Suno Ae Parindo Lyrics | Safdar Kaleem

Suno Ae Parindo Lyrics By Safdar Kaleem

Wo dhalta Hua Din Wo Zindañ Ka Manzar
Nigaheñ Sakina Ki Thiñ Aasmañ Par
Parinde Jo Guzre To Yaad Aa Gaya Ghar
Pariñdoñ Se Pooñcha Sakina Ne Ro Kar
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Ruko Jate-Jate Mere Bayn Sun Lo
Agar Tum Madine Ki Janib Chale Ho
Mera Haal Jakar Sughra Ko Suna Do
Tamachoñ Se Rukhsar Zakhmiñ Haiñ Dekho
Gala Mera Rassi Se Jakda Hua Hai
Mere Zakhmiñ Kano Se Khooñ Bah Raha Hai
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Dua Hai Khuda Tumko Aazad Rakkhe
Tumhare Gharano Ko Abaad Rakkhe
Ghamoñ Se Bachaye Tumhe Shaad Rakkhe
Na Meri Tarhañ Qaid-e-Fariyad Rakkhe
Rulaati Hai Apne Watan Ki Judaayi
Na Jane Mujhe Kab Milegi Rihayi
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Kaha fir parindoñ se bacchi ne rokar
Ye Zindan Hi Ab Banega Mera Ghar
Naqahat Se Uthta Nahiñ Ab Mera Sar
Maiñ Huñ Pyaas Ki Aakhri Mañziloñ Par
Rawaani Bhi Sañsoñ Ki Kam Ho Gayi Hai
Rasan Mere Haathoñ Me Zam Ho Gayi Hai
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Yahañ Roushani Hai Na Thandi Hawa Hai
Andhera Hai Itna Ke Dil Baithta Hai
Mera Sañs Lena Bhi Mushkil Hua Hai
Maiñ Pyasi Huñ Ab Tak Na Paani Mila Hai
Tamachoñ Ke Chehre Pe Ab Tak Nishañ Hain
Yahañ Mere Rone Pe Pawandiyañ Haiñ
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Chalo Karbala Meri Ghurbat Batane
Mera Haal Mere Chacha Ko Sunane
Mujhe Marta Hai Layeen Tazyane
Wo Aa Jaye Zindañ Se Mujhko Bachane
Batana Ke Rukhsar Zakhmiñ Haiñ Mere
Kabhi Surkh Haiñ To Kabhi Haiñ Ye Neele
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Maiñ Roti Huñ To Chup Karate Haiñ Zalim
Na Rouñ To Mujhko Rulate Haiñ Zalim
Kahuñ Kaise Kitna Satate Haiñ Zalim
Jo Souñ To Durre Lagate Haiñ Zalim
Ajab Haal Me Ji Rahi Hai Sakina
Bahot Yaad Aata Hai Baba Ka Seena
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Ae Zeeshan-o-safdar Suna Jab Ye Noha
Pariñde Bhi Karte Rahe Aah! o Giriya
Ye Manzar Bhi Ik Din Pariñdoñ Ne Dekha
Tha Zindan Me Shor Haye! Sakina
Hañ Ik Zakhmiñ Sar Se Wo Lipti Hui Thi
Wo Khamosh Thi Jo Sada De Rahi Thi
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho
Suno Ae Pariñdoñ Kahañ Ja Rahe Ho

Reciter: Safdar Kaleem
Poetry: Zeeshan Abidi

Suno Ae Parindo Lyrics – Noha Lyrics


Related Post:

Manqabat Shahidan e Karbala And Noha Lyrics

Manqabat Mola Ali As

Kaise Main Dafnauñ Sakina Lyrics

Utho Baba Mein Zainab Hun Lyrics

Sakina Sham Ke Zindaan Me So Gayi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *