza Teri Parchhayiñ Ka
Beenaayi Par Idraak Par
Pairoñ Ki Jumbish Khaak Par
Aur Aahteñ Aflaak Par
Gard e Safar Taatoñ Ki Zau
Markab Buraaq e Tez Rau
Saayeeñs Jibreel e Ameeñ
Ya Rahmatul Lil Alameen
Tu Aaftab-e Ghaar Bhi
Tu Parcham e Yalghar Bhi
Ijz o Wafa Bhi Pyar Bhi
Shahzor Bhi Saalaar Bhi
Teri Zirah Fat’ho Zafar
Sidq o Safa Teri Sipar
Teigh o Tabar Sabr o Yaqeeñ
Ya Rahmatul Lil Aalamin
Phir GudDiyoñ Ko Laal De
Jaañ Patthroñ Mein Daal De
Haavi Hoñ Mustaqbil Pe Ham
Maazi Sa Hamko Haal De
Daawa Hai Teri Chaah Ka
Is Ummat-e Gumraah Ka
Tere Siwa Koyi Nahi
Ya Rahmatul Lil Aalamin
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan