Bhar do Jholi Meri Ya Mohammad ﷺ Qawwali Lyrics
Singer: Sabri Brothers Qawwal (Ghulam Fareed Sabri and Maqbool Ahmad Sabri)
Poet: Purnam Allahabadi
Shah-e- Madina Suno, Iltija Khuda Ke Liye
Karam Ho Mujh Pe Habibi E Khuda,
Khuda Ke Liye
Huzoor ghuncha E Ummed ab To Khil Jaaye
Tumhare Dar Ka Gada Hoon To Bhik mil jaaye.
Laut Kar Mein Na Jaoon Ga Khali
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad ﷺ
Laut Kar Mein Na Jaoon Ga Khali
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad ﷺ
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali
Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Hum Sub Ki
Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Mohammad ﷺ
Bhar Do Jholi Aqa ji Bhar Do Jholi
Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi
Tumhare Aastane Se Zamana Kya Nahi Paata
Koi Bhi Dar Se Khaali Mangne Wala Nahi Jata
Bhar Do Jholi Meri Sarkar-e-madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Tum Zamane ke Mukhtar Ho Ya Nabi
Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi
Sub Ki Sunte Ho Apne Hon Ya Ghair Hon
Tum Ghareebon Ke Ghamkhaar Ho Ya Nabi
Bhar Do Jholi Meri Sarkar-e-madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Hum Hein Ranj-o-musibat Ke Mare Huye
Sakht Muskhil meiñ Hein Gham Se Hare Huye
Ya Nabi Kuch Khudara Hamein Bheek Do
Dar Pe Aaye Hein Jholi Pasare Huye.
Bhar Do Jholi Meri Sarkar-e-madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Hai Mukhalif Zamana Kidhar Jaayen Hum?
Halat-e-bekasi Kis Ko Dikhlaayen Hum?
Hum Tumhare Bhikari Hain Ya Mustafa
Kis Ke Aage Bhala Haath Phailaein Hum?
Bhar Do Jholi Meri Sarkar-e-madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad ﷺ
Laut Kar Mein Na Jaoon Ga Khaali
Aaa…
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad ﷺ
Laut Kar Mein Na Jaoon Ga Khaali
Kuchh Nawasoñ Ka Sadqa A’taa Ho
Dar Pe Aaya Hooñ Ban Ker Sawali
Aaa…
Haq Se Paayi Wo Shaan-e-karimi
Marhaba! Dono Aalam Ke Waali
Us Ki Qismat Ka Chamka Sitaara
Jis Pe Nazr-e-karam Tum Ne Daali
Aaa…
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabroo Deen-e-Haq Ki Bacha Li
Wo Muhammad Ka Pyara Nawasa
Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabro Deen E Haq Ki Bacha Li
Jo Ibn-e-murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai
Qurbani-e-hussain Ka Anjaam Khoob Hai
Qurbaan Ho Ke Fatima Zehra Ke Chain Ne
Deen-e-khuda Ki Shaan Badhayi Hussain Ne
Bakhshi Hai Jis Ne Mazhab-e-islam Ko Hayaat
Kitni Azeem Hazrat-e-shabbir Ki Hai Zaat
Maidaan-e-karbala Mein Shah-e Khush-Khisaal Ne
Sajde Mein Sir Kata Ke Muhammad ﷺ Ke Laal Ne
To, Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabru Deen-e-Haq Ki Bacha Li
Woh Muhammad ﷺ Ka Pyara Nawasa
Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li
Aaa…
Hashr Mein Un Ko DaikheinGe Jis Dam
Ummati Yeh Kahein Gay Khushi Say
Aa Rahe Hein Wo Dekho Muhammad ﷺ
Jin Ke Kaandhe Pe Kamli Hai Kaali
Mehshar K Roz Peish-e-khuda HonGe Jis Ghadi
Hogi GunaahGaaroñ Mein Kis Darja Bekali
Aate Huye Nabi Ko Jo DekheinGe Ummati
Ik Dosre Se Sab Yeh KaheinGe Khushi Khushi
Aa Rahe Hein Wo Dekho Muhammad ﷺ
Aaa…
Sar-e-mehshar GunaahGaaron Se Pursish Jis ghari Hogi
Yaqeenan Har Bashar Ko Apni Bakhshish Ki Padi Hogi
Sabhi Ko Aas Us Dam Kamli Wale Se Lagi Hogi
Ke Aise Mein Muhammad ﷺ Ki Sawari Aa Rahi Hogi
PukaareGa Zamana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaro
Na Ghabrao Gunaahgaaro Na Ghabrao Gunaahgaaro!
Aa Rahe Hein Wo Dekho Muhammad ﷺ
Jin Ke Kaandhe Pe Kamli Hai Kaali
Aaa…
Aashiq-e-mustafa Ki Azaañ Mein
Allah-Allah Kitna Asar Tha
Sacha Yeh Waqia Hai Azaan-e-bilal Ka
Ik Din Rasool-e-paak Se Logo Ne Yun Kaha
Ya Mustafa Azaan Ghalat Deite Hain Bilal
Kahiye Huzoor Aap Ka Is Mein Hai Kya Khayal
Farmaya Mustafa Ne Yeh Such Hai To Deikhiye
Waqt-e Sahar Ki Aaj Azaañ Aur koi De
Hazrat Bilal Ne Jo Azaan-e-sehar Na Di
Qudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Huyi
Aaa…
Hazrat Bilal Nai Jo Azaan-e-sehar Na Di
Qudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sehar Huyi
Aaye Nabi Ke Paas Phir Ashaab-e-ba-safa
Ki Arz Mustafa Se Ke “Ya Shah-e-ambiya”
Hai Kya Sabab Sahar Na Huyi Aaj Mustafa
Jibreel Laaye Aise Meiñ Paighaam-e-kibriya
Pahle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam
Baad-az-salaam Un Ko Khuda Ka Diya Payaam
Yoon Jibraeel Ne Kaha Khair-ul-Anaam Se
Ke, Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Se
Yoon Jibraeel Ne Kaha Khair-ul-Anaam Se
Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Se
Farma Raha Hai Aap Se Yeh Rubb-e-Zuljalal
Hogi Na Sub’ha DeinGe Na Jab Tak Azaañ Bilal
Aashiq-e-Mustafa Ki Azaañ Mein
Allah Allah Kitna Asar Tha
Arsh Waley Bhi Sunte The Jis Ko
Kya Azaañ Thi Azaaan-e-Bilali
Aaa…
Kaash Purnam Dayaar-e-Nabi Mein
Jeete Ji Ho Bulawa Kisi Din
Haal-e-gham Mustafa Ko Sunaaooñ
Thaam Ker Un Ke Rauze Ki Jaali
Aaa…
Haal-e-gham Mustafa Ko Sunaaooñ
Thaam Ker Un K Rauze Ki Jaali
Ho…
Ga, ma, ma, ga, ma, ga, sa, ni, sa,
Dha, ni, sa, ga, ma, ma, ga, sa, ni, dha,
Dha, ni, sa, ga, ma, re, ni, ni, ni, ni, re, ma, ga, ma, ma, ga, sa, ni, sa,
Dha, ni, sa, ga, ma, re, ni, sa, ni, sa, ma, pa, ga, ma, re, ni, re, sa,
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad ﷺ
Laut Kar Mein Na Jaoon Ga Khaali.
Urdu, Hindi And English lyrics