Sahara chahiye sarkar Naat Lyrics
हिन्दी के लिए यहां टच करें
Mere aaqa madine bula lijiye
Mere aaqa madine bula lijiye
Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye…
Tadap raha hoon madine ki haazri ke liye..
Taiba ke jaany wale..Jaa kr bary adab se..
Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se..
Kehna ke shah-e- aalam Ek ranjo gham ka mara..
Dono jahan mein jis ka hain, aap hee sahara..
Haalat e pur alam se is dam guzar raha hai
Or kamptey labon se faryaad kr raha hai..
Paaye gunaah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aisa jo pochhne ko aaye
Bhoola hua musafir manzil ko dhondta hai.
Taarikyon ko maah-e-kamil ko dhondta hai..
Seene mein hai andhera..Dil hai shiyaah khana
Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana..
Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se..
Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se..
Sarwar qabr-e-gham hai.. ashkon se ankh num hai…
Paamal-e-zindgi hoo sarkar ummati hoo..
Ummat k rehnmao kuch arz-e-haal sun lo..
faryaad kr raha ho..main dil figar kb se..
Mera bhi qissa-e-ghum kehna mery nabi se…
Hazoor aisa koi intezam ho jaye
Salam ke liye hazir ghulaam ho jaye
Sahara chahiye sarkar zindagi k liye
Tadap raha hoon madine ki haazri k liye
Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena
Ke dawa wahi mile gi mujhe le chalo madina
Nahi maal-o-zar to kya hai..Main gareeb hoo yahi na
Mere ishq mujh ko le chal..Tuhi janib-e-madina..
Aaqa na toot jaye ye dil ka aabghina
Ab ke baras bhi maula reh jaun main kahin na
Dil ro raha hai jin ka.. aansu chhalak rahe hain
Un aashqon ka sadqa.. bolwaeye madina
Mere aaaqa madine bula lijiye
Madiny jaaon, phir aaon, dobara phir jaaon
Ye zinagi meri yunhi tamam ho jaye
Sahara chahiye sarkar zindagi k liye…
Tadap raha hoon madine ki haazri k liye
Ae aazeem-e-madina.. ja kr nabi se kehna…
Sody humen alam se.. ab jal raha hai seena..
Kehna ke badh rahi, ab dil ki iztrabi..
Qadmo se door hoo mai, qismat ki hai khrabi
Kehna ke dil me mere arman bhare huye hain
Kehna k hasrtoon ke nashtar chobhe huye hain
Hai aarzo ye dil ki main bhi madina jaaun
Sultan-e-do jahan ko, Daagh-e- jigar dikhaun
Kaato hazar chakar, tayyaba ki har gali ke
Yunhi guzaar do aayam zindgi ke
Pholon pe jaa.n nisaron.. kanton pe dil ko waaron..
Zarron ko doon salami.. dar ki karon ghulami..
Dewaro dar ko choomun.. chokhat pe sar ko rakh dun
Rouze ko dekh kar main, rota rahun barabar
Aalam ke dil mein hai ye, hasrat na jaaney kab se
hum sab ke hai dil mein hasrat na jaaney kab se
Mera bhi qissa e gham kehna shah-e-arab se
Sahara chahiye sarkar zindagi k liye
Tadap raha hoon madine ki haazri k liye
Ek roz ho ga jaana.. sarkar ki gali mein
Ho ga wahi thikana.. sarkar ki gali mein
Dil mein nabi ki yaaden, lab par nabi ki naaten..
Jana to aise jana, sarkar ki gali me
Ya mustafa khudara.. do izn haazri ka
Kr lo nazara aakr.. main ap ki gali ka
Ek baar to dikha do ramzan mein madina
Is bar to dikha do ramzan mein madina
Aaqa humen dikha do ramzan me madina
Beshak bana lo aaqa mehman do ghadi ka
Naseeb walo mein mera bhi naam ho jaye
Jo zindgi ki madine mein shaam ho jaye
Sahara chahiye sarkar zindagi k liye…
Tadap raha hoon madine ki haazri k liye
Bula lo na… bula lo na…
Aaqa aaqa aaqa……
Naat Khwan: Hafiz Tahir Qadri
Sahara chahiye sarkar Naat Lyrics
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |