Unke Andaz e Karam Un Pe Woh Aana Dil Ka

Unke Andaz e Karam Un Pe Woh Aana Dil Ka Lyrics in English

Kalam : Peer Naseeruddin Naseer


हिंदी में पढ़िए | اردو میں پڑھیے


Unke Andaaz e Karam Un Pe Woh Aana Dil Ka

 

Unke Andaaz-e-Karam Un Pe Wo Aana Dil Ka,
Haye Wo Waqt Wo Baateñ Wo Zamana Dil Ka.

 

Na Suna Us Ne Tawajjo Se Fasana Dil Ka,
Umr Guzri Hai Magar Dard Na Jana Dil Ka.

 

Kuchh Nayi Baat Nahi Husn Pe Aana Dil Ka,
Mashghala Hai Ye Nihayat Hi Purana Wala.

 

Woh Mohabbat Ki Shuruaat, Wo Be Tahasha Khushi,
Dekh Kar Unko Wo Phoole Na Samaana Dil Ka.

 

Dil Lagi Dil Ki Lagi Ban Ke, Mita Deti Hai,
Roug Dushman Ko Bhi Ya Rab Na Lagana Dil Ka.

 

Ek To Mere Muqaddar Ko Bigaada Usne,
Aur Phir Uspe Ghazab Hañs Ke Banana Dil Ka.

 

Mere Pahlu Mein Nahiñ, Aap Ki Mutthi Meiñ Nahin,
Be Thikaane Hai Bahut Din Se Thikana Dil Ka.

 

Wo Bhi Apne Naa Hue Dil Bhi Gaya Haathon Se,
Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Dil Ka.

 

Khoob Haiñ Aap Bahut Khoob! Magar Yaad Rahe,
Zeib Deta Nahi Aisoñ Ko Sataana Dil Ka.

 

Be Jhijhak Aa Ke Milo, Hañs Ke Milao Aañkheñ,
Aao Ham Tum Ko Sikhaate Hain Milaana Dil Ka.

 

Naqsh Bar Aab Nahi, Wahm Nahi, Khwab Nahi,
Aap Kyuñ Khel Samajhte Hain Mitaana Dil Ka.

 

Hasrateñ Khaak Huiñ, Mit Gaye Armaañ Sare,
Lut Gaya Koocha-e-Jaanañ Mein Khazana Dil Ka.

 

Le Chala Hai Mere Pahlu Se Ba-Sad Shouq Koi,
Ab To Mumkin Hi Nahin Laut Ke Aana Dil Ka.

 

Unki Mehfil Mein Naseer UnKe Tabassum Ki Qasam,
Dekhte Reh Gaye Ham Haath Se Jana Dil Ka.

 

Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali Lyrics

 

2 thoughts on “Unke Andaz e Karam Un Pe Woh Aana Dil Ka”

  1. Do you have the full length version of this song… Jisme saare kalaam ho ??
    Net par ya to full length nahi hai..
    Aur jo full length ka song available hai.. usme nusrat sahab ki aawaz hi nahi sunai de rahi hai.

    If you have plz provide the link. 🙏🏻

    1. This “unke Andaz e Karam unpe woh aana dil ka” is the poetry of Hazrat Peer Naseeruddin Naseer. Ustad Nusrat Fateh Ali Khan sahab didn’t sing this full length.

      Moreover he added some other verses too, as per requirement of qawwali.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *